Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sirf ashaar

    Samjhay Thay Tujh Say Dorr Nikal Jaye Gaye Kahi
    Dekha Tha Har Muqaam Teri Rah Guzar Main Hay
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • Re: sirf ashaar

      Samaj Laitay Hain Tum Ko Meri Sourat Dekhnay Walay
      Mera Chehra Tumhari Dastaan Maloom Hota Hay
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • Re: sirf ashaar

        Sang -e- Giran Hain Rah Main Lakhon Tu Kia Howa
        Manzil Chupi Hoii Tu Meray Hoslon Main Hay
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • Re: sirf ashaar

          Shayed Humay Aziz Nahi Apni Zindagi
          Lout Aaye Log Rah Khaternaak Dekh Kar
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • Re: sirf ashaar

            Shikwa Rakhta Hoon Mager Ajiz -e- Tamannah Yeh Hay
            Har Setam Bhi Tera Meri Hi Khata Ho Jesay
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • Re: sirf ashaar

              Shiddat -e- Ghum Ko Tabas-sum Say Chupanay Walay
              Dil Ka Har Raaz Negahon Say Ayaan Hota Hay
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • Re: sirf ashaar

                Sadaqat Ho Tu Dil Seenay Say Khanchay Lagtay Hain Waaz
                Haqiqat Khud Ko Manwa Laiti Hay, Maani Nahi Jati
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • Re: sirf ashaar

                  Sehra Main Kia Dhara Hay, Abhi Shehar Ko Na Chorr
                  Kuch Rooz Doston Ki Wafa Or Dekh Lay
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • Re: sirf ashaar

                    Sehra Say Meri Wapsi Be Waja Tu Nahi
                    Taqdeer Main Tha Shehar Ko Mismaar Dekhna
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • Re: sirf ashaar

                      Toufaan -e- Noh Lanay Say Ay Chasham Faida
                      Do Ashk Bhi Bohat Hain Ager Kuch Asar Karay
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • Re: sirf ashaar

                        Tool -e- Shab -e- Faraaq Say Ghabra Na Ja Jegar
                        Aisi Bhi Koii Shab Hay Keh Jis Ki Sehar Na Ho
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • Re: sirf ashaar

                          Aali Kis Ko Fursat Hogi Ak Tumhay Ronay Ki
                          Jesay Sab Yaad Aatay Hain Tum Bhi Yaad Aa Jao Gaye
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • Re: sirf ashaar

                            Ajab Qahat Para Ab Kay Saal Ashkon Ka
                            Keh Aankh Ter Na Hoii Khoon Main Naha Kar Bhi
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • Re: sirf ashaar

                              Umar Bhar Jalnay Ka Itna Tu Sila Paye Gaye Hum
                              Bhujtay Bhujtay Chand Shamay Tu Jalayain Gaye Hum
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • Re: sirf ashaar

                                Ghum -e- Hayaat Ki Azmat Ko Koii Kia Janay
                                Bahaar Day Kay Khariday Gaye Hain Weeranay
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X