Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

(2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

    (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal ke saath Khayaal kaa aadaab !!!!

    arz e Khidmat hai



    kyaa kuchh tum ne khoyaa hai aur kyaa kuchh tum ne paayaa hai
    aa'eene meN waqt ne chehrah mohlat kaa dikhlaayaa hai

    Zehn meN dhuNdlee taSweeroN kaa halkaa saa ubhraa hai aks
    nazaroN meN guzree yaadoN kaa dilkash manzar chhaayaa hai

    tanhaa tanhaa chalne waale thakkar aaKhir baiTh ga'ey
    milkar chalne waaloN ne manzil kaa khoj lagaayaa hai

    azm aur himmat , nek iraadoN ke saNg chalte jaaow tum
    seedhe raste ne qadmoN ko manzil tak pohNchaayaa hai

    kyaa kuchh karnaa thaa tum ne aur kyaa naheeN kar paa'ey ho
    furSat ke iss pal ne aakar aaj yehee samjhaayaa hai

    "Khayaal" Zaraa dunyaa se haT kar sochow kal ke baare meN
    kuyN bekaar see dunyaa kaa kaaNdhoN par bojh uThaayaa hai



    Ismail Ajaz Khayaal

    Attached Files
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

  • #2
    Re: (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

    seedhay rastay ne qadmon ko manzil tak pohnchaya hai ....wahh wahhh
    شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

    Comment


    • #3
      Re: (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

      Bohat khoob Ismail sahab, bohat hi khoobsurat andaaz say aap nay haal-e-dil ko lafzoon ki shakal main paish kia hay, likhtay rahyeh aur iss khoobsurat tehreer likhnay per khiraj-e-tehseen qubool kijyey.
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

        Originally posted by saraah View Post
        seedhay rastay ne qadmon ko manzil tak pohnchaya hai ....wahh wahhh
        saraah jee Khush rahiye ,Allah aap ko izzateN ataa farmaa'ey
        Ismail Ajaz (Khayaal)

        muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
        Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

        Comment


        • #5
          Re: (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

          Originally posted by thefire1 View Post
          Bohat khoob Ismail sahab, bohat hi khoobsurat andaaz say aap nay haal-e-dil ko lafzoon ki shakal main paish kia hay, likhtay rahyeh aur iss khoobsurat tehreer likhnay per khiraj-e-tehseen qubool kijyey.
          beHad karam nawaazee hai aap ko ,aap kee jaanib se HauSlah afzaa'ee izzat afzaa'ee ke liye dil kee gaihraa'iyoN se sipaasguzaar hooN
          Ismail Ajaz (Khayaal)

          muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
          Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

          Comment


          • #6
            Re: (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

            V nice thanks

            Comment


            • #7
              Re: (2011) ke liye paiGhaam e Khayaal

              Originally posted by T&T View Post
              V nice thanks
              maiN shukrguzaar hooN janaab aap kee nawaazishaat ke liye

              mamnoon
              Ismail Ajaz (Khayaal)

              muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
              Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

              Comment

              Working...
              X