Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    yeh jo zindagi ki kitaab hai yeh kitaab bhi kya kitaab hai
    kahin ik haseen sa khawab hai kahin jaan lewa azzab hai
    kahin chhaoun hai kahin dhoop hai kahin aur hi koi roop hai
    kaii chehrey is mein chhupey huwey ik ajeeb si yeh naqaab hai
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      yay hum bhi gawara kerty hain yay tum bhi gawara ker laina
      Ro ro kay guzaari hain hum nay Tum hans kay guzara ker laina
      Baytabi hud say barh jay aur neend na aa,ay raatoo ko
      To doob kay meri yaadon mai dunya say kinara ker laina

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain
        ek ham hi nahin duniya sey khafa aur bhi hain
        kya huwa gar merey yaaron ki zubanein chup hain
        merey shahid merey yaaron key siwa aur bhi hain
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Na kabhi mita sako gay mery dil say naam apna
          Kay bhari pari hai yay dil ki kitaab sooch lainaa

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            aa chaandni bhi meri tarah jaag rahi hai
            palkon peh sitaron ko liyey raat kharri hai
            ham Dilli bhi ghoom aaey Lahore bhi ghuumey
            aey Yaar magar teri gali teri gali hai
            Last edited by Masood; 22 June 2011, 15:11.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Yaadon ki aag thi kay khayaloon ki chandni
              shab bhar mery makaan mai aik rooshni rahi

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                yeh aarzu hai keh jab bhi galey lagaoun ussey
                hisaar-e-zaat sey bahir nikaal laoun ussey
                woh jal raha tha karri dhoop ki tamazat mein
                mila jo ab to aurrha doon ga apni chhaoun ussey
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  yay kaise dhund hai , hum tum safer e aghaaz ker baithy
                  Tumhain aankhain nahi milti humain chahra nahi milta
                  Her ek tadbeer apni raigaan tahri mohabbat main
                  Kise bhi khawab ko tabeer ka rasta nahi miltaa

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    ajnabi chehron mein ik mera shanasa mera dil
                    dhoondhta phirta hai koi apney jaisa mera dil
                    aankh jazbon ki kitni daastanein kah gaii
                    khoii khoii teri aankhein roya roya mera dil
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Assalam O Alaikum WR WB ...

                      لے دے کہ اب یہی ہے نشان ِضیا قتیلء
                      جب دل جلے تـو اُس کـو دِیا کہہ لیـا کرو
                      Last edited by Mahvish Waqas; 22 June 2011, 15:35.


                      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Woh ham sey huwey ham'kalaam Allah Allah
                        kahan main kahan yeh muqaam Allah Allah
                        woh ru-e-darakhsaan woh zulfon key saaey
                        woh hangama-e-subah-o-shaam Allah Allah

                        Last edited by Masood; 22 June 2011, 15:39.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          ji Masood Sahab Net ka maslah tha is lian deer main howa edit ker k laam se likh diya hai sher shukria


                          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Ham apni wazaa k bandy hen, ham apni tarz k insaan hen,
                            Kuch maan tera b rakhna tha, youn jeet k baazi haary hen..!!


                            میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                            میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              Nice one Mehwish

                              naqsh-e-Khiyaal dil sey mitaya nahin hanooz
                              bedard main ney tujh ko bhulaya nahin hanooz
                              mar kar bhi aaey gi yeh sada qabr-e-Josh sey
                              bedard main ney tujh ko bhulaya nahin hanooz
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                Originally posted by Masood View Post


                                it's easy to write in unicode but it's damaging Urdu language.
                                Hawaoun ki hamza ghaib hai
                                Khawahish ki imla ghalt hai
                                Bahon mein do aankhon wali hey nahin chhoti hey aati hai
                                Sambhalna mein meem nahin noon aati hai, jo meem ki aawaz deti hai....
                                کبھی اٹھکلیاں کرنا ہوائوں سے
                                کبھی تتلیوں کی خوائش میں مچلنا
                                ہمیں بھی بس راس آتا جارہا ہے
                                تمھارے غم کی بانہوں میں سنبھلنا
                                done & thank you very much for correction :rose
                                ہے الف و لیلہ سی زندگی درپیش
                                سو جاگتی ہوئی ، اک شہر زاد ہے دل میں

                                Comment

                                Working...
                                X