Salaam ahl-e-bazm..ek site pe diye gaye tarahi misre pe ghazal kehne ki koshish ki hai...ummeed hai pasand aayegi..aap ki aara ka intizaar rahega :)
baat jo pehle mo'atabar na hui
aaj kaise woh be asar na hui
usko apnii har ik khushii de dii
zindagii phir bhi mukhtasar na hui
maine khud ko jalaa jalaa Daalaa
raushnee jab jahaaN jidhar na hui
woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
mere is dil ko bhii khabar na hui
aisi ujlat meiN zindagii guzrii
'do ghaRi chain se basar na hui'
jab se taareekiyoN ne aa ghaeraa
mere aanGan meiN phir sahar na hui
zeest ka meri ban gayaa hissa
justujuu jiski umr bhar na hui
aakhirii uski Call thii shayad
phir kabhii baat bhool kar na hui
sunke uski wafaaoN ke charche
kaise keh doon ki chashm tar na hui
bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
koi tadbeer kaargar na hui
faqat,
Shumaila
baat jo pehle mo'atabar na hui
aaj kaise woh be asar na hui
usko apnii har ik khushii de dii
zindagii phir bhi mukhtasar na hui
maine khud ko jalaa jalaa Daalaa
raushnee jab jahaaN jidhar na hui
woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
mere is dil ko bhii khabar na hui
aisi ujlat meiN zindagii guzrii
'do ghaRi chain se basar na hui'
jab se taareekiyoN ne aa ghaeraa
mere aanGan meiN phir sahar na hui
zeest ka meri ban gayaa hissa
justujuu jiski umr bhar na hui
aakhirii uski Call thii shayad
phir kabhii baat bhool kar na hui
sunke uski wafaaoN ke charche
kaise keh doon ki chashm tar na hui
bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
koi tadbeer kaargar na hui
faqat,
Shumaila
Comment