Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #61
    Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

    Main nay daikha tha un dinoon main ussy
    Jab woh khilty gulaab jaisa tha
    Uss ki palkoon say neend chinti thi
    Uss ka lehja sharaab jaisa tha
    Uss ki zulfoon say bheegti thi ghataa......
    Uss ka rukh maahtaab jaisa tha!
    Loog perhty thy khad-o-khaal ussky
    Woh adab ki kitaab jaisa tha.....
    Boolta tha zubaan khushboo ki.........
    Loog sunty thy dharkanoon main ussy!
    Main nay daikha tha un dinoon main ussy!
    Saari aankhain thi aainay uss kay
    Saary chahroon main intakhaab tha woh!
    Sab say ghul milker ajnabi rahna
    Ek daryaa numaa saraab tha woh
    Khawab yah hy ky woh hakeekat tha!
    Yah hakeekat hy koi khawaab tha woh!!!!
    Dil ki dharti pay aasmaan ki terha...
    Soorat-e-saaya -o-sahaab tha woh!
    Apni neendain uss ki nazer hoen
    Main nay paaya tha rat jagoon main ussy..........
    Main ny daikha tha un dinoon main
    Jab woh hans hans ker baat kerta tha
    Dil kay khaimay main raat kerta tha........
    Rang perty thy aanchloon main ussy
    Mainnay daikha tha un dinon main ussy
    Yeh mager dair ki kahaani hy
    Yeh mager dooor ka fasaana hy......
    Uss kay mairy malaap main haail
    Ab to sadion bhara zamaana hy.........
    Ab to yoonh hy ky haal apna bhi
    Dasht-e-hijraan ki shaam jaisa hy....
    Kiy akhaber in dinoon woh kaisa hy?
    Mainnay daikha tha un dinoon main ussy..


    Never trust blindly!!!!

    _______________________________



    _____________________________________________

    Comment


    • #62
      Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

      Assalaam-0-Alaikom:rose

      hope u r fine Khushi
      :clap: Marvelous ...........
      buht zabardast...... buht hi zabardast
      For New Designers
      وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

      Comment


      • #63
        Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

        Originally posted by Khushi
        bhot khub
        main bhi share karon??


        Jab bhi shaam ati hai
        aur is kay saye
        phailnay lagtay hain
        tab mera dil yehi soochta hai
        keh yeh shaam
        itni khamoosh kiun hai
        shayed yeh bhi meri tarha
        kisi kay intezaar may
        dhal rahi hai
        zabardast shairng hai app ki khushi ji ...thanks :rose
        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

        :pr:

        Comment


        • #64
          Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

          W.Salam:rose
          app ka be buht buht shukariaaaaaaaaaaa khubsurat poetry share karni ka ..khush rhai :rose
          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

          :pr:

          Comment


          • #65
            Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

            Kiya hain yeh mohbaat?
            Asmaano se bhi oonchi jis ki sarhad?
            Pagal deewana kehla en, woh kar koyi
            Jo karta hain mohbaat-e be hud
            Kyoon hoti hain yeh mohbaat?
            Kyoon tarap ta hain yeh dil?
            Kyoon milti hain mehtab ki saza
            Tarapti zameen ko?
            Kyoon jalti hain zameen
            Suraj ki tapish se?
            Na mein janoon, na tum
            Hain yeh duniya ke dastoor mere hum-dum
            Koyi hain majoor
            To koyi hain magroor
            Mohbaat karna nahin hain asaan,
            Mohbaat azmane ka dam nahin hain, undar-e har insaan
            Koyi deta hain mohbaat mein jaan,
            To koyi deta hain gham,
            Par is meeti dard ka li-aqaat aur jazba nahin hain- bohot logon mein,
            Mein hi hoon woh deewani jo saans le rahi hoo banwaati usoolo se
            Kiya howa jo tum na ho?
            Tum ho aur tumhari yaaden.
            Har shaam hoti hain to cherag buja deti hoon,
            Yeh dil hi kafi hain tere yaad mein jalene ke liye
            Mein taanha gunahghar to nahin,
            Yeh teri bhi aankon ka kasoor hain
            Haan-haan
            Bas yehi hain mohbaat, mohabaat, hain yahin

            u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

            :pr:

            Comment


            • #66
              Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

              Shaam ki baad :rose

              Tu Nay Dekha Hay Kabhi Ik Nazar Sham Kay Baad
              Kitnay Chup Chap Say Lagtay Hain Shajar Sham Kay Baad

              Itnay Chup Chap Kay Rastay Bhi Rahain Gay La-Ilm
              Choor Jayen Gay Kisi Rooz Nagar Sham Kay Baad

              Sham Say Pehlay Tha Woh Mast Apni Uranoon May
              Jis Kay Hatoon May Thay Tootay Huvay Parr Sham Kay Baad


              Raat beeti Tou Ginay Aablay Aur Socha Hum Nay
              Kon Tha Bais -E- Aghaz -E- Safar Sham Kay Baad


              May Nay Aisay Hee Gunah Teri Judau May Kiye
              Jaisay Koi Toofan May Choor Day Sheher Sham Kay Baad


