Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

    NOTE:NEXT TIME SE MAIN IS SILSILE KO 1 HAFTE KE BAJAAYE 2 HAFTA KA KARUNGI ...taakeh zyaada se zyaada log apni soch ke ghoRe Daura sakein aur is mein hissa le sakein..shukriya!!!! :salam:

    Comment


    • #32
      Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

      Originally posted by shummu View Post
      wah wah wahhhhhhhhhh kya kehne shakeel sahab ..bahut hi rawaaN dawaaN behtareen giraah hai...mazaa aa gaya.....:thmbup:

      ummeed haia ayenda bhi participate karte rahenge :D:
      Thanks, aap ne to itni taareef kar di , poetry ka shok to hai lekin kabhi poetry likhi nahin, bass wesey hi kabhi kabhi tuk bandi kar leta hun.
      Thanks again


      Comment


      • #33
        Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

        Tu khak hai pastiyun ki wo asman tehra
        Kaha kiss nay tha ehd-e-wafa karo iss se

        Comment


        • #34
          Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

          Originally posted by sham-e-mehfil View Post
          Tu khak hai pastiyun ki wo asman tehra
          Kaha kiss nay tha ehd-e-wafa karo iss se

          aapne bhi hissa liya dekh kar khushi hui...sher achcha hai magar be behr hai...

          aapke misre ko behr mein karne ki koshish karti hun:


          woh aasmaaN to bas ik khaak hai zameeN kii tuu
          'kaha tha kisne ke ehd-e-wafaa karo un se?!'

          :thmbup:

          Comment


          • #35
            Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

            AAJ LAST DAY HAI...JALDI JALDI APNI ENTRIES DE DIJIYE TRAAKEH POLLING SHURU HO...phir inshallah next misre ke satah haazir hoti hun :)

            Comment


            • #36
              Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

              Originally posted by shakeeel View Post
              :)

              Buhat khooB ..
              DukhoN ki aag mein jaltay raho sadaaa ab tum.....
              Kaha tha kis nay k ehd-e wafa karo Onn se ....!

              Buhat khooB :) ..MashaAllah !

              Comment


              • #37
                Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
                Wa Alaikum Assalam
                bht achha silsila shuru kiya hay shammu dear ..:rose

                per kya hay k humein to likhna nahin aata so kessay participate kar saktay hain
                Aap itni achi achi sharings kart hai ..
                Try b kar sakti hein Eshaa....!
                Just try ....Koi b perfect tu hai nahi na...!

                Comment


                • #38
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #39
                    Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                    Asslam-o-Alikum!
                    Phecle misre ko psand krne ka shukriya
                    Ab me ne aik or misra likha hai.
                    Ye durost hai ya nhi zror btaye ga.
                    http://www.pegham.com/attachment.php...1&d=1216038476
                    Attached Files

                    Comment


                    • #40
                      Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                      Last edited by Ainy Guriya; 14 July 2008, 16:37.

                      Comment


                      • #41
                        Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                        Salam,
                        Agar ap kuch munfarid na karein tu ap ka nam Shummu Ji se badal kar kuch aur rakh deya jaey ga.:D:
                        Buhut umda silsila he.Mujhe Shakeel sahib ka Shair buhut passand aya.Meri totiphoti girah kuch yun he ke


                        Sadaein dete ho ab keyon tamam dunya ko
                        'kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse'
                        ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

                        Comment


                        • #42
                          Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                          nice khayal!!!magar wazan mein nahi hai....

                          ise behr mein laate hain:

                          1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)
                          kyoN phir-te reh-te ho dee-waa-ne kii ta-rah ab tum

                          kyoN phirte rehte ho deewaane kii tarah ab tum?!


                          :rose
                          Last edited by shummu; 14 July 2008, 19:58.

                          Comment


                          • #43
                            Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                            Originally posted by kashish View Post
                            Asslam-o-Alikum!

                            Phecle misre ko psand krne ka shukriya
                            Ab me ne aik or misra likha hai.
                            Ye durost hai ya nhi zror btaye ga.
                            http://www.pegham.com/attachment.php...1&d=1216038476
                            ws...aap ki doosri koshish bhi dkeh kar behad khushi hui magar is baar aap chook gayin zara sa...misra be behr reh gaya...

                            ye bataayein aap ke naam ka talaffuz kya hai..?

                            tah-rah(2-2)

                            ya

                            ta-hi-rah??(1 1 2)

                            khair filhaal mein 'taahrah' use kar rahi hun...

                            sehni paRengi zamaane ki sakhtiyaaN 'taahrah'
                            'kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse'

                            ise is wazan mein laate hain...

                            ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
                            1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)



                            uThaani hongi zamaane ki sakhtiyaaN 'taahrah'(correct misra)
                            'kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse'


                            ab is sher ko is ghazal ke tarz pe gunguna kar dekhiye :)

                            har aik baat pe kehte ho tum ke tuu kyaa hai
                            tumheeN kaho k ye andaaz-e-guftuggu kyaa hai

                            laga na ek hi tune mein hai?? :D:

                            Comment


                            • #44
                              Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                              wow nice thread
                              "Do Not Wish For Less Problems, Always Wish For More Skills"

                              Comment


                              • #45
                                Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                                Originally posted by Ainy Guriya View Post
                                bahut achchi girah hai magar be behr hai...koshish karti hun ise behr mein laane ki..

                                1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)
                                pataa tha badle meiN milniN thiN azyateiN tum ko

                                Comment

                                Working...
                                X