Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Allama Iqbal special..life

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Allama Iqbal special..life

    Haan, Numayan Ho Ke Barq-e-Didah-e-Khafash Ho
    Ae Dil-e-Kon-o-Makan Ke Raaz-e-Muzmir Faash Ho

    Comment


    • Re: Allama Iqbal special..life

      (Bang-e-Dra-124) Shayar

      Shayar
      The Poet


      Jooye Surood Afreen Ati Hai Kohsar Se
      Pi Ke Sharab-e-Lala Goon Mai Kada-e-Bahar Se

      The melodious brook is coming down from the mountain
      After drinking red wine from the tavern’s spring

      Comment


      • Re: Allama Iqbal special..life

        Mast-e-Mai-e-Kharaam Ka Sun To Zara Payam Tu
        Zinda Wohi Hai Kaam Kuch Jis Ko Nahin Qarar Se

        Comment


        • Re: Allama Iqbal special..life

          Phirti Hai Wadiyon Mein Kya Dukhtar-e-Khush Kharaam-e-Abar
          Karti Hai Ishq Baziyan Sabza-e-Murghzar Se

          Comment


          • Re: Allama Iqbal special..life

            Jaam-e-Sharab Koh Ke Khum Kade Se Urati Hai
            Past-o-Buland Kar Ke Tae Khaiton Ko Ja Pilati Hai

            Comment


            • Re: Allama Iqbal special..life

              Shayar-e-Dil Nawaz Bhi Baat Agar Kahe Khari
              Hoti Hai Uss Ke Faiz Se Mazra-e-Zindagi Hari

              Comment


              • Re: Allama Iqbal special..life

                Shan-e-Khalil Hoti Hai Uss Ke Kalam Se Ayan
                Karti Hai Uss Ki Qoum Jab Apna Shiaar Azari

                Comment


                • Re: Allama Iqbal special..life

                  Ahl-e-Zameen Ko Nuskha-e-Zindagi-e-Dawam Hai
                  Khoon-e-Jigr Se Tarbiat Pati Hai Jo Sukhanwari

                  Comment


                  • Re: Allama Iqbal special..life

                    Gulshan-e-Dehr Mein Agar Jooye Mai-e-Sukhan Na Ho
                    Phool Na Ho, Kali Na Ho, Sabza Na Ho, Chaman Na Ho

                    Comment


                    • Re: Allama Iqbal special..life

                      (Bang-e-Dra-123) Qurb-e-Sultan

                      Qurb-e-Sultan
                      Closeness To Kings


                      Tameez-e-Hakim-o-Mekhoom Mit Nahin Sakti
                      Majal Kya Ke Gadagar Ho Shah Ka Humdosh

                      The distinction between the ruler and the ruled cannot disappear
                      The beggar cannot have the audacity of being equal to the king

                      Comment


                      • Re: Allama Iqbal special..life

                        Jahan Mein Khawajah Prasti Hai Bande Ka Kamal
                        Razaye Khawajah Talab Kun Qabaye Rangeen-Posh

                        Comment


                        • Re: Allama Iqbal special..life

                          Magar Gharz Jo Husool-e-Razaye Hakim Ho
                          Khitab Milta Hai Mansab Parast-o-Qoum Farosh

                          Comment


                          • Re: Allama Iqbal special..life

                            Purane Tarz-e-Amal Mein Hazar Mushkil Hai
                            Naye Asool Se Khali Hai Fikar Ki Aghosh

                            Comment


                            • Re: Allama Iqbal special..life

                              Maza To Ye Hai Ke Yun Zair-e-Asman Rahye
                              “Hazar Guna Sukhan Dar Dahan-Wa-Lab Khamosh”

                              Comment


                              • Re: Allama Iqbal special..life

                                Yehi Asool Hai Sarmaya-e-Sukoon-e-Hayat
                                “Gadaye Ghosha Nasheeni To Hafiza Makhrosh”

                                Comment

                                Working...
                                X