Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #76
    Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

    Hala ki choice bohat ummdaah hay :rose )
    Originally posted by *Hala* View Post
    Koi to hota?


    Main jis kay dil ki kitab banta
    Main jis ki chahat ka khawab banta
    Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
    Ban kar azaab banta
    Koi to hota?

    Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
    Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
    Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

    Koi to hota?

    Jo mujh ko dil ka karar kehta
    Ragoo ka apni fishar kehta
    Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
    Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

    Koi to hota?

    Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
    Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
    Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

    Koi to hota?

    Main jis kay itna qareeb hota
    Na paas koi raqeeb hota
    Main tanha uss ka habbib hota
    Yeh silsila bhi ajeeb hota
    Koi to hota?

    Koi to hota?


    Comment


    • #77
      Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

      Hala ki choice bohat ummdaah hay :rose )
      Originally posted by *Hala* View Post
      Koi to hota?


      Main jis kay dil ki kitab banta
      Main jis ki chahat ka khawab banta
      Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
      Ban kar azaab banta
      Koi to hota?

      Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
      Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
      Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

      Koi to hota?

      Jo mujh ko dil ka karar kehta
      Ragoo ka apni fishar kehta
      Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
      Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

      Koi to hota?

      Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
      Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
      Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

      Koi to hota?

      Main jis kay itna qareeb hota
      Na paas koi raqeeb hota
      Main tanha uss ka habbib hota
      Yeh silsila bhi ajeeb hota
      Koi to hota?

      Koi to hota?


      Comment


      • #78
        Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

        tankoo Moon ji.. :rose

        Teri Kasam Teri Yadain Jou Ati hain

        Teri Qasam hum ko teri yadain jo ati hain Hummain har pal sata ti hain
        aab tuo naheen lagta humara dil
        tumharay bin aab har dharkan rulati hai
        tumhara saath agar milta humara dil na you jalta kay jal kay humnay rataoun mai

        tarap kar bay karari mai guzaray hain woh kitnay pal woh yadoun mai
        raho tum khush jidhar bhi ho hamara haal na mat poocho humari yeh duayen hain
        sweetNiZaMaNi

        tumhari jo bhi raheeain hain tumhain lay jaeayn gulshan mai
        baharuon mai
        qayamat dil par youn guzri bhula-ayn hum bhala kasay dhuwan uthta hai dill say youn

        lagi thi yeh aag yeh kasay wohi supnay wohi yadain wohi beeti hoi batain
        jaab ati hain humay har pal jalati hain

        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #79
          Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

          AISA KYU HOTA HAI

          Na Neened Ati Hain Na Chain Ata Ain
          Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai

          Chalte Chalte Qadam Rukh Jate Hai
          Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai

          Chehra Tho Nazar Nahie Ata Hai
          Lakin Kisi Ka Ehsas Wahan Hota Hai

          Apnoo Ki Mehfil Me Begana sa Lagti Hu
          Sub Ke Hote Howe Dil Na Jane

          Kisi Ko Doondta Raha Hota Hai
          Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai

          Koi Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai
          Kya Samjoon Is Dewane Pan Ko Mai

          Jho her lLma Mujhko Pagal Ker Raha Hota Hai
          Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai

          Koi Tu Batahain Aisa Kyu Hota Hai
          Aisa Kyu Hota hai

          Na Neened Ati Hai Na Chain Ata hai
          Koyee Tho Batahain Aisa Kyu Hota Hai
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • #80
            Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

            Tujhe Tehreer Karte Hein Tujhe Tasveer karte Hein
            Hum Apne Aap Ki Etni Khaan tehshir Karte Hein
            inhi Zulfon Ko Hum Kali Gahta Ka Naam Dete Hein
            inhi Zulfon Mein Hum Kuhd Ko Kabhi Zanjeer Karte Hein
            Hamari Wo Gazal Har Bzam Mein Mashor Hoti Hai
            Tumhara Naam Jis Mein Shamil Tehreer Karte Hein
            Koi Dewar Nafrat Ki Nazar Aye Gira Dete Hein
            Gharondey Cahhton K Har Jaga Tameer Karte Hein
            Khudha Ki Rehmton Se Behrawar Hone Ki Kahwayesh Mein
            Kabhi Hum Toba Karte Hein Kabhi Taqseer Karte Hein
            Milain Hum To Bicharne Ki Tammna Jaag Othti Hai
            Bichar kar Phir Se Milney Ki Tadbeer Karte Hein
            Koi Bhi Gham Miley Hum APne Seney Se Lagate Hein
            Kushi Leykin Tumhare Naam Se Tabeer karte Hein
            Pazerai Kabhi Karte Nahi Hum Heley Nafrat Ki
            Mubeen Heley Mohbat Ki Bari Toqeer karte Hein
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #81
              Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

              Yeh degree bhi lelo, yeh naukari bhi lelo,
              bhale mujhse lelo woo USA ka visa

              :khi:


              Magar mujhko lauta do college ki canteen,

              Woh TeeKha Samosaa, Woh thanda saaa paani,

              Woh College ki sabse - puraani nishaanee,

              Woh chai waalaa jisko - saare kehte the... jaani,

              Woh jaani ke haathon - ki 'cutting' chai meethi,

              Woh chup-kese journal - mein jo bheji thi chitthi,

              Woh parhte hi chitthi - tha uska bharakna,

              Woh chehre ki laali, woh aankhon kaa gussaa ...

