Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

    aslaam_u_alikam

    is forum per posting kii ibtidaa apni aik gazal sey ker rahi hun . umeed kertii hun keh ap sab pasand fermaaien gey.
    shukriya


    [MP3]http://www.forum.pegham.net/attachment.php?attachmentid=41.mp3[/MP3]
    Attached Files

  • #2
    Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

    MashaAllah Fatimha. Mera nahin khiyaal keh Pegham.net par is sey ziyada achha start is forum ka ho sakta tha. Allah Tala aap key qalam mein mazeed zor pedah karein aur aap achha achha kalaam ley kar yahan aain - shukriyah. :)

    Masood
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

      fatimah zabardast shayri hai tumhari :thmbup:

      kia voice record bhi ki hove hai ??mery paas play nahi hova jo tum nay post kia hai
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

        Originally posted by Fatimah
        aslaam_u_alikam

        is forum per posting kii ibtidaa apni aik gazal sey ker rahi hun . umeed kertii hun keh ap sab pasand fermaaien gey.
        shukriya


        [MP3]http://www.forum.pegham.net/attachment.php?attachmentid=41.mp3[/MP3]
        Walaikumusalaam Fatimah

        Bohat achi ghazal hai aap ki keep it up!!! :thumbs_up :kood:

        Take care
        Allah-hafiz

        Comment


        • #5
          Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

          hmm acha likha hai likhtey rahyeh share kertey rahyeh jeeti raho khush raho sada abad raho

          Comment


          • #6
            Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

            Originally posted by Aanchal
            fatimah zabardast shayri hai tumhari :thmbup:

            kia voice record bhi ki hove hai ??mery paas play nahi hova jo tum nay post kia hai

            Assalaam alekum,


            Tumhaare pass kuch chaltaa bhi hai :tang: :tang:
            :tang: RISK IS MY BUSINESS

            DANGER IS MY GAME

            DONT PLAY WITH ME
            BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

            Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

            Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

            Comment


            • #7
              Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

              Zaberdast fatima anti jeee
              http://www.genericviagra2015shop.com/

              Comment


              • #8
                Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                woa
                dear kia ghazal hai sach mein nice hai....:eye:
                pari pari hai iek pari:eye:

                Comment


                • #9
                  Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                  buhat khoobsurat :rose
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                    ey dost aa bhi jaa ke tera intezaar haiy !
                    khamosh hooN magar mera dil beqaraar haiy !
                    aankheiN beechi huviN haiN tere intezaar me
                    aur ab bhi be-panaah mujhe tujh se pyaar haiy
                    har-dam ke jhoote vaadoN se ye dil figaar haiy
                    jisko madaam tujh se shiqayat hazar haiy !
                    sir-kham kiya haiy tere sabhi faisloN pe aaj
                    lekin ajeeb si teri yeh rah-guzaar haiy !
                    mausam ke saath saath hi rishte badal gaye
                    aane lagin vafaaoN me keysi daraar haiy ?
                    tanha hi tey karenge safar zindaghi ka ab
                    veeran raastoN meN ye dil sau-gavaar haiy!
                    aati haiN ye sadaayeN mere dil se baar baar
                    Ey dost aa bhi jaa ke tera intezaar haiy !


                    Fatima sahiba,
                    Aadaab,

                    Dekh lijiye hume aapki ghazal kis qadar pasand aayii.
                    hume aaj bhi Urdu leekhne paRne me mushkil hoti haiy, magar aapki ghazal ko dekh kar paRa bhi aur transliterate bhi kiya, taaki hum jeyse doosre bhi is pyaari si ghazal se mehroom na rahe.

                    aap ka kalaam jab bhi paRti hooN humesha yehi lagtaa haiy jeyse humaare apne dil ki baat haiy, ye ghazal bhi seedhe dil me utar gayee haiy aur ise humne apne "dostoN ke kalaam" waale folder me bhi shaamil kar liya haiy. ek shaandaar ghazal pe humaari mubarakbaad kubool kareN.

                    Isi tarah sunaati rahiye, Allah kare zor-e-kalaam aur ziyada.

                    Aapki dost

                    Safiya
                    Last edited by Safiya; 5 May 2005, 02:41.
                    Naa mey shaam hooN, na sheher hooN
                    mera roop ek dhokaa haiy
                    mey vo raat hooN, jo theher gayee
                    mey vo chaand hooN, jo dhundlaa haiy

                    Comment


                    • #11
                      Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                      bauhat hi khubsurat ghazal likhi hai aap nai fatima :rose

                      Comment


                      • #12
                        Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                        Originally posted by Masood
                        MashaAllah Fatimha. Mera nahin khiyaal keh Pegham.net par is sey ziyada achha start is forum ka ho sakta tha. Allah Tala aap key qalam mein mazeed zor pedah karein aur aap achha achha kalaam ley kar yahan aain - shukriyah. :)

                        Masood

                        aslaam_u_alikam

                        bohat shukriyaa masood sahib.
                        is pazeraai key liye main aap ki behad mumnoon hun.:)
                        bohat shukriya

                        Comment


                        • #13
                          Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                          Originally posted by Fatimah
                          aslaam_u_alikam

                          is forum per posting kii ibtidaa apni aik gazal sey ker rahi hun . umeed kertii hun keh ap sab pasand fermaaien gey.
                          shukriya


                          [MP3]http://www.forum.pegham.net/attachment.php?attachmentid=41.mp3[/MP3]

                          :)
                          bohat hii khoob fatimah!
                          waah waah waaah
                          kya baat hay.
                          itne haseen aur khoobsoorat kalam par meri janib se bhar-pur daad qubool kijiye
                          najma
                          :)

                          Comment


                          • #14
                            Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                            aslaam_u_alikam

                            gazal ko itnaa saraaney key liye main aap sab ki mumnoon hun.
                            shukriya:)

                            Comment


                            • #15
                              Re: aae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey

                              Originally posted by jums
                              Walaikumusalaam Fatimah

                              Bohat achi ghazal hai aap ki keep it up!!! :thumbs_up :kood:

                              Take care
                              Allah-hafiz

                              aslaam_u_alikam

                              bohat shukriya jums ji

                              Comment

                              Working...
                              X