Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf ashaar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: sirf ashaar

    Ay Dost Hum Nay Tark -e- Mohabbat Kay Ba-Wajood
    Mehsoos Ki Hay Teri Zarorat Kabhi Kabhi
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • Re: sirf ashaar

      Muskuranay Say Bhi Hota Hay Bayaan Ghum -e- Dil
      Mujh Ko Ronay Ki Bhi Aadat Ho, Zarori Tu Nahi
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • Re: sirf ashaar

        Wo Mujh Ko Chorr Gia Tu Yaqeen Aaya
        Koii Bhi Shaks Zarori Nahi Kesi Kay Liye
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • Re: sirf ashaar

          Ye Sadgi Thi Meri Ya Keh Saad Chahat Thi
          Keh Main Nay Khud Ko Kia Pesh Dil Lage Kay Liye
          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

          Comment


          • Re: sirf ashaar

            Honi Hay Tu Ak Baar Hi Ho Jaye Mohabbat
            Yeh Bhool Hay Aisi Keh Dobara Nahi Kartay
            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

            Comment


            • Re: sirf ashaar

              Kyun Pyaar Ki Bazi Say Ho Is Qadar Guraizan
              Kehtay Hain Keh Dil Haar Kay Bhi Hara Nahi Kartay
              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

              Comment


              • Re: sirf ashaar

                Main Kesi Kay Dast -e- Talab Main Hoon, Tu Kesi Kay Hurf -e- Dua Main Hoon
                Main Naseeb Hoon Kesi Or Ka, Mujhay Mangta Koii Or Hay
                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                Comment


                • Re: sirf ashaar

                  Yaad Mazi Azaab Hay Yarab
                  Cheen Lay Mujh Say Hafaza Mera
                  :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                  Comment


                  • Re: sirf ashaar

                    Unhain Yeh Shouq Keh Mohabbat Ki Beekh Main Mangon
                    Meri Yeh Zid Keh Taqaza Mera Asool Nahi
                    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                    Comment


                    • Re: sirf ashaar

                      Wo Dushmani Say Dekhtay Hain Dekhtay Tu Hain
                      Main Shaad Hoon, Hoon Tu Kesi Ki Negah Main
                      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                      Comment


                      • Re: sirf ashaar

                        Wo Koun Hay Jo Musafer Kay Saath Saath Chalta Hay
                        Jab Keh Khayal Yaar Bhi Hum Safer Nahi Rahta
                        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                        Comment


                        • Re: sirf ashaar

                          Wo Ajnabi Tha Kyun Phair Kar Mujh Say Aankhain
                          Guzar Giya Kesi Dareena Aashna Ki Tarah
                          :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                          Comment


                          • Re: sirf ashaar

                            Kabhi Tu Khul Kar Baras Zameen Per Abar -e- Meharbaan Ki Tarah
                            Keh Mera Wajood Hay Ak Jaltay Howay Makaan Ki Tarah
                            :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                            Comment


                            • Re: sirf ashaar

                              Wo Is Kamaal Say Khaila Tha Ishq Ki Bazi
                              Main Apni Fatah Samajta Raha Maat Honay Tak
                              :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                              Comment


                              • Re: sirf ashaar

                                Us Kay Dil Per Bhi Kari Ishq Main Guzri Ho Gi
                                Naam Jis Nay Bhi Mohabbat Ka Saza Rakha Hay
                                :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

                                Comment

                                Working...
                                X