              Woh teekha samosa, woh thanda saaa paani...........

              Karri dhoop mein - apne room se nikalnaa,

              Woh project ki Khaatir - tha dar dar bhataknaa ,

              Woh lecture mein doston - ki proxy lagaanaa,

              Woh sir ko chiDhaana, aeroplane uraanaa,

              Woh submission ki raaton - ko jagna jagaanaa,

              Woh lab ke kisse, woh practical ki kahani....

              Woh teekha samosa, woh thanda saaa paani.......


              Woh dena Bimaari - ka har time bahana,

              Woh doosron ka assignment - ko apnaa banana,

              Woh seminar ke din - pairon ka chhat-p! ataanaa,

              Woh workshop mei n din bhar - pasinaa bahanaa,

              Woh slogans banana - aur Gym me lagaanaa,

              Phir Exam ke din ko - tha bechain hona,

              Woh teekha samosa, woh thanda saaa paani........

              College ki thi - woh lambi si raatein,

              Woh doston ke jhoonD men - pyaari si Baatein;

              Woh gathering ke din ka - jo larnaa Jhagarnaa;

              Woh kuRiyon ka yuhin - hamesha akaRnaa;

              Bhulaaye nahin bhool sakta hai koi -------

              Woh college, woh baatein, woh guzara jamana...

              Woh Teekha Samosa, Woh thanda saaa paani


              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment


              • #82
                Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                bauaht acchi poem hai dear... such... but still I am enjoying this period of ma life...:thmbup:

                Comment


                • #83
                  Hijar Main Khoon ..........

                  HIJAR MAIN KHOON

                  Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
                  yeh kaisi bebasi hai aaj hum roo bhi nahi sekte

                  yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rekhta hai
                  tumhari yaad aati hai tu phir soo bhi nahi sekte

                  chupa sakte hain aur na dekha sakte hain ogon ko
                  kuch aise daagh hain dil per jo hum dho bhi nahi sakte

                  kaha tu tha chor denge yeh nagar phir rukh gaye lekin
                  tumhain paa tu nahi sakte magar kho bhi nahi sekte

                  humara aik hona bhi nahi mumkin raha abh tu
                  teeyan kaise ke tum se door reh bhi nahi sekte
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #84
                    Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                    Originally posted by ummid View Post
                    bauaht acchi poem hai dear... such... but still I am enjoying this period of ma life...:thmbup:
                    thanks... yup..... or kabi iss time koi be enjoyment miss nahi karna chahi.... per ya time kabi nahi ayga.... :phool:
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • #85
                      Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                      udaas rako ya khush rako
                      hum gila nahi kartay
                      khizah mai phool kabhi kila nahi kartay
                      mila do khaak mai magar yaad rahay
                      hum jesy log dobara mila nahi kartay
                      wasalaam...

                      Comment


                      • #86
                        Re: Hijar Main Khoon ..........

                        Originally posted by *Hala* View Post
                        HIJAR MAIN KHOON


                        Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
                        yeh kaisi bebasi hai aaj hum roo bhi nahi sekte

                        yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rekhta hai
                        tumhari yaad aati hai tu phir soo bhi nahi sekte

                        chupa sakte hain aur na dekha sakte hain ogon ko
                        kuch aise daagh hain dil per jo hum dho bhi nahi sakte

                        kaha tu tha chor denge yeh nagar phir rukh gaye lekin
                        tumhain paa tu nahi sakte magar kho bhi nahi sekte

                        humara aik hona bhi nahi mumkin raha abh tu

                        teeyan kaise ke tum se door reh bhi nahi sekte
                        bahut khobsurat bahut shukriya
                        wasalaam..

                        Comment


                        • #87
                          Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                          Originally posted by amber View Post
                          nice HALA ...aap ki sharing bohat achi hain...meri taraf se bhi ek meri pasand ki poetry!!!!!!!!!!!!



