Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

    Wa Alaikum Assalam
    bht achha silsila shuru kiya hay shammu dear ..:rose

    per kya hay k humein to likhna nahin aata so kessay participate kar saktay hain
    sigpic

    Comment


    • #17
      Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

      Originally posted by shummu View Post
      Salam ahl-e-bazm!

      Aaj 'naye sho'ara' mein ek naye haftawar silsile ka aaGhaz kar rahi hun..Aaiye Girah lagaiye...jaise naam se hi zaahir hai ...main hafte mein ek misra dungi... aap ko apne deemaagh se us pe giraah lagani hai...aap chahein to misre ko pehla misra ki tarah istimal karein ya doosra..ye aapki marzi hai...magar koshish karein misra behr/wazan/rhythm mein ho....aur dono misron mein rabt ho... uske baad hafte ke end mein hum polling karenge... jiski girah sab se zyaada logon ko pasand aayegi...woh winner hoga us hafte ka...ek person kam se kam 2 entries de sakta hai...aur yaad rakhein poori ghazal nahi likhni hai bas ek sher jis mein ye misra ho...theek....shukriya....:salam:

      last date: 14 july.....


      MISRA:

      'kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse'(faraz)

      BEHR:

      ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
      1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)


      Aap sab ke participation ka intizaar rahega.... aaiye is mein hissa lein aur is silsile ko kaamyaab banaayein..shukriya....:rose
      http://www.pegham.com/attachment.php...1&d=1215720854
      Attached Files

      Comment


      • #18
        Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

        Originally posted by shummu View Post
        heheh raaz ki baat hai nahi bataongi

        kidding... :khi:

        asl mein jab se ye thread lagayi hai..sab yahi pooch rahe hain aakhir ye bala hai kya lolz

        isi section mein zmufti jee ne jo threads lagayi hai SHAYRI SEEKHIYE ke naam se...use parhiyega to kaafi madad milegi aur shayri ke rules..wazan..beher sab se waqfiyat hogi.... waise main yahan bhi koshish karungi explain karne ki...aap tukbandi to kijiye pehle :)
        372-scare372-scare372-scare

        :rose
        ok miz thank you.
        keep smiling:phool:

        Comment


        • #19
          Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

          Originally posted by Eshaa Chaudhry View Post
          Wa Alaikum Assalam
          bht achha silsila shuru kiya hay shammu dear ..:rose

          per kya hay k humein to likhna nahin aata so kessay participate kar saktay hain

          thank u thank u :salam:

          arey arey try to karein... bas jo msira us misre ko parhte hi zehn mein aaye use likh dijiye... baaqi hum dekh lenge ..theek...:phool:

          Comment


          • #20
            Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA


            wah kashish jee..bahut khoob... acchi girah lagayi hai...:thmbup: khushi hui ke aap ko ye silsila pasand aaya aur aapne participate kiya..ummmeed hai aayenda bhi hissa leti rahengi..inshallah har hafte ek naye misre ke saath haazir hongi ...sher umda hai...ALL THE BEST:rose

            Comment


            • #21
              Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

              Originally posted by *Duaa* View Post
              372-scare372-scare372-scare

              :rose
              ok miz thank you.
              keep smiling:phool:
              lolz duaa sis itna na darein... I'm sure aap likh sakengi...main intizaar karungi...All the best:phool:

              Comment


              • #22
                Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                Originally posted by Mujahid Khan View Post

                wah wah kya kehne!!!:thmbup:

                bahut khoob mujahid jee... ab attachment dikha... umda girah lagayi hai aapne bhi... ummeed hai aayenda bhi partcipate karenge... thanx :rose

                Comment


                • #23
                  Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                  Originally posted by WASI ANJUM View Post
                  mene shair likha to hai i think k kuch kami hai
                  aap batain k kahan mene galti ki hai?


                  نبھا وہی وعدے نہ جفا کرو ان سے

                  کہا تھا کس نے کہ عہد وفا کرو ان سے
                  pehla misra ye hai?

                  NIBHA WAHI,WAADE NA JAFAA KARO UNSE

                  kya ye misra hai??



                  misra behr mein nahi hai aur na waazeh hai ... aap agar bata dein ke kya kehna chah rahe hain to phir ise behr mein laane ki koshish karte hain inshallah :D:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                    زمانے والوں سے گِلہ کیا کرنا اے خرم
                    کہا تھا کس نے کہ عہدِ وفا کرو اُن سے
                    Last edited by *Roomi*; 11 July 2008, 09:53.

