Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~Bait Baazi~~

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~~Bait Baazi~~

    yeh kia jagah hay dosto
    yeh koan sa diyar hay
    had-e-nigah tak jahan
    ghubar hee ghubar hay

    Comment


    • Re: ~~Bait Baazi~~

      yuu.N fikr me.n har shaKhs kii Khud ko na ghulaao
      jiinaa hai to phir dil ko bhii patthar kaa banaao

      Comment


      • Re: ~~Bait Baazi~~

        Originally posted by <<Muqadas>> View Post
        yuu.N fikr me.n har shaKhs kii Khud ko na ghulaao
        jiinaa hai to phir dil ko bhii patthar kaa banaao

        wo aur hongay jo toofan say ghabraein hon gay
        apna tu jeena aur marna hay tofanoun ko saichna

        Comment


        • Re: ~~Bait Baazi~~

          Ab to ho gaye aadi uski kam nigahii keyy...
          pehle us se shikwe the ab gila nahin rakhtay

          Comment


          • Re: ~~Bait Baazi~~

            yeh sila mila hai mujh ko teri dosti key peechey
            keh hazaaron gham lagey hain meri zindagi key peechey
            koi un sey jaa keh itna zara aey Shakeel kah dey
            main huwa jahan mein ruswaa teri aashqi key peechey


            yey
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: ~~Bait Baazi~~

              Ye na ho tum kabhi usko mitana chaho na mitte
              Mujhe apna samjh lena magar apna nahi likhna

              Comment


              • Re: ~~Bait Baazi~~

                Originally posted by Masood View Post
                yeh sila mila hai mujh ko teri dosti key peechey
                keh hazaaron gham lagey hain meri zindagi key peechey
                koi un sey jaa keh itna zara aey Shakeel kah dey
                main huwa jahan mein ruswaa teri aashqi key peechey

                yey
                yaad kar k na yun mujh ko bhulatay tum bhi
                jaisy oss nay tha rulaya na rulatay tum bhi

                Comment


                • Re: ~~Bait Baazi~~

                  Originally posted by <<Muqadas>> View Post
                  Ye na ho tum kabhi usko mitana chaho na mitte
                  Mujhe apna samjh lena magar apna nahi likhna
                  Oljha howa Taaklum, Ghut-ti howi hein saansein,
                  Koi Ozn-e-Guftagoo dou, ya khata meri bata dou.....

                  Comment


                  • Re: ~~Bait Baazi~~

                    wohii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaron taraf
                    jo mere baKht mein thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai

                    Comment


                    • Re: ~~Bait Baazi~~

                      Yaad aata hay mujhay ab woh zamana-e-GHUM
                      jab koi yaad na thee aur koi fikr na thaa
                      Kho-ay rehtay thay kissi khab aur khiyaloun mein
                      rooh mein tu tha bass lab pay jo zikr na thaa

                      Comment


                      • Re: ~~Bait Baazi~~

                        Aey dasht e junoon torr na darwaza e zindaan
                        main poch to loon paaun ki zanjeer se pehley

                        Comment


                        • Re: ~~Bait Baazi~~

                          aey dil na bnaa ghair ko mehram apna
                          har zakhm peh aap rakh tu marham apna
                          tanhaii mein aap apney dukh dard ko jheel
                          apney ko bnaa aap hi hamdam apna :)


                          alif
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: ~~Bait Baazi~~

                            Aik khvaab hai is khvab ko khona bhi nahin hai
                            taabeer ke dhage mein pironaa bhii nahinn haii
                            liptaa haii mairay dill sey kissii raaz kii suratt...
                            woh shakhs key jis ko maira hona bhi nahin hai

                            Comment


                            • Re: ~~Bait Baazi~~

                              yeh chaman'zaar yeh jamna ka kinara
                              yeh munaqqash dar-o-deewar, yeh taaq
                              ik shehanshah ney daulat ka sahara ley ker
                              ham ghareebon ki muhabbat ka urraya hai mazzaq


                              Qaaf
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: ~~Bait Baazi~~

                                qamar mein ojala hay shams say jaisay
                                tu bhi rehta hay meray wajood mein aisay

                                Comment

                                Working...
                                X