Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

    Samandar ky musafir thay dar badar rehtay
    tumhare aankh na hote yo kidher rehtay
    zahay naseeb kay tum sa mila ha dost humay
    vagarna dard ki lazzat say bay khabar rehty

    Comment


    • #47
      Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

      Anaa ki qaid se nikley mohabbat to ker lai
      Wo mera sath nibahney ka hosla to ker lai
      Kabhi na tootney' wala hisar ban jaoo....
      Wo meri zaat mei rehne ka faisla to ker lai
      Last edited by 'SamRazi'; 23 June 2005, 07:32.
      sigpic

      Comment


      • #48
        Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

        Koi neya ehsaan keh hamdam-e-deyreenah!
        jitney puraney zakhm they bhartey jatey hain
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #49
          Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

          Dard main dooby naghmay to hon gay hazaron lakin
          jab saaz- e- dil he tout giya tou baja'ain kesy
          hota to jo bojh ghamon ka tou utha bhe laitay
          jab zindage he bojh ban gae to utha'ain kesy

          Comment


          • #50
            Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

            Poorey Gulistan mei mujhe ek hi phool acha laga
            Mei matti ka tha mujhe matti ka gher acha laga
            Manzilo ki baat choro kis ne payi hain manzilain
            Ek safar acha laga, Ek hum-safar acha laga ...
            sigpic

            Comment


            • #51
              Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

              Roshni kuch to milay kuch to andhera kam ho
              aik diya hum nay sar-e- raah jala rakha hai

              Comment


              • #52
                Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                Aqal aati hai bashar ko thokrein khaney key baad
                rang laati hai hina pather peh pis janey key baad
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #53
                  Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                  likh ker chala giya chahry pay apna ghum
                  mujh ko ata ajeeb nishane vo kar gaya
                  mujh sy ana parast nay chaha usay qateel
                  pathar ko apni aanch sy pani vo ker gaya

                  Comment


                  • #54
                    Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                    Hum Mohabat mei bhi tauheed ke qayel hain
                    Aik hi shaks ko mehboob banayeh rakha ...
                    sigpic

                    Comment


                    • #55
                      Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                      Ghum kay aanso pee rahy hain phir khushi ki aar main
                      hum je'ay jaaty hain verna phir zindage ke aar main
                      tum bhe to chalte bany ho raasty main choor ker
                      ay dost tum milay thay dilbare ki aar main

                      Comment


                      • #56
                        Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                        Pehla Lafz Ism-e-Mohabbat' Aakhri lafz Judai
                        In dono k beech mei kya tha' kuch samajh na aayi
                        sigpic

                        Comment


                        • #57
                          Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                          Hum zaban sy keh na pa'ay un say hal-e- dil kabhe
                          aur vo samjhy nahe kay khamoshi kia cheez hai

                          Comment


                          • #58
                            Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                            Kitab-e-dil mein tera naam tehreer hai muddat sey
                            kya btaoun keh tujhey chaha hai kis shiddat sey
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #59
                              Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                              Ab apny faislay per khud ulajnay kio lage hon
                              zara see baat per itna bikharnay kio lage hon
                              Vo jis mosam ki ab tak munazir aakhain the mere
                              is mosam say ab itna derny kioo lage hon

                              Comment


                              • #60
                                Re: Aik Ehsaas - Aik Biyaan - Aik Shi'r

                                tooti hai meri neend magar tumko is sey kya
                                bujtey rahey hawaoun sey dar, tumko is sey kya
                                aur ka haath thamo, unhein raastah dikhao
                                main bhool jaoun apna hi ghar, tumko is sey kya
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X