                    Comment


                    • #25
                      Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                      Originally posted by *Roomi* View Post
                      زمانے والوں سے گِلہ کیا کرنا اے خرم



                      کہا تھا کس نے کہ عہدِ وفا کرو اُن سے
                      khayal bohot achcha hai aur girah bhi bohot achchi lagai hai,agar yahi khayal kuchh eun bayan ho jae tho ye bahar may be aajaaega

                      zamane walo'N se kartey ho kia gila khurram
                      kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse
                      Last edited by Mujahid Khan; 11 July 2008, 14:24.

                      Comment


                      • #26
                        Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                        Originally posted by Mujahid Khan View Post
                        khayal bohot achcha hai aur girah bhi bohot achchi lagai hai,agar yahi khayal kuchh eun bayan ho jae tho ye bahar may be aajaaega

                        zamane walo'N se kartey ho kia gila khurram
                        kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse

                        bahut khoob... roomi jee...bahut behtareen giraah hai....:thmbup:

                        aur mujahid jee ka shukriya jo ise behr mein kar diya :rose

                        Comment


                        • #27
                          Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                          Shummu bohat umdah silsila hai - per please time ko aik haftey sey bharha kar 14 din kar dijiyey - kyun keh 14 din mein sochney ka behtar moqa hai..

                          Main ney bhi is per do tuk'bandiyan ki hain, aap aur Zarq ji ki nazar-e-iniyaat chahiyey:

                          1)

                          Behtar hai yehi keh door door raha karo un sey
                          kaha tha kis ney keh ehad-e-wafa karo un sey

                          aur 2)
                          Attached Files
                          Last edited by Masood; 12 July 2008, 13:21.
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #28
                            Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                            :)

                            Attached Files


                            Comment


                            • #29
                              Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                              Originally posted by Masood View Post
                              Shummu bohat umdah silsila hai - per please time ko aik haftey sey bharha kar 14 din kar dijiyey - kyun keh 14 din mein sochney ka behtar moqa hai..
                              arey aapka hukm sar aankhon par..magar ye to bataaiye 2 hafte wale silsile ko kya kahenge :D

                              Main ney bhi is per do tuk'bandiyan ki hain, aap aur Zarq ji ki nazar-e-iniyaat chahiyey:
                              jee jee bilkul....

                              1)

                              Behtar hai yehi keh door door raha karo un sey
                              kaha tha kis ney keh ehad-e-wafa karo un sey

                              hmm aapka misra behr mein nahi hai...maine koshish ki magar ise behr mein nahi laa paa rahi hun... ummeed hai zarqa sis ...madad farmaayengi :)


                              doosri koshish aapki hai:

                              APNE DUKHON KA SHIKWAH,NA GILAH KARO UNSE
                              kaha tha kis ney keh ehad-e-wafa karo un sey

                              wah umda koshish hai magar phir wahi baat behr mein nahi hai :na:

                              let me try to to bring it in behr...agar kuch ghalati ho jaaye to zarqa sis correct me ok :salam:

                              ye usi behr mein hai jis mein woh mashhoor ghazal ..'KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAAN NAHI MILTA' hai.... ab aap isi tarz pe diye hue misra aur uske baad apne aur phir mere misre ko gaa kar dkehiye..aap ko farq mehsoos hoga... jab misra gaate waqt rukawat mehsoos ho to matlub behr mein nahi hai aur agar rawaani mein ho to smajh lijiyega behr mein hai... baaqi aur correct karna ho to wazan kar sakte hain 1-2 ke bases par....

                              DUKHON KA AB NA YUN SHIKWAH GILAA KARO UNSE(corrected misra)

                              ab samjhati hun ke ye misra is behr mein kaise hai.....

                              ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
                              1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)

                              now let me break it in parts....

                              DU-KHON KA AB NA YUN SHIK-WAH GI-LAA KA-RO UN-SE

                              du-1
                              khon-2
                              ka-1
                              ab-2,
                              na-1
                              yuN-1
                              shik-2
                              wah-2,
                              gi-1
                              laa-2
                              ka-1
                              ro-2,
                              un-2
                              se-2

                              yahan 1=short syllable(choti awaaz)
                              2=long syllable(lambi aawaz)


                              ummeed hai kuch baat wazeh ho gayi hogi....aur kuch poochna ho to poochiyega zaroor...:salam:
                              Last edited by shummu; 14 July 2008, 20:58.

                              Comment


                              • #30
                                Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                                Originally posted by shakeeel View Post
                                :)


                                wah wah wahhhhhhhhhh kya kehne shakeel sahab ..bahut hi rawaaN dawaaN behtareen giraah hai...mazaa aa gaya.....:thmbup:

                                ummeed haia ayenda bhi participate karte rahenge :D:

                                Comment

                                Working...
                                X