Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Ya itna sakht jaan keh talwaar be'asar
    ya itna narm keh rag-e-gul sey kat geya

    shakeeb jalali

    Next ALIF
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      Apno nay sath choor diya us ky bawajood
      derya ghamo ka dil say utar bhe nahe raha


      alif

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Ashk aankhon me merii dekh ke rotay kyon ho
        dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Wao sey shair hazir hai - agla shair - Ye sey ho ga.
          Attached Files
          Last edited by Masood; 17 January 2006, 21:13. Reason: Wrong Shaair
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            yeh keh ke dil ney merey hosley barhaey hain
            ghamon ki dhoop key aagey khushi key saaye hain

            agla Noon sey :)
            :rose

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              :) Noon sey shair hazir hai - agla shair - Laam sey ho ga.
              Attached Files
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Originally posted by Masood
                :) Noon sey shair hazir hai - agla shair - Laam sey ho ga.
                liye wade hazaron un se humne is tamanna per,
                keh sadha jhoot mein ek adh sachha ho hi jata hai!

                (sadha-in hundreds)

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Yaad ker ky mujhy takleef he hote hoge
                  aik qissa hon purana bhula day mujhko

                  next wao

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    Wo Wafa na Sahi Bewafai hi Kar Lai Shahid
                    Khushian na Sahi Zakhm hi dai dai Mujh Ko



                    Wao

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Vo mujh sy poch raha tha batao kesa laga
                      puranay zakhmo ko chor yay ghao kesa laga
                      ajab sawal kiya aandhiyo ny paton say
                      shajar say tout ker girna batao kesa laga


                      alif

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Aa Ja K Abhi Zabt Ka Mosam Nahin Guzra
                        Aa Ja K Paharon Pay Abhi Barf Jami Hay
                        Khushbu K Jazeron Say Sitaron Ki Hadon Tak
                        Is Shehr Main Sub Kuch Hay Bus Aik Teri Kami Hay



                        Next ...Ye" :)

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Originally posted by Kainat
                          Aa Ja K Abhi Zabt Ka Mosam Nahin Guzra
                          Aa Ja K Paharon Pay Abhi Barf Jami Hay
                          Khushbu K Jazeron Say Sitaron Ki Hadon Tak
                          Is Shehr Main Sub Kuch Hay Bus Aik Teri Kami Hay



                          Next ...Ye" :)
                          mujhe yeh shair bauhat hi pasand aya!

                          yeh khuda ki dain aajeeb hai keh isi ka naseeb hai,
                          jise tu ne chaha woh milgaya,jise mei ne chaha mila nahi!

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            yun dekhti he jese dekhti nahi nazer
                            zalim ke dekhne ke ye andaz dekhna

                            next alif

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Us mosam - e - wehshat ki akser humay yad ae
                              jab ishq tamasha tha aur husn tamashaae
                              is koay malamat main pather to bohat aa'ay
                              aik wo na nazar aaya jis sy the shanasaee

                              yay

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Kis liay rakhna dar - o - baam ki chahat ka azaab
                                umer raston main guzarne hai ghar kiya rakhna
                                hum ny sochny hansny ka hunar seekh liya
                                dard rakhna to deeda - e - ter kiya rakhna


                                alif

                                Comment

                                Working...
                                X