Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Tarahi mushaira

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Tarahi mushaira

    :embarasse
    Attached Files

    Comment


    • #17
      Re: Tarahi mushaira

      Mujahid saheb, Muzafar Mohsin saheb & sagheer saheb
      mushaire MeN aap ki shirkat ke liye mamnoon hooN
      aap sab ki ghazloN par tabsara 20 sep ke baad karoN gi

      bloo saheba
      yeh thread dekhiye

      http://www.pegham.com/forumdisplay.php?f=233

      aur jo baatieN samajh nahiN aayiiN phir se pooch lijye

      Almas saheba aap ki ghazal ka bhee intzaar rahe ga

      regards
      zmufti

      Comment


      • #18
        Re: Tarahi mushaira

        Originally posted by zmufti View Post

        bloo saheba
        yeh thread dekhiye

        http://www.pegham.com/forumdisplay.php?f=233

        aur jo baatieN samajh nahiN aayiiN phir se pooch lijye



        regards
        zmufti
        jee zaroor sis :salam:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #19
          Re: Tarahi mushaira

          waaaoooo

          Comment


          • #20
            Re: Tarahi mushaira

            لیجے جناب ہماری کاوش بھی حاضر خدمت ہے:rose
            Attached Files
            Mind Sciences

            Comment


            • #21
              Re: Tarahi mushaira

              Almas jee
              mushaire meN aap ki shirkat ke liye mamnoon huuN
              khush rahiye
              zmufti

              Comment


              • #22
                Re: Tarahi mushaira

                Originally posted by zmufti View Post
                Almas jee
                mushaire meN aap ki shirkat ke liye mamnoon huuN
                khush rahiye
                zmufti
                Zarra nawazi hai:rose wagarna mamnoon to mujhay hona chahiyay ke is mushairay se mujhay tahreek mili.:phool:
                Mind Sciences

                Comment


                • #23
                  Re: Tarahi mushaira

                  [quote=muzafarmohsin;504093]Merri Ghzal Haazir ha...

                  Kab Woh Sunttaa Ha Kahanni Merri..?
                  ===========================


                  nice bahot khob
                  rose:rose

                  Comment


                  • #24
                    Re: Tarahi mushaira

                    Originally posted by Sagheer View Post
                    :embarasse

                    bahot hia ache janab bahot khob isi trha agar jugali karte rahe to bahot nam kamaye gain janab

                    magar waqe main abahot acha likha hae

                    Comment


                    • #25
                      Re: Tarahi mushaira

                      bahot khob uon lab kusha howaye ke gulshan khila diye

                      Comment


                      • #26
                        Re: Tarahi mushaira

                        wha wha mujhaid sahab bahot khob

                        Comment


                        • #27
                          Re: Tarahi mushaira

                          Originally posted by Mujahid Khan View Post

                          Mujahid saheb
                          Mushaire meN sab se pehli ghazal aap ki hai so issi se shuru karti huuN
                          aap ne ghazal ko aaj hi edit kiyya hai shayad kissi se islaah karwaaii hai
                          ab aap ke tamaam ashaar bahar meN heN
                          Mushaire meN ghazal pesh karne ki aakhri taareekh 20 sep thii jis ke guzar jaane ke baad aap ko ghazal edit nahiN karna chahiye thii

                          regards
                          zmufti
                          Last edited by zmufti; 26 September 2007, 16:39.

                          Comment


                          • #28
                            Re: Tarahi mushaira

                            Who Teri Ketab Main Rakhi Nisahni Meri,,,,
                            Kab Tak Rakhe Gi Who Nishani Porani Meri,,,,

                            Tere Hijer Ke Sabhi Pahlo Main Guzri Jawani Meri,,,,
                            To Na Samjhe Ye Alag Bat Hae Mohabat Meri,,,,

                            Tere Koche Ke Dar O Bam Sunate Honge Khani Meri,,,
                            Zindagi Bar Bar Poche Hae Khna Guzari Hae Jawani Meri,,,

                            Kese Khe Don Ke Raahe Mohabat Main Us Ko Talab Na Thi Meri,,,,
                            Warna Pahron Dariche Par Khari Na Takti Sorat Meri,,,,

                            Ab Us Ko Jarorat Nahi Hae Meri,,,
                            Magar Rahe Gi Du Us Ke Sath HAMESA Meri,,,,,,,,,


                            Main Koi Sahir Nahi Hon Magar Kuch Ulta Sidha Likhne Ki Koshis Ki Hae Agar Koi Galti Ho To Nishandahi Karwa Dijye Ga...ap Logo N Ki Dua Ka Talbgar





                            A.h.khan

                            Comment


                            • #29
                              Re: Tarahi mushaira

                              Originally posted by muzafarmohsin View Post
                              Merri Ghzal Haazir ha...

                              Kab Woh Sunttaa Ha Kahanni Merri..?
                              ===========================



                              Kaash Bhaa Jatti Usey Haaey Nishaanni Merri..!
                              Kar Gai Ruswaa Mujhey Haaey Heeranni Merri..!

                              Is Bhurhappe Men Terri Yaad Ha,Aur Wo Lamhaat.
                              Jab Terra Saath Aur GUL RANG Jawaanni Merri..!

                              Is Qaddar Dard Thaa Yaa Teeraa Hawallaa Shaaid..!
                              Logg Suntte Hi Rahhe RAAT KAHAANNI Merri...!

                              Men Ne Chup Chaap Sahhe Zulm Gilaa Tak Na Kiaa..
                              Merri Ruswaai Kaa Baais Thi Naadaanni Merri...

                              Men Wo MOHSIN Hun Jisse Gairron Ne Bhi Dhutkaarra.
                              Apnnoo Nee Bhi Naa Sunni Baat Naa Maanni Merri..

                              ---===Hafiz Muzaffar Mohsin===---

                              Muzzafar saheb
                              aap ne achche mazameen baandhe heN
                              daad qabool kijye
                              taham mushaire meN jo Tarah ka misra diyya gaya thaa
                              us ke afaeel the

                              faailatun..failun...felun

                              aap ka sher hai

                              Kaash Bhaa Ja/tti Usey Haa/ey Nishaanni /Merri..!
                              Kar Gai Rus/waa Mujhey Haa/ey Heeranni Merri..!

                              faailatun/faailatun/faailatun/felun

                              aap ke matle meN aik rukan ziyada hai

                              neez hairaani aur naadaani yahaN istemaal nahiN ho sakte

                              issi tarah baaqi ashaar heN

                              aik aur baat
                              تری =tirri
                              تیری=teri



                              mujhe lagta hai aap ilm-ul-urooz se waaqif heN shayad jaldi meN aap ne ghazal post kar di

                              umeed hai agle mushaire meN aap ki ziyada behtar ghazal paRhne ko mile gii
                              regards
                              zmufti

                              Comment


                              • #30
                                Re: Tarahi mushaira

                                Originally posted by Sagheer View Post
                                :embarasse
                                sagheer saheb aap ke ashaar behar meN kar rahi huuN
                                pehlay sher ko dekhiye

                                faailatun/failatun/felun
                                kab vo sunta/ hai kahani/ meri
                                behra hai jai/se keh naani/ meri

                                baat sunta hai raqeeboN ki tu
                                sun bhee le kuch hi zabani meri

                                daal gal na saki ab tak meri
                                gal gayyi haaye jawani meri

                                khaa ke thappaR tirra ehsaas hua
                                keh tu ne qadr na jaani meri

                                jab gali meN tirri taange pe gaya
                                tooti har baar kamani meri

                                regards
                                zmufti

                                Comment

                                Working...
                                X