Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Ghair kee nazroN se bach kar sab ki marzi ke Khilaaf

    Woh tera choari chhupay raatoN ko aana yaad hai


    Comment


    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      Zulmat-e-shab meiN jooN kiran phooTay

      Dil meiN youN us ki yaad dar aayey


      Comment


      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        Ye bheegti shaam mairi palkoN pe phir sitaarey saja rahee hai

        Utarney waali kisee ki yaadoN k jugnu-oN ki baraat ho gee


        Comment


        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          Woh zaKhm ki soorat meri yaadoN meiN khila hai

          Jis phool ki naadaan 'Saba' hai mutalaashee


          Comment


          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
            chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain


            Comment


            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              Lams gul jab lay gay-aa mujh koa tiray rukhsaar tak
              Khaar ban kar chubh gayeeN yaadaiN rulaanay kay liaye


              Comment


              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                شامِ شہرِ ہول میں شمعیں جلا دیتا ہے تو
                یاد آ کر اس نگر میں حوصلہ دیتا ہے تو


                Comment


                • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  yaad raKh hay yeh Hadeec-e-mu'tabar
                  pur.mu'aanee go baz'aahir mukhtaSar

                  niyyatoN par hay a'mal kaa daar-o-madaar
                  ho i'baadat yaa koi bhee naik kaar


                  Comment


                  • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    Aa gaya gar wasl ki shab bhee kabhee zikr-e-firaaq

                    Wo tera ro ro k mujh ko bhee rulaana yaad hai


                    Comment


                    • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Do pahar ki dhoop meiN mairey bulaaney k liyey

                      Wo tera koThay pe naNgey paa-oN aana yaad hai


                      Comment


                      • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        Maan liya dil waaloN par ek silsila jabr ka rahta hai

                        Hijr ki zanjeeroN meiN laikin itna tasalsul yaad nahiN


                        Comment


                        • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Yaad to ho ga tujh ko wo darya jo beech meiN haayil tha

                          Aur ek lahr ne toaR diya tha eklauta pul yaad nahiN


                          Comment


                          • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            Yaad k Khilwat kadey meiN kya koyee hai hamnasheeN?

                            Duur kaisey daf'atan ye dil ki tanhaayee huwee?


                            Comment


                            • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              Jo bhooli huwi yaad un ko aa bhee gayee

                              To phir bhula diya us ko hujoom-a'ada ne


                              Comment


                              • Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                Tamaam din, fikr-e-do jahaaN meiN, hameiN na un ka Kheyaal aayey

                                Sukoot-e-shab meiN magar koyee yaad ban k aayey to kya kareiN ham


                                Comment

                                Working...
                                X