Salaam ahl-e-bazm..Aanchal ke hukm ki taameel karte hue apni ek ghazal pesh kar rahi hoon ..ummeed hai aap logon ko pasand aayegi :)
shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii
kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii
baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii
kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii
kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii
shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii
miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii
woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii
naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii
agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!
Aapki aara ki muntazir,
Shumaila

Comment