Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

    Salam ahl-e-bazm!

    Aaj 'naye sho'ara' mein ek naye haftawar silsile ka aaGhaz kar rahi hun..Aaiye Girah lagaiye...jaise naam se hi zaahir hai ...main hafte mein ek misra dungi... aap ko apne deemaagh se us pe giraah lagani hai...aap chahein to misre ko pehla misra ki tarah istimal karein ya doosra..ye aapki marzi hai...magar koshish karein misra behr/wazan/rhythm mein ho....aur dono misron mein rabt ho... uske baad hafte ke end mein hum polling karenge... jiski girah sab se zyaada logon ko pasand aayegi...woh winner hoga us hafte ka...ek person kam se kam 2 entries de sakta hai...aur yaad rakhein poori ghazal nahi likhni hai bas ek sher jis mein ye misra ho...theek....shukriya....:salam:

    last date: 14 july.....


    MISRA:

    'kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse'(faraz)

    BEHR:

    ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
    1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)


    Aap sab ke participation ka intizaar rahega.... aaiye is mein hissa lein aur is silsile ko kaamyaab banaayein..shukriya....:rose
    Last edited by shummu; 7 July 2008, 12:42.

  • #2
    Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

    Walekum assalam ..!
    Buhat khoobsoorat silsila hai ....!

    Acha laga ..:)

    Comment


    • #3
      Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA



      رہِ جنوں میں اُمید وفا کرو اُن سے
      کہا تھا کس نے کہ عہدِ وفا کرو اُن سے

      plz baateiyya ga k sahi hai ?

      Comment


      • #4
        Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

        nice topic

        Comment


        • #5
          Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

          shummu jii
          buhat achcha silsila hai
          peghaam ke nauamooz shoaraa se darkhawst hai vo girah zaroor lagayeN
          pehlay pehal sab se ghalati hoti hai
          aur ham apni ghalatioN se hi seekhte heN
          regards
          zmufti

          Comment


          • #6
            Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

            boht zabardast silsilay ka aaghaaz hay.
            koshish k baawajood hum mien poetry k jaraseem nazar nahi aatay....kya kiya jaay.
            phir bhi koshish jaari rakhien gay.

            khush rahiay.
            Duaa

            Comment


            • #7
              Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

              ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
              1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)

              is sab ka matlab bhi to batla dien na.....:)

              Comment


              • #8
                Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                Bahot achha silsila shuroo kiya hai aap ne shummu
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                  Originally posted by Gul View Post

                  رہِ جنوں میں اُمید وفا کرو اُن سے
                  کہا تھا کس نے کہ عہدِ وفا کرو اُن سے

                  plz baateiyya ga k sahi hai ?
                  wah wah sis kya aaGhaz hai.... aap ne shuruwaat ki..dekh kar bahut bahut khushi hui......:thmbup: bahut umda girah hai... koshish kiya kijiye jo sher diya gaya hai use quotes ' ' mein rakha karein.....

                  aur silsile ko pasand farmaane ka behad shukriya :phool:

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                    Originally posted by Gul View Post
                    Walekum assalam ..!
                    Buhat khoobsoorat silsila hai ....!

                    Acha laga ..:)
                    Thanx gul :rose




                    Originally posted by life. View Post
                    nice topic
                    thank u life :D:


                    Originally posted by zmufti View Post
                    shummu jii
                    buhat achcha silsila hai
                    peghaam ke nauamooz shoaraa se darkhawst hai vo girah zaroor lagayeN
                    pehlay pehal sab se ghalati hoti hai
                    aur ham apni ghalatioN se hi seekhte heN
                    regards
                    zmufti
                    bahut shukriya zarqa sis is silsile ko pasand farmaane ka..aap bhi hissa lijiyega taakeh sab aap se bhi seekh sakein ke kaise ek achchi girah lagayi jaati hai....uske ilawa jab koi sher pesh kare to aap bhi islaah kar dijiyega agar kami beshi ho to....shukriya :rose


