Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

    salaam :)

    aaj aap sab kai sath apni pehli nazam share karnai ja rahi hoon umeed hai pasand ai gi :)
    ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

    Woh ankhain kaisi ankhain hain

    Jo kahbi narmi sai dekhain to

    Gumaan hota hai phooloon ka

    Shabnam kai katroon ka

    Yun lagta hai jaisai mein

    Khushboo mein bikhri hoon



    Jo kabhi shokhi sai dekhain to

    Gumaan hota hai rimjhim ka

    Dhanak kai rang chehrai par

    Haya ban kar chalaktai hain

    Yun lagta hai jaisa mein

    Baharoon mein jeeti hoon



    Jo kabhi mohabbat sai dekhain to

    Yakeen hota hai jeevan ka

    Kabhi khawaishoon ko panai ka

    Kabhi sapnai sanjonai ka

    Yun lagta hai jaisai mein

    Jazboon mein dhali hoon





    Woh ankhain aisi ankhain hain

    Jo bas ek baar dekhain to

    Meri hasti ko paa lain gi

    Mujh khud sai juda kar k

    FAQAT Apna bana lain gi

    Yun lagta hai KEY jaisai mein

    Khud HI ko haar bethi hoon



    Jo in mein dard simtai to

    Jahan sai khafa lagti hain

    Kuch sochti kuch khamosh si

    Mujhee ko khojhti lagti hain

    Yun lagta hai k jaisai mein

    Sard hawaoon ki zad mein hoon



    Jo mujhse khafa ho jain to

    Pal bhar mein andheri raat si

    Har soo jaisai chai ho

    Lamhon mein yun lagta hai

    Sadiyaan si simat ai hoon

    Yun lagta hia kai jaisai mein

    Tanhai ki agosh mein hoon



    Who ankhain aisi ankhain hain

    Kabhi narmi sai kabhi shokhi sai

    Kabhi mohabbat kai rangoon sai

    Kabhi dard kai sai liyai

    Kabhi khafa bhi ho jati hain

    Mujh ko hidekhti rehti hain

    Mujh ko hi mangti rehti hain

    Apni apni si lagti hain

    Yun lagta hai kai jaisai mein

    Duaoon hi kai hisaar mein hoon:rose

  • #2
    Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

    W salaam,


    Muskan ji bahoot khoob ek umdeh aur dilkash kavish humse share ki aapnien achchaa likhti hain aap, dili daad qabool karien khush rahien sada


    Jo mujhse khafa ho jain to

    Pal bhar mein andheri raat si


    Har soo jaisai chai ho

    Lamhon mein yun lagta hai

    Sadiyaan si simat ai hoon

    Yun lagta hia kai jaisai mein

    Tanhai ki agosh mein hoon

    Bahoooot khooob kyaa kehnien
    :tang: RISK IS MY BUSINESS

    DANGER IS MY GAME

    DONT PLAY WITH ME
    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

    Comment


    • #3
      Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

      :masha
      Khoobsurat aur umdah alfaz sey apni feelings ko biyaan kar bohat hi mushkil kaam hota hai, magar aap ney apni is haseen tar nazam mein bohat hi nafasat sey yeh kaam kiya hai. Agar yeh aap ki pehli nazam hai to yaqinan hamein Urdu shairi key ufaq par aik neya sitara ubharta huwa nazar aa raha. Muskaan ji, meri Allah Tala sey duaa hai keh aap key qalam mein mazeed zor pedah karein aur aap ka achha achha kalam parhney ka moqa milley. :rose :rose :rose

      Khush rahiye aur hamarey saath apna kalaam banti rahiye...
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

        Awsome thanks a lot for sharing with us be blessed :rose

        Comment


        • #5
          Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

          Originally posted by khurram_shaikh
          W salaam,


          Muskan ji bahoot khoob ek umdeh aur dilkash kavish humse share ki aapnien achchaa likhti hain aap, dili daad qabool karien khush rahien sada


