Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #46
    Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

    zulf raaton si hai rangat ujaalon jaisi
    per tabeeyat wohi bhoolnay walon jaisi

    ik zamanay ki rafaqat pe bhi rim-khord hai
    us kam-ameiz ki khu-bu hai ghazalon jaisi

    dhoondta phirta hoon logon mein shabaht us ki
    ke woh khawabon mein bhi lagti hai kahaylon jaisi

    kis dil-azaar musafat se mein louta hoon ke hai
    aansuuon mein tapak payoon ke chaalon jaisi

    us ki baatin bhi dilawaiz hein soorat ki tarah
    meri sochein bhi preshan, mere baalon jaisi

    us ki aankhon ko kabhi ghor se deikha hai
    ronay walon ki tarah, jaagnay walon jaisi
    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

    :pr:

    Comment


    • #47
      Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

      woh log bohat khush kismet thay


      jo ishq ko kaam samajhtay thay


      ya kaam se aashqi kartay thay


      hum jeetay jee masroof rahay

      kuch ishq kiya, kuch kaam kiya

      kaam ishq ke aaray ata raha


      aur ishq se kaam ulajhta raha


      phir akhir tang aaker hum ne


      dono ko udhoora chor diyaaaaaaa
      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

      :pr:

      Comment


      • #48
        Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

        Kabhi yaad aao to iss terha


        ke laho ki saari tamazatein

        tumhein dhoop dhoop samait lein

        tumhein rung rung nikhaar dein

        tumhein harf harf mein soch lein

        ke deyaar-e hijer ki teergi

        ko palak ki nok se noch lein

        kabhi yaad aao to iss terha

        ke dil-o nazar mein sama sako

        kabhi had se jub yeh junoon berhay

        to hawas bun ke bikher sako

        kabhi khul sako shab-e visel mein

        kabhi khoon-e dil mein sanwar sako

        sir-e rahguzar jo milo kabhi

        na theher sako na guzar sako

        mera dard phir se ghazal banay

        kabhi gungunao to iss terha

        mere zakhm phir se gulaab hon

        kabhi muskuraao to iss terha

        meri dharkanein bhi laraz uthein

        kabhi chot khaao to iss terha

        jo nahin to phir baray shoq se

        sabhi rabtay , sabhi zabtay

        kabhi dhoop chaaon mein tor do

        na shikast-e dil ka sitam kaho

        na suno kisi ka azab-e jaan

        na kisi se dil ki qalish kaho

        yuun hi khush raho yuun hi kush phiro

        na ujer sakein na sanwar sakein

        kabhi dil dukhaao to iss terha

        na simat sakein na bikher sakein

        kabhi bhool jaao to iss terha

        KISI TAUR JAAN SE GUZAR SAKEIN

        KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #49
          Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

          nice HALA ...aap ki sharing bohat achi hain...meri taraf se bhi ek meri pasand ki poetry!!!!!!!!!!!!



          PyaR Ka SehRa


          Tumhare pyar ke sehra me main baghti rahi
          Aksar shab tanhai me main jagti rahi
          Is aas me tum ao ge kisi roz
          main shaehar bhar me saab ko phool bantti rahi
          Tujh se ab aur mohabat nahi ki ja sakti
          Khud ko itni bhi aziat nahi di jasakti
          Jante hain ke yakeen tu ne diya hai dil par
          Phir bhi tark yeh wahshat nahi ki ja sakti
          Wo mera hoga jo nigahon me heya rakhta ho
          Har kaddam saath chalte azzam wafa rakhta ho
          Naz is ke na uthaun to shakaeat na kare
          Wo mere dard ko sehne ki adda rakhta ho
          Last edited by amber; 28 May 2006, 14:23.

          Comment


          • #50
            Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

            Originally posted by amber
            nice HALA ...aap ki sharing bohat achi hain...meri taraf se bhi ek meri pasand ki poetry!!!!!!!!!!!!



