Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

    Salaam ahl-e-bazm..Aanchal ke hukm ki taameel karte hue apni ek ghazal pesh kar rahi hoon ..ummeed hai aap logon ko pasand aayegi :)

    shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
    kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii

    kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
    magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

    baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
    musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii

    kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
    isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

    kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
    miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii

    shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
    gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii

    miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
    sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii

    woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
    guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii

    naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
    sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii

    agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
    Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!


    Aapki aara ki muntazir,
    Shumaila
    Attached Files
    Last edited by shummu; 22 November 2009, 21:11.

  • #2
    Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

    :thmbup:

    so sweet shummu darling

    apni shairi post karti rehna takay sab ko pata chalye shummu kitni achi sharaya hain :wk
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

      lolz thanx anchal... abhi to bahut dinon se kuch bhi naya nahi likha.... puraane kalaam hi share karti rahungi tab tak ..chalega na :-)

      Comment


      • #4
        Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

        Originally posted by shummu
        shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
        kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii
        Jab khawabon aur khiyalon mein hi koi ho to har shab shab-e-hijr lagti hai aur shab-e-hijr to kat'ti hi azzabon mein hain, bohat umdah naqsha kheencha hai aap ney is kafiyyat ka.


        Originally posted by shummu
        kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
        magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

        baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
        musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii
        Bohat khoob, manzil-e-ishq aasan ho jati agar justjoo khaam hoti aur sarabon mein na bhattak jati. Aur yeh bhi kya baat hoti hai keh wasl ki raat bohat mukhtasir hoti hai magar amooman shikwey aur shikayat mein hi guzr jati hai.

        Originally posted by shummu
        kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
        isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii
        Zabardast!
        Originally posted by shummu
        shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
        gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii
        Muhabbat ki nishaniyon ki qabar!


        Originally posted by shummu
        woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
        guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii
        Haan koi nahin janta kisi key dil per kya guzri hai. Log bas tamasha dekhtey hain :)

        Shummu achha laga aap ka kalaam parh kar. Khush rahiye aur likhti rahiye :)
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

          itna pyaara tabsira wah. ..bahut hi achcha laga paRh ke..dil ki gehraiyon se shukriya qubool farmaayeiN MASOOD sahab...aap ne bahut hausla afzaayi hai meri..... thanx! :rose

          Comment


          • #6
            Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

            wahhh kamal ghazal kahi lutf aaya parh kar:phool:
            likhtii raheyey khush raheyey sadda:rose
            Qaffas-e-hijr mein
            saansoon ka amal
            jarii tou hey magar
            zindagii hey kahaan
            dhoondh raha hoon
            sagarkhan:rose

            Comment


            • #7
              Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

              hmmm nice one dear:phool:

              Comment


              • #8
                Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                Originally posted by SAGARKHAN
                wahhh kamal ghazal kahi lutf aaya parh kar:phool:
                likhtii raheyey khush raheyey sadda:rose
                bahut bahut shukriya sagar jee :)

                Comment


                • #9
                  Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                  Originally posted by sheem
                  hmmm nice one dear:phool:
                  thanx a lot sheeem:rose

                  Comment


                  • #10
                    Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                    :insha:
                    bohat achi shaery ki hay aap ne,,,hr hr shaer main naya pn prhny ko mila hay or tarteeb or talafuzz daykh kr tu ghazal prhny ka lutf aa gaya
                    soch raha tha ky agr ye urdu main likhi hoti tu maza dobala ho jata.
                    liktry rehaey.
                    mare duain tumhrey stah hain
                    H
                    @
                    $
                    $
                    @
                    N

                    Comment


                    • #11
                      Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                      ohoo hooo
                      InshAAllah Naihn MashAAllah kahna tha........................
                      H
                      @
                      $
                      $
                      @
                      N

                      Comment


                      • #12
                        Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                        bahut shukriya is qadar hausla afzaayi farmaane ka SKK jeee ..these words of appreciation means a lot to me :)

                        Comment


                        • #13
                          Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                          Originally posted by shummu
                          itna pyaara tabsira wah. ..bahut hi achcha laga paRh ke..dil ki gehraiyon se shukriya qubool farmaayeiN MASOOD sahab...aap ne bahut hausla afzaayi hai meri..... thanx! :rose
                          Shummu achha kalaam aur pur'khaloos insaan kam kam milta hai. Jab milein to unki qadar karni chahiye :) Hamein umeed hai keh aap Pegham ko apney khoobsurat kalaam sey nawazti rahein gi :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                            zarra nawaazi ka shukriya Masood jee :)

                            Comment


                            • #15
                              Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                              Assalaam o alekum,


                              shummu raani hamesha ki tareh tumhari yeh ghazal bhi lajawaab hai itnien bhaari bherkam alfaaz mien kaise likh leti ho :( waise bahoot khoob likhaa hai dil ko chhoonien waali yeh ghazal hai tumhaari dili daad qabool karo aur haan aayinda bhi meri naaaaaani ( anchal ) ke huqm ki tameel kerti raho :tang: waise bahoot khushi ho rahi hai ke ab tum yehan bila naagah aanien lagi ho :) :) khush raho

                              kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
                              miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii

                              shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
                              gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii
                              :tang: RISK IS MY BUSINESS

                              DANGER IS MY GAME

                              DONT PLAY WITH ME
                              BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                              Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                              Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                              Comment

                              Working...
                              X