Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

    Salaam ahl-e-bazm..ek site pe diye gaye tarahi misre pe ghazal kehne ki koshish ki hai...ummeed hai pasand aayegi..aap ki aara ka intizaar rahega :)

    baat jo pehle mo'atabar na hui
    aaj kaise woh be asar na hui

    usko apnii har ik khushii de dii
    zindagii phir bhi mukhtasar na hui

    maine khud ko jalaa jalaa Daalaa
    raushnee jab jahaaN jidhar na hui

    woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
    mere is dil ko bhii khabar na hui

    aisi ujlat meiN zindagii guzrii
    'do ghaRi chain se basar na hui'

    jab se taareekiyoN ne aa ghaeraa
    mere aanGan meiN phir sahar na hui

    zeest ka meri ban gayaa hissa
    justujuu jiski umr bhar na hui

    aakhirii uski Call thii shayad
    phir kabhii baat bhool kar na hui

    sunke uski wafaaoN ke charche
    kaise keh doon ki chashm tar na hui

    bhoolne kii 'Shumaa'ilah' usko
    koi tadbeer kaargar na hui


    faqat,
    Shumaila

  • #2
    Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

    great shumaila really nice one..................

    Comment


    • #3
      Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

      Thanx a lot LAST KNIGHT :-)

      Comment


      • #4
        Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

        Shairi ki aisi umdah aur nafees misaal bohat kam milti hai. Yeh rawangi yeh alfaaz ki adaeegi, yeh soch ko qalamband karney ka andaz aur us per har aik shair mein aik kahani ka biyaan - Shumaila hamein itni ronaq bakhsney per bohat bohat shukriyah :)

        Yeh shair mujhey kisi khaas wajah sey bohat pasand aaya hai - issey mein mehfooz karna chahta hoon:

        woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
        mere is dil ko bhii khabar na hui

        Khush raho aur isi tarha likhti raho :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

          Shummu jee bohat umdah likha hay aapne mazeed ka wait rahe ga :)

          Comment


          • #6
            Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

            buhat acha likha hai shummu :thmbup:

            yeh wala shair buhat acha laga
            woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
            mere is dil ko bhii khabar na hui

            :phool:
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

              Originally posted by Masood
              Shairi ki aisi umdah aur nafees misaal bohat kam milti hai. Yeh rawangi yeh alfaaz ki adaeegi, yeh soch ko qalamband karney ka andaz aur us per har aik shair mein aik kahani ka biyaan - Shumaila hamein itni ronaq bakhsney per bohat bohat shukriyah :)

              Yeh shair mujhey kisi khaas wajah sey bohat pasand aaya hai - issey mein mehfooz karna chahta hoon:

              woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
              mere is dil ko bhii khabar na hui

              Khush raho aur isi tarha likhti raho :)

              Masood jee aap ke comments ka besabri se intizaar tha kyonki mujhe yaqeen tha aap ko ye kalaam zaroor pasand aayega....:) mujhe bahuuuuuuuuut khushi hui aap ke itne hauslakun comments dekh kar......dil ki gehraaiyon se shukriya qubool farmaayeiN.... meri khushnaseebi hai keh aap ne haamre sher ko is qaabil samjha ke use mehfooz karna chhate hain.....zaeroor zaroor shauq se karein..:salam:


              Thanx a bunch :phool:

              shumaila

              Comment


              • #8
                Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                Originally posted by Saaram
                Shummu jee bohat umdah likha hay aapne mazeed ka wait rahe ga :)
                Thanx a lot Saaram jee :phool:

                Comment


                • #9
                  Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                  Originally posted by Aanchal
                  buhat acha likha hai shummu :thmbup:

                  yeh wala shair buhat acha laga
                  woh miree dhaRkanoN meiN kab aaye
                  mere is dil ko bhii khabar na hui

                  :phool:

                  thanx a lot Aanchal:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                    Shummu aik aur aap ki tarahi ghazal parhney ko mila.....lafzon ka taal mel bohat kamal hay :) acha likhti hain aap :) mazeed likhti rahein aur hum se share karti rahein :)
                    Allah

                    Comment


                    • #11
                      Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                      Bahut bahut nawaazish YAARAM jee jo aap hamesha meri hausla afzaayi farmate rehte haiN.....aap khud mashaAllah achcha likhte hain isliye aap ki jaanib se daad paake bada achcha lagta hai...shukriya!:)

                      Shumaila

                      Comment


                      • #12
                        Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                        v nice shummu

                        tumhari saari ghazlein aur nazm abhi hi perhi hain ---sabhi bohot zabardast hein

                        keep them coming:thmbup:
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #13
                          Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                          Thanx a lot for appreciating my work Xenya....!:rose

                          meri site pe u can listen to some of my ghazals also..... :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                            buhat khoob
                            shummu jee ghazal ke liye daad qabool kijye
                            naya kalam kab share kar rahi heN??
                            khush rahiye
                            zmufti

                            Comment


                            • #15
                              Re: do ghaRi chain se basar na hui(Taaza tarahi ghazal)

                              Bohat hi khub kehi shumaila ji

                              is sher ki to kia hi baat hay

                              aisi ujlat meiN zindagii guzrii
                              'do ghaRi chain se basar na hui'

                              Comment

                              Working...
                              X