            PyaR Ka SehRa


            Tumhare pyar ke sehra me main baghti rahi
            Aksar shab tanhai me main jagti rahi
            Is aas me tum ao ge kisi roz
            main shaehar bhar me saab ko phool bantti rahi
            Tujh se ab aur mohabat nahi ki ja sakti
            Khud ko itni bhi aziat nahi di jasakti
            Jante hain ke yakeen tu ne diya hai dil par
            Phir bhi tark yeh wahshat nahi ki ja sakti
            Wo mera hoga jo nigahon me heya rakhta ho
            Har kaddam saath chalte azzam wafa rakhta ho
            Naz is ke na uthaun to shakaeat na kare
            Wo mere dard ko sehne ki adda rakhta ho
            THAnks Amber Ji ... pasand karni ki liyee :phool:

            app ka be buht shukariaa buht hai khubsurat peotry share kia hai ... be happy :rose
            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #51
              Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........


              (itni masum thi zindagi)

              Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the


              Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

              Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan
              Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan
              Sine se laga lete the daud kar sabhi
              Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the
              Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the

              Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti
              Waqt to milta hai magar fursat nahi milti
              Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke
              Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the
              Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the



              (koi baat nahi)
              Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi




              Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se

              Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko

              Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha

              Kiskii majaal kahe koi mujh ko deewana



              (har dadam tere saath rahon)
              Terey her qadam key mey sath cahloun
              Her din her raat her lamha terey sath rahoun
              Too meri her sans mey khusboo bana rahey
              Zindagi jo yuen guzer rahi hey her pal derta houn
              Tujh sey biccherney key tassawer sey kanp uthta houn
              Khawish hey haal mazi bun jaiy mera
              Phir mey terey sath nai zindagi shuroo karoun
              Tujh sey milney key baad yeh dua hey meri
              Us jehan mey bhi mey terey sath rahoun

              (Udaasioon ka sabab jo likhna)
              Udaasioon ka sabab jo likhna,


              to ye bhi likhna
              kay chand taaray,
              shahaab ankhien badal gaye hain
              wo zinda lamhay jo teri raahon mein
              tere anay kay muntazir thay
              wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
              wo teri yaadien, khayal tere,
              wo ranj tere, milaal tere
              wo teri ankhein, sawal tere
              wo tum say mere tamaam
              rishtay bichar gaye hain,
              ujadh gaye hian
              udaasioon ka sabab jo likna
              to ye bhi likhna
              leraztay hoonton pe larhkharhti,
              dua kay soraj
              peghal gaye hain
              tamaam sapnay he jal gaye hain
              baad marnay ke tum meri kahani likna
              kese hoi bardaad meri jawani likhna
              ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese
              bahta raha meri ankhoon say pani likna



              TUM

              Yeh pal pal ka chalna,


              fasila khatam na karega,
              Tum kitna bhi chaho,
              tumhe woh kal na milega!

              Yeh koi gaata hai,
              ya namaaz padta hai,
              Tum kitna bhi chaho,
              tumhe alag khuda na milega!

              Yeh guzarti hui raat hai,
              ya nikalti hui sehar,
              Tum kitna bhi chaho,
              tumhe humsafar na milega!

              Yeh Baarish ki boondein hain,
              ya aankhon ke aansoon,
              Tum kitna bhi chaho,
              inhe thaamne wala na milega!

              Yeh dil ke tukde hain,
              ya aap ki yaadein,
              Tum kitna bhi chaho,
              tumhe marham na milega!

              Yeh dil mein armaan hain,
              ya sulagte hue sholey,
              Tum kitna bhi chaho,
              tumhe sehra mein paani na milega!

              Yeh kaisi uljhan ban gayee hai,
              dil ki dhadkan,
              Tum kitna bhi chaho,

              tumhe sukoon na milega!!"

              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment


              • #52
                Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                Originally posted by Hala
                zulf raaton si hai rangat ujaalon jaisi
                per tabeeyat wohi bhoolnay walon jaisi

                ik zamanay ki rafaqat pe bhi rim-khord hai
                us kam-ameiz ki khu-bu hai ghazalon jaisi

                dhoondta phirta hoon logon mein shabaht us ki
                ke woh khawabon mein bhi lagti hai kahaylon jaisi

                kis dil-azaar musafat se mein louta hoon ke hai
                aansuuon mein tapak payoon ke chaalon jaisi

                us ki baatin bhi dilawaiz hein soorat ki tarah
                meri sochein bhi preshan, mere baalon jaisi

                us ki aankhon ko kabhi ghor se deikha hai
                ronay walon ki tarah, jaagnay walon jaisi
                buhat hii achhii kaawish :)

                Comment


                • #53
                  Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                  Originally posted by baad-e-saba
                  buhat hii achhii kaawish :)
                  thaks dear pasand karni ka :)
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #54
                    Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                    Koi to hota?

