salaam :)
aaj aap sab kai sath apni pehli nazam share karnai ja rahi hoon umeed hai pasand ai gi :)
aaj aap sab kai sath apni pehli nazam share karnai ja rahi hoon umeed hai pasand ai gi :)
~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~
Woh ankhain kaisi ankhain hain
Jo kahbi narmi sai dekhain to
Gumaan hota hai phooloon ka
Shabnam kai katroon ka
Yun lagta hai jaisai mein
Khushboo mein bikhri hoon
Jo kabhi shokhi sai dekhain to
Gumaan hota hai rimjhim ka
Dhanak kai rang chehrai par
Haya ban kar chalaktai hain
Yun lagta hai jaisa mein
Baharoon mein jeeti hoon
Jo kabhi mohabbat sai dekhain to
Yakeen hota hai jeevan ka
Kabhi khawaishoon ko panai ka
Kabhi sapnai sanjonai ka
Yun lagta hai jaisai mein
Jazboon mein dhali hoon
Woh ankhain aisi ankhain hain
Jo bas ek baar dekhain to
Meri hasti ko paa lain gi
Mujh khud sai juda kar k
FAQAT Apna bana lain gi
Yun lagta hai KEY jaisai mein
Khud HI ko haar bethi hoon
Jo in mein dard simtai to
Jahan sai khafa lagti hain
Kuch sochti kuch khamosh si
Mujhee ko khojhti lagti hain
Yun lagta hai k jaisai mein
Sard hawaoon ki zad mein hoon
Jo mujhse khafa ho jain to
Pal bhar mein andheri raat si
Har soo jaisai chai ho
Lamhon mein yun lagta hai
Sadiyaan si simat ai hoon
Yun lagta hia kai jaisai mein
Tanhai ki agosh mein hoon
Who ankhain aisi ankhain hain
Kabhi narmi sai kabhi shokhi sai
Kabhi mohabbat kai rangoon sai
Kabhi dard kai sai liyai
Kabhi khafa bhi ho jati hain
Mujh ko hidekhti rehti hain
Mujh ko hi mangti rehti hain
Apni apni si lagti hain
Yun lagta hai kai jaisai mein
Duaoon hi kai hisaar mein hoon:rose
Comment