(2011) ke liye paiGhaam e Khayaal ke saath Khayaal kaa aadaab !!!!
arz e Khidmat hai
kyaa kuchh tum ne khoyaa hai aur kyaa kuchh tum ne paayaa hai
aa'eene meN waqt ne chehrah mohlat kaa dikhlaayaa hai
Zehn meN dhuNdlee taSweeroN kaa halkaa saa ubhraa hai aks
nazaroN meN guzree yaadoN kaa dilkash manzar chhaayaa hai
tanhaa tanhaa chalne waale thakkar aaKhir baiTh ga'ey
milkar chalne waaloN ne manzil kaa khoj lagaayaa hai
azm aur himmat , nek iraadoN ke saNg chalte jaaow tum
seedhe raste ne qadmoN ko manzil tak pohNchaayaa hai
kyaa kuchh karnaa thaa tum ne aur kyaa naheeN kar paa'ey ho
furSat ke iss pal ne aakar aaj yehee samjhaayaa hai
"Khayaal" Zaraa dunyaa se haT kar sochow kal ke baare meN
kuyN bekaar see dunyaa kaa kaaNdhoN par bojh uThaayaa hai
Ismail Ajaz Khayaal

Comment