Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

    Hum ko nahi malooM tha hai ishQ ka aghaaz
    YadooN main kahi dooR nikal janay ka mousaM


    Comment


    • #62
      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

      yeh lamhon ki nahi hai yeh sadiyon ki musafat hai
      kisi ki yaad sa sehra, mohabbat ham-safar meri
      wahi har waqt sochon par kisi ki yaad ka pehra
      wahi din raat ka jalna, mohabbat ham-safar meri


      Comment


      • #63
        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

        ye iztiraab saa kyaa hai ki muddaten guzariin
        tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue
        [Firaq Gorakhpuri]


        Comment


        • #64
          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

          ik shaam hai intezaar jaisi
          ik yaad hai yaad-e-yaar jaisi

          ik naqsh hai weham ki tarah
          ik shakal hai aitbaar jaisi


          Comment


          • #65
            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

            zindagee jab bhi teri bazm mein laati hai hame'n ...
            yeh zamee'n chaand say behtar nazar aati hai hame'n

            yaad teri, kabhi dastak kabhi sargoshi say
            raat k pichlay pehar roz, jagaati hai hame'n


            Comment


            • #66
              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

              yaadon k naye mosam nay ye ehsan kiya hai
              ab yaad mujhay dard puraanay nahin aatay


              Comment


              • #67
                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                chashm-e-saaqii mujhe har gaam pe yaad aatii hai
                raastaa bhuul na jaauuN kahiin maiKhaane kaa


                Comment


                • #68
                  Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                  Hawa jub Zard Patoun ko juda Shakhoun sey kerti hai,
                  Humein tum sey Bichar jana bohat he Yaad aata hai..


                  Comment


                  • #69
                    Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                    Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
                    Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le


                    Comment


                    • #70
                      Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                      Kab hoyi pyaar ki barsaat mujhe yaad nahin,
                      khof main doobi mulaqaat mujhe yaad nahi

                      Main tou madhosh thi kuch itna uski chahat mein,
                      us ne kab chor diya saath mera mujhe yaad nahi...


                      Comment


                      • #71
                        Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                        jaanii-pahchaanii hai har adaa, har nazar
                        haaN, magar ye nahiiN yaad dekhaa kahaaN
                        Muzaffar Hanf


                        Comment


                        • #72
                          Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                          Yaad Kr ke aur Bhi takleef Hoti Thi Aamir
                          Bhool Janey k siwa ab koi b chara na tha !!!


                          Comment


                          • #73
                            Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                            qaaim thay apne ehed pe deeda haye gham
                            kya Yaad aa gaya hai, nam-naak ho gaye
                            ab tak junoo'n hi apna asaasa raha magar
                            tuujh say milay tou sahib e idraak ho gaye


                            Comment


                            • #74
                              Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                              Yaad karte hai tumhe tanhai mein ,
                              dil dooba hai gamo ki garai mein,
                              hume mat dhoundna duniya ki bheer mein,
                              hum milenge tumhe tumahi parchaai mein


                              Comment


                              • #75
                                Re: Ashaar jin meiN lafz ►YAAD/ YAADAIN◄ ho

                                main apni aag k shaulon main roz jalta hoon
                                tumhary yaad k dukh kia sahoon ga tum ao


                                Comment

                                Working...
                                X