Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    maza aa jaey ga mehshar mein kuchh suneney sunaaney ka
    zuban to meri ho gi aur kahani aap ki ho gi
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Originally posted by Masood View Post
      hehe qayamat aa jaey gi tumharey sambhaltey sambhaltey :kr:

      ::::::::::::::::::::::::


      Woh mehrbaan rahey bhi to kab tak hamarey, hui shama gul aur doobey sitarey
      Qamar is qadar unko jaldi thi ghar ki, woh ghar chal diyey chandni dhaltey dhaltey
      haaan....achaa to apki hopes Qaayamat takk kaim rahengi...
      bohat himmat hai.... 372-haha


      wah wah.... kiske ghar??? 372-haha
      (sorry....:kr: )




      BaRhe usKa ghAm to kaRar kHo deY
      wo meRe ghAm kAy KhAyal se...
      Uthey HaaTh aPney liYe to phiR bhi
      Mere liYe hi dUa KarAy...




      Comment


      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        hansnay ka shoq hum ko b thaa aap ki trah
        hansiye magr hansanay ka maza hum se poochiye........
        شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

        Comment


        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          Kat to jaati hai magar raat ki fitrat hai ajeeb
          Is ko chup chaap jo kaato to sadee ban jaye
          sigpic

          Comment


          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Maloom hain mujh ko terey ahwaal keh main bhi
            muddat hui thi guzra tha isi raah'guzar sey
            Last edited by Masood; 15 January 2009, 15:56.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              aqal Naasikh Hai Har Dam Lagzish E Paa Ka Khyaal
              dil Wo Diwana Yehi Chahay K Nadani Kre
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment


              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                kaun janey yeh muhabbat ki saza hai keh sila
                ham kinarey peh bhi pohanchey to kinara na mila
                bujh geya chand kisi dard bharey dil ki tarha
                raat ka rang abhi aur bhi kala ho geya
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  Woh mujh ko bhool betha hai nahi hua hairan sun kar
                  woh apni aam si cheezon ko aksar bhool jata hai
                  sigpic

                  Comment


                  • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    Ilm-o-fun key deewaney, aashqi sey dartey hain
                    zindagi key maarey hain, zindagi sey dartey hain
                    yun to ham zamaney mein kab kisi sey dartey hain
                    aadmi key maarey hain, aadmi sey dartey hain
                    tauba aur jawani mein, aey Khumaar kya kehna
                    log aap jaisey hi, mutaqqi sey dartey hain
                    Last edited by Masood; 15 January 2009, 18:04.
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      suraahi bazm me jab qehqhay ughalti hai
                      sakoot e jaam pe derveish muskurata hai
                      شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                      Comment


                      • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        boht pehlay ye nazm perhi thi kisi magazine mein.....jis ki wordings kuch change kar k apni diary mein note kiya.....its one of my favrt :rose


                        chalo us des chalien

                        jahan phool khile hon pather mien
                        jahan deep saje hon gher gher mien
                        jahan her mausam ho bheega sa
                        jahan sehra bhi ho derya sa
                        jahan ansoo heeray mooti hon
                        jahan aankhien jheel si gehri hon
                        jahan ghanghor registano mein bhi

                        khumaar ki titli urti ho

                        chalo us des chalien
                        Aoo chalo us des cahlien

                        jahan aag hawa ka anchal ho
                        jahan noor shafaq sa kajal ho
                        jahan gaiso gaiso badal ho
                        jahan sher bayan mien shamil ho
                        jahan matlah shabnam sa tapke
                        jahan maqtah khushboo sa mehke
                        jahan ghazal bhi jaam-o-saghir ho
                        jahan her mausam hi shair ho
                        chalo us des chalien

                        jahan shaam sawere milte hon
                        Jahan sab apany samajhtay hon
                        jahan gham ke phool na khilte ho
                        jahan log dhanak ko urhte hon
                        jahan gham bhi oos mien dhulte hon
                        jahan qadam qadam kinare hon
                        jahan jugnu shaam ke tare hon
                        jahan zakhm zakhm sunhera ho
                        jahan dukh pe lakhon pehra ho
                        jahan girya shaaz-o- nadir hon
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          jo fareb main ney khaya, tujhey raazdaan samajh ker
                          ussey kaisey bhool jaoun ik daastaan samajh ker
                          na mitao thokron sey yeh mizaar hai kisi ka
                          zara reham kar Khudara issey ik nishaan samajh ker
                          arey O jilaaney waley, yeh tera hi tha nasheman
                          jissey tu ney phoonk dala mera aashiyaan samajh ker
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            kahnaiyaan hi sahi sab mubalghay hi sahi
                            agar wo khwaab hai taabeer kr k dekhtay hain
                            شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

                            Comment


                            • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              meri rooh ki haqeeqt merey aansuoun sey poochho
                              mera majlisi tabbassum mera tarjumaan nahin hai
                              inhi pathron peh chal keh agar aa sako to aao
                              merey ghar key raastey mein koi kehkashaan nahin hai
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                Usee ka sheher wahi muddai wahi munsif
                                Hame yaqeeN tha hamara qusoor niklega
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X