          Jo mujhse khafa ho jain to

          Pal bhar mein andheri raat si


          Har soo jaisai chai ho

          Lamhon mein yun lagta hai

          Sadiyaan si simat ai hoon

          Yun lagta hia kai jaisai mein

          Tanhai ki agosh mein hoon

          Bahoooot khooob kyaa kehnien
          tareef ka bauhat shukriya khurram :rose

          aap bhi khush rahiyai sada :D

          Comment


          • #6
            Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

            Originally posted by Masood
            :masha
            Khoobsurat aur umdah alfaz sey apni feelings ko biyaan kar bohat hi mushkil kaam hota hai, magar aap ney apni is haseen tar nazam mein bohat hi nafasat sey yeh kaam kiya hai. Agar yeh aap ki pehli nazam hai to yaqinan hamein Urdu shairi key ufaq par aik neya sitara ubharta huwa nazar aa raha. Muskaan ji, meri Allah Tala sey duaa hai keh aap key qalam mein mazeed zor pedah karein aur aap ka achha achha kalam parhney ka moqa milley. :rose :rose :rose

            Khush rahiye aur hamarey saath apna kalaam banti rahiye...

            tareef ka bauhat shukriya masood :rose aur aap ki duaoon ka bhi :rose g nahi ye meri pehli nazam nahi hai shairi sai mujhe lagao hai likhti rehti hoon aur insha Allah yahan ab share bhi karti rahoongi aap ki hausla afzai ka bauhat shukriya :)

            Comment


            • #7
              Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

              Originally posted by ForumAdmin
              Awsome thanks a lot for sharing with us be blessed :rose
              khushi hui aap ko nazam pasand ai :rose aur dua par ameen sum ameen :)

              Comment


              • #8
                Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

                bohat zaberdast
                http://www.genericviagra2015shop.com/

                Comment


                • #9
                  Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

                  Originally posted by handsome
                  bohat zaberdast
                  tareef ka bauhat shukriya:rose

                  be happy :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

                    Muskan waqaee boht hi umdah kawish hey,yeh sub:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose aap k liye, aik lumhay ko to mujhey laga k PARVEEN SHAKIR ki koi nazm parh rahi hoon. Aap ne bilkul unhi jaisee mithas aur jazbon ki sachaii ko anokhay andaz mein qalam k spurd kiya hey. Allah aap ko PArveen jaisee hi shohrat aur izzat ata farmaye. Ameen :)

                    Comment


                    • #11
                      Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

                      buhat khoobsurat lafzo'n to khelna to koi aap say seekhay :)


                      buhat acha likha hai :rose


                      khush rahyeah buhat sara :)
                      Zindagi Thak Gaye ..!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

                        Originally posted by Muskan
                        Muskan waqaee boht hi umdah kawish hey,yeh sub:rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose aap k liye, aik lumhay ko to mujhey laga k PARVEEN SHAKIR ki koi nazm parh rahi hoon. Aap ne bilkul unhi jaisee mithas aur jazbon ki sachaii ko anokhay andaz mein qalam k spurd kiya hey. Allah aap ko PArveen jaisee hi shohrat aur izzat ata farmaye. Ameen :)
                        muskan is khuloos bhari tareef ka bauhat shukriya :rose parveen shakir meri pasandeeda shaira hain aur aap nai to mujhe un sai compare kardiya yakeen manain itna acha nahi likhti mein bas koshish karti hoon :rose umeed karti hoon aap ainda bhi yunhi mera hausla barhati rahain gi :)

                        khush rahiyai :rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: ~*~ woh ankhain kaisi ankhain hain ~*~

                          Originally posted by ~khawahish~
                          buhat khoobsurat lafzo'n to khelna to koi aap say seekhay :)




                          buhat acha likha hai :rose


                          khush rahyeah buhat sara :)

                          mein lafzoon sai nahi khailti dil ki baatain kehti hoon :rose khushi hui aap ko nazam pasand ai khush rahiyai :)

                          Comment

                          Working...
                          X