                    Originally posted by *Duaa* View Post
                    boht zabardast silsilay ka aaghaaz hay.
                    koshish k baawajood hum mien poetry k jaraseem nazar nahi aatay....kya kiya jaay.
                    phir bhi koshish jaari rakhien gay.

                    khush rahiay.
                    Duaa

                    bahut shukriya duaa ...han koshish karien..shuruwat maine bhi tukbandi se hi ki thi .....kya pata kal ko aap ek achchi shayera ban jaayein :)

                    Originally posted by WASI ANJUM View Post
                    Bahot achha silsila shuroo kiya hai aap ne shummu
                    shukriya wasi jee...aap ke participation ka intizaar rahega :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                      Originally posted by *Duaa* View Post
                      ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
                      1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)

                      is sab ka matlab bhi to batla dien na.....:)

                      heheh raaz ki baat hai nahi bataongi

                      kidding... :khi:

                      asl mein jab se ye thread lagayi hai..sab yahi pooch rahe hain aakhir ye bala hai kya lolz

                      isi section mein zmufti jee ne jo threads lagayi hai SHAYRI SEEKHIYE ke naam se...use parhiyega to kaafi madad milegi aur shayri ke rules..wazan..beher sab se waqfiyat hogi.... waise main yahan bhi koshish karungi explain karne ki...aap tukbandi to kijiye pehle :)

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                        mene shair likha to hai i think k kuch kami hai
                        aap batain k kahan mene galti ki hai?


                        نبھا وہی وعدے نہ جفا کرو ان سے
                        کہا تھا کس نے کہ عہد وفا کرو ان سے
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                          Originally posted by shummu View Post
                          Salam ahl-e-bazm!

                          Aaj 'naye sho'ara' mein ek naye haftawar silsile ka aaGhaz kar rahi hun..Aaiye Girah lagaiye...jaise naam se hi zaahir hai ...main hafte mein ek misra dungi... aap ko apne deemaagh se us pe giraah lagani hai...aap chahein to misre ko pehla misra ki tarah istimal karein ya doosra..ye aapki marzi hai...magar koshish karein misra behr/wazan/rhythm mein ho....aur dono misron mein rabt ho... uske baad hafte ke end mein hum polling karenge... jiski girah sab se zyaada logon ko pasand aayegi...woh winner hoga us hafte ka...ek person kam se kam 2 entries de sakta hai...aur yaad rakhein poori ghazal nahi likhni hai bas ek sher jis mein ye misra ho...theek....shukriya....:salam:

                          last date: 14 july.....


                          MISRA:

                          'kaha tha kisne ke ahd-e-vafaa karo unse'(faraz)

                          BEHR:

                          ma faa i lun, fa i laa tun, ma faa i lun ,fa i lun (fe' lun)
                          1 2 1 2, 1 1 2 2 ,1 2 1 2 ,1 1 2 (2 2)


                          Aap sab ke participation ka intizaar rahega.... aaiye is mein hissa lein aur is silsile ko kaamyaab banaayein..shukriya....:rose
                          Last edited by Mujahid Khan; 10 July 2008, 19:05.

                          Comment


                          • #14
                            Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                            Originally posted by WASI ANJUM View Post
                            mene shair likha to hai i think k kuch kami hai
                            aap batain k kahan mene galti ki hai?


                            نبھا وہی وعدے نہ جفا کرو ان سے

                            کہا تھا کس نے کہ عہد وفا کرو ان سے
                            misra kuch samajh nahi aaya..can u write in roman also...:rose

                            Comment


                            • #15
                              Re: Aaiye GIRAH lagaiye-naya HAFTAWAR SILSILA

                              Originally posted by Mujahid Khan View Post
                              attachment nazar nahi aaa raha/...kya aap phir se upload kar denge....shukriya

                              Comment

                              Working...
                              X