Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    Ramzein on ki wohi janein humein tu bass itni khabar achi
    keh keh daynay say acha lagta hay khamoshi ki zuban sun-na

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      itna bhi waqt kab tha keh patwar tham they
      aisi chali hawa keh safeeney ulat gaey


      yey
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        yeh kashti-e-hiyat, hawa-oun k rukh pay hay
        hum khud hee jhailtay hein qismat ka khel dayko
        wao

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          wohi karwaan, wohi raastey, wohi zindagi, wohi marhaley
          magar apney apney muqaam per, kabhi ham nahin kabhi tum nahin


          Noon
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            nahi hay zabat ab itna keh sailaboun ko yeh rokein
            palkoun kay yeh nazuk band tu ab kholnay hee walay hein
            noon

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Na tifal ban, na dila mehw-e-husn-e-surat ho
              khaloney miti key kartey hain be'shaoor pasand


              Daal
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Day do naam oss ko wafa ka cha-hay ya keh do jafa ossko
                kay dil mein nam tu hay onn ka , kiya hay jo wo nahi apnay
                yey

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  yeh kau dil key andheron sey shaam hotey hi
                  chiragh ley key guzarta dikhaii deta hai


                  yey
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    yeh aankhein hee hein jalti jab koi tareek saya ho
                    jo kahin pay rooh kay rastay dil mein aa k chaya ho
                    jahan pay guzray lamhoun kay sabhi qisay chupa-ay houn
                    jahan pay waqt nay khushi ka koi geet gaya ho..

                    Wao

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      woh khar khar hai shakh-e-gulab ki manind
                      main zakhm zakhm hoon phir bhi galey lagaoun ussey


                      yey
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        yeh gulab say sajay rastay jin pay sab hans kay chal gay hein
                        kantoun nay hee tu in gulon ko zamany say bachaya
                        alif

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          Ab key saal poonam mein jab tu aaey gi milney
                          ham ney soch rakha hai, raat yun guzarein gey
                          dharkanein bichaa dein, shokh terey qadmon mein
                          ham nigahon sey teri aalki utarein gey


                          yey
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            yeh kahan ki dosti hay keh banay hein dost naseh
                            koi chara saz hota koi ghumgusar hota
                            Alif

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              aashiyana, na qafas aur na chaman yaad aaya
                              aankh khulney bhi na paii thi keh sayyad aaya

                              alif
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                ab tu wafa kay zikar say bhi dil ghabrata hay
                                jab bhi sham dhalnay pay soraj b sath choray tu!

                                wao

                                Comment

                                Working...
                                X