Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Originally posted by Rosy View Post
    Aaeenay k sau tukray hum nay kar k dekhain hain



    ek main bhi tanha thay aur 100 main bhi akelay hain
    Rosy shair to bohat zabardast hai, aur yeh ghazal Munni Begum ney jo gaii hai mujhey bohat pasand hai - magar shair mein aap ney kuchh alfaaz ka izafa kar diya hai, asal shair yun hai:

    aainey key so tukrey kar key ham ney dekhey hain
    aik mein bhi tanha they, so mein bhi akeley hain
    bheerr hai qayamat ki phir bhi ham akeley hain
    zindagi ki rahon mein ranj-o-gham key mailey hain

    Noon sey:

    Nasir ham ko mila tha, tanha aur udaas
    wohi purani batein uski, wohi purana roag
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~



      Galiyon mein wahi larkay haathoon mein wahi pathar
      kiya log mohabbat ko her daor mein maaren gay?
      sigpic

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Yeh Raaz onhein maloom na thaa , yeh baat onhein maloom tu thee
        Kuch loag Muhabbat kartay hein , kuch loag Muhabbat jeetay hein
        My own
        Last edited by Gul; 7 February 2008, 01:40.

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Originally posted by Masood View Post
          Noon sey:

          Nasir ham ko mila tha, tanha aur udaas
          wohi purani batein uski, wohi purana roag
          Ji shukriya galti ki nashaandahi ka.
          bahut din hogay thay sunkar acchi tarha yaad nahi hai.

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            Na khuda raha na sanam rahay, na raqeeb dairoo haram rahay
            na rahi kaheen asad-e-elahi, na kaheen abu lahbi rahi
            ------

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Ya rab meray naseeb ka koi faisla tu ho
              mein yunhi doob jaoon ga k sahil b aa-ay gaa
              Last edited by Gul; 7 February 2008, 08:30.

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~


                Aejaaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana
                tu ta huwa hai asia main saher-e-farangiyaana
                ***

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Originally posted by Rosy View Post
                  Aejaaz hai kisi ka ya gardish-e-zamaana
                  tu ta huwa hai asia main saher-e-farangiyaana

                  ***
                  A ishq tu ne ANJUM ko ye kiya bana diya
                  ik shareer larka tha shayer bana diya
                  (My own)
                  Last edited by WASI ANJUM; 7 February 2008, 18:52.
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Aey merey hamnasheen chal, kahin aur chal
                    is chaman mein koi apna thikana nahin
                    baat hoti gulon tak to sah letey ham
                    ab to kanton peh bhi haq hamara nahin
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Originally posted by Masood View Post
                      Aey merey hamnasheen chal, kahin aur chal

                      is chaman mein koi apna thikana nahin
                      baat hoti gulon tak to sah letey ham

                      ab to kanton peh bhi haq hamara nahin
                      نہ جانے دیکھہ کہ کیوں ان کو یہ ہوا احساس
                      کہ میرے دل پہ انہیں اختیار آج بھی ہے
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Yeh na thi hamaari kismat k visaal-e-yaar hota
                        agar aur jeetay rahtay yahi intezaar hota
                        ***

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Aa k ab tasleem kar lein tu nahi tu mein sahi
                          Koan manay ga k hum mein be-wafa koi nahi

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Na poochh kaisey guzarti hai zindagi Nasir
                            bas aik jabar hai yeh ikhtiyar agar hai bhi
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Yeh Faisloun k tasadam, Yeh Saneha-e Visaal
                              hamein khabar na thee ROOH Ka azab hotay hein

                              My OWN

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                naraaz hain mujh say teri shamain teri raatain
                                main chandni ourhay huey barson say khara hon

                                Comment

                                Working...
                                X