Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

    bahut bahut nawaazish KHURRAM jee... arey main to bahut halkaa phulkaa likhti hoon.... bhaari bharkam to aur log likhte hain..mujhe to abhi bhari bharkam likhna hi nahi aata..aap duaa kijiye to waqaii bhari bharkam likh sakungi ek na ek din hehe...thank u so very much for ur appreciation! :)

    Shumaila

    Comment


    • #17
      Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

      Waah kiya ghazal likhi hay aap nay :masha :) ghazal ka har shair apni misaal aap hay.parh kar dil khush ho gaya.bouhat hi umda.:)
      :roseENIGMA:rose

      Comment


      • #18
        Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

        Bahut bahut shukriyaaaaaaaa hayaa sis.....:)

        Comment


        • #19
          Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

          Asslam-o-Alikum WR WB

          Bhot umda aap ny likha hy ... aik kosishs ki hy aap ki Poetry k image deyny ki ... Expert not ... but kosish ...

          FeaamnAllah
          Attached Files
          Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
          Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


          Comment


          • #20
            Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

            Bheegi palkain ji nice work..umda kalaam ki umda composition achchi lagi.:)
            :roseENIGMA:rose

            Comment


            • #21
              Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

              wow thanx BP..so sweet of u..image bahut sahi lagaayi hai..bas font ko zara aur bold kar do to paRhne mein aasaani hogi....overall nice work :thmbup: and thanx a billion.... :rose

              Comment


              • #22
                Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                Kash Ap Urdu Main Likhtin Agar 1 Ap ki Roman Gazla Parhny Bayth jaooon To Baqi Mimbars ki to Bari He na aayyy. Gazal Parhany ka jo mazha Urdu Main hay woh Roman Main Kahan. Lihaza so sory Jahan Shaire Roman Main Nazar Ati Hay Main Aggy Ki Rah Layta Hon:dance2:
                :star1:

                Comment


                • #23
                  Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                  Originally posted by SAZ View Post
                  Kash Ap Urdu Main Likhtin Agar 1 Ap ki Roman Gazla Parhny Bayth jaooon To Baqi Mimbars ki to Bari He na aayyy. Gazal Parhany ka jo mazha Urdu Main hay woh Roman Main Kahan. Lihaza so sory Jahan Shaire Roman Main Nazar Ati Hay Main Aggy Ki Rah Layta Hon:dance2:

                  lijiye aapki shiqayat door karte hue humne ghazal urdu mein bhi attach kar di hai....:salam:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                    Walaikum Assalaam Shummu jee

                    Bohat hi khobsurat andaaz-e-tehreer hay aap ka lajawab, aik hi ehsaas ko itnay saaray lafzoon main paish karna asaan kaam nahin tha, bohat hi khoobsuart andaaz main aap nay shab-e-hijr bayan ki aur saath saath roudad-e-ishq paish ki.... mujhay yeh shaair bohat hi acha laga aur haasil-e-ghazal bhi.

                    kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
                    miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii

                    likhti rahyeh aur hum sab say apan aala zouq share karti rahyeh, khush rahyeh.

                    fi amaan ALLAH


                    Originally posted by shummu View Post
                    Salaam ahl-e-bazm..Aanchal ke hukm ki taameel karte hue apni ek ghazal pesh kar rahi hoon ..ummeed hai aap logon ko pasand aayegi :)

                    shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii
                    kisii ke khayaaloN meiN,khwaaboN meiN guzrii

                    kabhii manzil-e-ishq paanaa thaa aasaaN
                    magar justujuu tab saraaboN meiN guzrii

                    baDii be mazaa vasl kii raat thi jo
                    musalsal sawaaloN jawaaboN meiN guzrii

                    kahin ho na jaaye miraa ghar bhi raushan
                    isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii

                    kabhii sher ban ke ,kabhii ban ke naGhmaa
                    miree khasta haalii naqaaboN meiN guzrii

                    shikast-e-muhabbat ki itnii kahaanii.....
                    gul-e-khushk ban ke kitaaboN meiN guzrii

                    miree aah-o-zaarii nashaa ban ke aksar
                    sar-e-bazm-e-rindaaN sharaaboN meiN guzrii

                    woh kya jaane pur khaar rastoN ki shiddat
                    guzar gaah jiskii GhulaaboN meiN guzrii

                    naseehat hameiN kar rahaa hai woh naaSeH
                    sadaa umr jiskii KharaaboN meiN guzrii

                    agar hauslaa hai to ban ke dikhaa de
                    Woh LAILAA kabhi jo nisaaboN meiN guzrii!!!


                    Aapki aara ki muntazir,
                    Shumaila
                    sigpic

                    Comment


                    • #25
                      Re: Shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii

                      :salam: Yah Bat Sahaire Ka Maza He urdu Writing main hay.Wasy Bhi PG Jaysay Foram par sahire Roman Main Likhna (jahan K Urdu Soft ware Main Kam Sikhaya Bhi Ja Raha Hay) Malab Apni Sahire Ka Holia Kharab Karna:rose
                      Ab Itni Lambi Gazal Urdu Mian Ba Asani Parhi Bhi Gaie Or 1,1 Misrah Apni Tamam Tar Khobsorti K saht Zahan Mian Foran Jagha Banata Giaa.VVV Nice :thmbup:
                      Last edited by S.Athar; 7 January 2010, 11:03.
                      :star1:

                      Comment

                      Working...
                      X