Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    shehar key dukandaro, karo-o-bar-e-ulfat mein
    sood kya zayan kya hai tum na jaan pao gey
    dil key daam kitney hain khawab kitney mehangey hain
    aur naqad-e-jaan kya hai tum na jaan pao gey
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Originally posted by Masood View Post
      aho pichha naii chhadna nii :D
      naaaaaaaa:na:

      Originally posted by Masood View Post
      shehar key dukandaro, karo-o-bar-e-ulfat mein

      sood kya zayan kya hai tum na jaan pao gey
      dil key daam kitney hain khawab kitney mehangey hain

      aur naqad-e-jaan kya hai tum na jaan pao gey
      wah....gooooooooddd

      topic

      meri raat din me chupi hui mera din chupa kisi raat me
      meri zindagi koi raaz hai koi raaz hai meri zaat me
      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        yaaraan-e-bazm-e-jurr'at-e-ri.ndaanaa kyaa hu_ii
        un mast a.nkha.Diyo.n ke ishaare kahaa.N gaye

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          Tu ney daikha nahin aaine sey aagey kuch bhii
          khud parasti mein kahin tu na gawa de mujh ko
          khud ko main bant na dalon kahin daman daman
          karr diya tu ney agarr maira hawaley mujh ko...

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Woh shakhs jo kausarr maira apna bhi nahin hai
            ho jaye kissi aurr ka mujhay achaa nahin lagtaa

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Nigahein shauq ki thin badhawasiyan warrna Ghalib
              hazaar baar wohh mehfil mein be-naqaab aayaa...

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                Ajnabi shehar yeh nisbat to rahe gi tujh se
                tairii galiyoon mein rehta haii apnaa koiii..

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Woh jis ke shaane pe haath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka
                  tairi gali se na jaaney kyun aaj sar jhukaa key guzarr gaya wohh

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    vahii sipaah-e-sitam Khemaazan hai chaaron taraf
                    jo mere baKht mein thaa ab nasiib-e-shahar bhii hai

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai merii bekasii kaa mazaar hai
                      main vo phuul huon jo na khil sakaa merii zindagii mein wafa kahan

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        wafa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
                        agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          majborioN ki baat chalie ha tu ma-e kahaN
                          hum ne pia ha zahar be aksar khushi k sath

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            wohi manzlain wohi marhaley----------- wohi karwan wohi raastey
                            magar apney apney muqaam per kabhi hum nahi kabhi tum nahi

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              Wo Ham Say Baat Nahe Karti Tu Na Karay
                              Haal Sara Un Ke Dil Ka Suna Deti Hain Ankhein

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                yeh ujrha hua ghar ussi ki to aik nishani hai
                                jo apney naam ki takhti laga kay chhorh gia

                                Comment

                                Working...
                                X