                    Main jis kay dil ki kitab banta
                    Main jis ki chahat ka khawab banta
                    Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
                    Ban kar azaab banta
                    Koi to hota?


                    Koi to hota?
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • #55
                      Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                      Tu mila to mili aisi jannat mujhe ...

                      Tu mila to mili aisi jannat mujhe
                      Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

                      Mit gaye faasley kam hoi dooriyan
                      Khatam honey ko hain saari majbooriyan
                      Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
                      Ab kisi aur rahat ki perwah nahi...

                      Tu mila to mili aisi jannat mujhey
                      Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

                      Janey kya kya hamien log kehtey rahey
                      Rooh tarapti rahi hans ke sehtey rahey
                      Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
                      Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

                      Tu mila to mili aisi jannat mujhey
                      Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

                      Ek muddat isi kash ma kash mein raha
                      Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi
                      Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
                      Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

                      Tu mila to mili aisi jannat mujhey
                      Ab kisi aur jannat ki perwah nahi
                      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                      :pr:

                      Comment


                      • #56
                        Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                        bhot khub
                        main bhi share karon??


                        Jab bhi shaam ati hai
                        aur is kay saye
                        phailnay lagtay hain
                        tab mera dil yehi soochta hai
                        keh yeh shaam
                        itni khamoosh kiun hai
                        shayed yeh bhi meri tarha
                        kisi kay intezaar may
                        dhal rahi hai


                        Never trust blindly!!!!

                        _______________________________



                        _____________________________________________

                        Comment


                        • #57
                          Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                          For New Designers
                          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                          Comment


                          • #58
                            Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                            Originally posted by Hala
                            Tu mila to mili aisi jannat mujhe ...

                            Tu mila to mili aisi jannat mujhe
                            Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

                            Mit gaye faasley kam hoi dooriyan
                            Khatam honey ko hain saari majbooriyan
                            Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
                            Ab kisi aur rahat ki perwah nahi...

                            Tu mila to mili aisi jannat mujhey
                            Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

                            Janey kya kya hamien log kehtey rahey
                            Rooh tarapti rahi hans ke sehtey rahey
                            Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
                            Ab kisi bhi mohabbat ki perwah nahi

                            Tu mila to mili aisi jannat mujhey
                            Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

                            Ek muddat isi kash ma kash mein raha
                            Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi :thmbup:
                            Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
                            Ab kisi bhi haqeeqat ki perwah nahi

                            Tu mila to mili aisi jannat mujhey
                            Ab kisi aur jannat ki perwah nahi
                            :phool:
                            :thmbup:
                            For New Designers
                            وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                            Comment


                            • #59
                              Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                              Originally posted by Hala
                              Yeh jo afsaaney dil ney buney
                              unko koi dil suney


                              hum holey holey pyaar ki dhundli fizaun mien aye
                              gehrey gehrey hain khawab ki dhundli fizaon k saaye
                              hum tum dono khoye khoye
                              sapney dekhein jaagey soye
                              gum sum hai raat

                              yeh jo zindagi hai koi daastaan hai
                              kab hoga kiya, yeh khabar kahan hai
                              yeh jo zindagi hai koi karwaan hai
                              kahan jaye gi yeh khabar kahan hai

                              ae kaash meri in aankhon ki ab roshni bujh jaye
                              mainey dekha tha jo khawab woh mujh ko na kabhi yaad aye
                              aisey barsey ghum k teeshey
                              tootey dil k saarey sheeshey
                              dil hai weeran

                              yeh jo zindagi hai koi daastaan hai
                              kab hoga kiya, yeh khabar kahan hai
                              yeh jo zindagi hai koi karwaan hai
                              kahan jaye gi yeh khabar kahan hai
                              fantastic:eye:
                              :lpop:
                              For New Designers
                              وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                              Comment


                              • #60
                                Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                                Originally posted by Hala
                                Koi to hota?

                                Main jis kay dil ki kitab banta
                                Main jis ki chahat ka khawab banta
                                Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
                                Ban kar azaab banta
                                Koi to hota?


                                Koi to hota?
                                mian hoon naa....:wk
                                For New Designers
                                وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                                Comment

                                Working...
                                X