Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sirf ashaar

    tumhaare saath se mere suKhan kii shiiriinii
    tumhaare baad mirii guftuguu kii viiraanii


    Comment


    • Re: sirf ashaar

      Hota Tha Roz Jin Kay Tabassum Pe Aik Qatal...
      Be-Sakhta Hansay Tou Qayamat si Aa Gai.


      Comment


      • Re: sirf ashaar

        Us ka deewana hoon uss ko mehboob hoon,
        Kya yeh kam hai ke me us se mansoob hoon..


        Comment


        • Re: sirf ashaar

          زُلف و رُخسار کا منظر، توبہ
          شام اور صبح کی یکجائی ہے

          zulf-o-rukhsaar ka maNzer, touba
          shaam aur subh ki yakjaayi hai


          Comment


          • Re: sirf ashaar

            wo jab aaey ga tu phir os ki rafaqat k liye
            mausam e gul mere aangan main tehar jaey ga


            Comment


            • Re: sirf ashaar

              ye mae chhalak k bhi us husn ko pohanch na saki
              ye phool khil k bhi us ka shabaab ho na saka


              Comment


              • Re: sirf ashaar

                Tere firaq ke lamhe shumaar karte huye
                Bikhar gaye hain tera intizar karte huye


                Comment


                • Re: sirf ashaar

                  To mein bhi khush hoon koi ja ke us ko keh de
                  Agar woh khush hai mujhe beqarar karte huye


                  Comment


                  • Re: sirf ashaar

                    نظرحُسن آشنا ٹھہری وہ ، خلوت ہو کہ جلوت ہو
                    جب آنکھیں بند کِیں ، تصویرِ جاناں دیکھ لیتے ہیں

                    nazr husn-aashna thehri wo, khilwat ho k jalwat ho
                    jub aaNkheN band kiN, tasweer_e_jaanaaN dekh lete haiN


                    Comment


                    • Re: sirf ashaar

                      ﻧﺎﻡ ﺳﺎﺭﮮ ﺍﺳﯽ ﺍﯾﮏ ﭘﯿــــــﮑﺮ ﮐﮯ ﮨﯿﮟ
                      ﭘﮭﻮﻝ ، ﺧﻮﺷﺒﻮ ، ﺑﮩﺎﺭﯾﮟ ، ﺻﺒﺎ ، ﺯﻧﺪﮔﯽ

                      naam saare usii aik paikar k hain
                      phool , khushbo , bahaaraiN , sabaa , zindagii


                      Comment


                      • Re: sirf ashaar

                        Yeh marhala bhi mohabbat meiN khushgawar raha
                        Ulajhna tum se, tumhari he aarzoo karna


                        Comment


                        • Re: sirf ashaar

                          maiN ne puuja hai har ik roz tasavvur meN tumheN
                          dil ke maNdir meN chale aa'o inaayat hogii


                          Comment


                          • Re: sirf ashaar

                            Ussi se shikwa bhi rahta hai talkh goyi ka
                            Ke jis se apni tabiyat qarar pati hai


                            Comment


                            • Re: sirf ashaar

                              Beqarari Meri Dekh Li Hai To Ab Mera Zabt Bhi Dekh.?
                              Itna Khamosh Ho jaaonga Main Ki Tu Bhi Cheekh Utheygi.!


                              Comment


                              • Re: sirf ashaar

                                Tu Mere Kaif Ki Duniya Hai, Tu meri Masti Ka Alam
                                Paimana Ho'n Tu Tera Ho'n, Mekhana Ho'n Tu Tera Ho'n ..


                                Comment

                                Working...
                                X