                          PyaR Ka SehRa


                          Tumhare pyar ke sehra me main baghti rahi
                          Aksar shab tanhai me main jagti rahi
                          Is aas me tum ao ge kisi roz
                          main shaehar bhar me saab ko phool bantti rahi
                          Tujh se ab aur mohabat nahi ki ja sakti
                          Khud ko itni bhi aziat nahi di jasakti
                          Jante hain ke yakeen tu ne diya hai dil par
                          Phir bhi tark yeh wahshat nahi ki ja sakti
                          Wo mera hoga jo nigahon me heya rakhta ho
                          Har kaddam saath chalte azzam wafa rakhta ho
                          Naz is ke na uthaun to shakaeat na kare
                          Wo mere dard ko sehne ki adda rakhta ho
                          bahut khobsurat
                          shukriya
                          wasalaam..

                          Comment


                          • #88
                            Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                            thanks nisa sis... :rose

                            Na shikaayatein, na gilaa karey
                            Koi aisa shakhs hua karey
                            Jo merey liye hee saja karey
                            Mujh hee sey Baatein kiya karey
                            Kabhi royey jaaey woh bepanaah
                            Kabhi be-tahaasha udaas ho
                            Kabhi chupkey chupkey dabey qadam
                            Merey peechay Aa kar, hansa karey

                            Meri qurbatein, meri chaahatein
                            Koi yaad kare qadam qadam

                            Mein taveel safar mein hoon agar
                            Meri waapsi ki Dua karey
                            Na shikaayatein, na gilaa karey
                            Koi aisa shakhs hua karey
                            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                            :pr:

                            Comment


                            • #89
                              Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                              Main Mar Mita to Wo Samjha Ye intiha thi Meri
                              isse Khabar Hi Na thi, Khaak Keemya thi Meri
                              Main Chup Hua to wo Samjha ke Baat Khatam Hui
                              Phir is ke baad to Aawaz ja baja thi Meri
                              Main us ko Yaad karoon bhi to yaad Aata Nahi
                              Main Us ko Bhool Gaya Hoon, yahi Saza thi Meri
                              Shikast De gaya Apna Guroor Hi Us ko
                              Wagarna Us ke MuQabil Bisaat kia thi Meri
                              Koi bhi Koo-e-Mohabbat Se Phir Nahi Guzra
                              To Shahar-e-ishQ amin Kia Aakhri Sada thi Meri ?
                              Main Us ko Dekhta Rahta tha Hairaton Se "Faraz"
                              Ye zindagi se Ta'Arruf ki ibdita thi Meri
                              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                              :pr:

                              Comment


                              • #90
                                Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                                Tumhari Yaad Ki Shama Hamarey Dil Main Roshan Hai... Issey Khud Hi Bhuja Jana Kabhi Aana Hawa Ban Kar... Tumhari Aarzo Ki Hai Kabhi Manga Hai Jo Rab Se ...
                                Merey Hontoon Pe Rahti Ho Meri Jaan Tum Dua Ban Kar...

                                Tumharey Khuwab Main Dhaikhoon Tumhein Main Raat Din Soochoon...
                                Ager Yeh Juram Hai Jana! To Aa Jana Saza Ban Kar...
                                Kaho To Aaj Batla Doon Tumhein Kiun Dhaikhta Hoon Main...
                                Jo Aati Ho Aadaon Se To Jati Ho Qaza Ban Kar...
                                Faseel-e-jaan Ager Sir Ho To Pohnchein Terey Koochey Main...
                                Teri Chokhtat Pe Ja Bhaithoon Muhbbat Ka Gadha Ban Kar...
                                Yeh Chara Ger Bhala Kaisey Merey Is Marz Ko Samjhein ...
                                Main Bemar-e-muhabbat Hoon Tum Aa Jao Shafa Ban Kar...
                                Mujhe Kamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Aik Din ...
                                Tumharey Dil Main Utroon Ga Muhabbat Ki Sada Ban Kar...
                                Merey Josh-e-janoon Per Sari Khalqat Muj Ko Takti Hai...
                                Zara Tum Bhi Nazer Dalo Na Bhaitho Yun Khuda Ban Kar...
                                Tumhein Yeh Raaz Batla Doon K Akser Chaand Ratoon Main ...
                                Terey Aangan Main Aata Hoon Sitaroon Kia Zaya Ban Kar...
                                Jiger Ka Khoon Laya Hoon Terey Singhar Ki Khatir...]
                                Hathaili Per Racha Laina Yeh Mahkey Ga Hina Ban Kar...
                                Tumhein Jab Yaad Karta Hoon To Kaisey Jaan Sulagti Hai...
                                Tumhein Bhi Tars Aaye Ga Kabhi Socho Raza Ban Kar...

                                rose




                                Zindagi Key Safar Mein Kisi Ko Itna Mat

                                Chaho Keh Who Tumhari Chahton Ka Qatil

                                Aur Wafaon Ka Sodagar Ban Jaye.
                                rose:rose
                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X