              Tu Tou Hay Suraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
              Tu Kisi Rooz Meray Ghar May Utar Sham Kay Baad
              Lout Aiye Na Kisi Rooz Woh Awara Mijaz
              Khool Rakhtay Hain isi Aasss Pay Dar Sham Kay Baad
              :rose :rose :rose :rose
              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

              :pr:

              Comment


              • #67
                Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
                Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

                Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
                Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

                Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
                Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai


                Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
                Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai

                Hum apni zindagi se kiun haar jayein
                Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #68
                  Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                  MeRa NaaM LeNa,,
                  jab kabhi udaas hona,------jab kabhi naashaad hona,
                  our meri judaai ka sadma sehna,
                  tum kisi se kabhi mat kehna,---- keh tum ko mare bin nahi rehna,
                  jab kabhi meri yaad aaye,---tarap milne ki dil mein jagaaye,
                  tanhaai mein yaa mehfil mein sataaye,
                  our iss halat se tu tang aa jaye, tab,----- jaan gee
                  tum kisi se kbhi mt kehna ,--- keh tum ko mare bin nahi rehna,
                  bas aankhein mond lena,-- our pyaar se mera tasuwar karna,
                  our phir dhare se pyaar se Mera nam
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #69
                    Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                    Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
                    Main Mohabbat na doon to kehna
                    Main Muskurahat hoon mujhe hansa ker dekh
                    Na sajoon tere honton per to kehna
                    Main Khushboo hoon mujhe mehsoos karke dekh
                    Na mehkoon teri zindagi main to kehna
                    Main Dil hoon mujhe sun ker dekh
                    Na Dharkoon tere Dil main to kehna
                    Main Phool hoon mujhe laga ker dekh
                    Na mehkoon din raat to kehna
                    Main Mohabbat hoon mujhe apna karke dekh
                    Na banoo main teriiiiiiii to kehna....!>!!!
                    u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                    :pr:

                    Comment


                    • #70
                      Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                      Paas Etna Kyon Merey Aa Rahey Ho
                      Pyaar Etna Kyon Jataa Rahe Ho

                      Manzoor Nahi Humko Pyaar Tumhara
                      Phir Kyon Merey Peechey Aa Rahey Ho,
                      Batao Na.......... ....


                      Thak Gayin Hoon Main Zakhm Bhartey-Bhartey
                      Tum Kyon Enhey Aur Bardhaa Rahey Ho

                      Andheron Main Seekh Liya Hay Jeena
                      Chiraago'n Ko Kyon Jalaa Rahe Ho

                      Tanhaaii Main Umar Hay Guzri
                      Kyon Mehfilon Main Bulaa Rahey Ho

                      Uljhi Huyi Hay Merii Zindagani
                      Tum Kyon Esey Suljhaa Rahe Ho

                      Ghamo'n Say Hay Apna Rishta Purana
                      Tum Kyon Enhey Cheenney Jaa Rahey HoBatao Na...

                      Ho Saktey Nahi Sach Jo Kabhi Bhi
                      Khawaab Aise Kyon Dikha Rahey Ho

                      Rahney Bhi Do Mujhe Merey Haal Pay
                      Tum Kyon Mujhe Samjhaa Rahey HoBatao Na........

                      Mar Chuki Hay Samreen Kab Ki
                      Laash Uski, Ab Kyon Jala Rahey Ho??!!
                      u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                      :pr:

                      Comment


                      • #71
                        Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                        Kaash Kabhi Aisa Bhi Ho
                        Chahay Kuch Lamhoon Kay Liye Hi Sahi
                        Per Aisa Ho
                        Ghamoon Ki Barishain Thum Jayeen
                        Dukhoon Ki Andhiaan Teher Jayen
                        Suneihri Dhoop Ki Germaahut Main
                        Zindagi Ki Chahut Main
                        Khowahishoon Kay Phool Khilain
                        Dhanuk Kay Rung Her Soo Bikher Jayen
                        Bahaar Aye Bad-e-Saba Sung Liye
                        Kaheen Bhi Dukh Ki Eik Leher Na Ho
                        Kaash Kabhi Aisa Ho
                        Chahay Kuch Lamhoon Kay Liye Hi Sahi
                        Per Aisa Ho
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment


                        • #72
                          Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                          Wada kyu karte hai,
                          Nibhana aata nahi to

                          Ek dusrese Door bahot hai
                          Takrar bahot hai dono me,
                          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                          :pr:

                          Comment


                          • #73
                            Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                            Thak Thak Thak
                            Hain kia yeh mera ghar nahien hai...acha acha chalo phir theek hai shayad main perosion k ghar main ghalti say aa gya
                            sigpic

                            Comment


                            • #74
                              Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                              Originally posted by sccorpion81 View Post
                              Thak Thak Thak
                              Hain kia yeh mera ghar nahien hai...acha acha chalo phir theek hai shayad main perosion k ghar main ghalti say aa gya
                              haa!! kacharaa nahi hai ............ :kr::kr:

                              jokes a part... ab tu agyee.... next time khyaal rakna .... :khi:
                              u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                              :pr:

                              Comment


                              • #75
                                Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........

                                ((Rehbaar))


                                jis terha aadha sach mukamil sach nahi hota
                                wese hi ek tarfa talook koi talook nahi hota

                                halat ki bhati main jalta to hay her koi
                                kundan ban ker nikalna mokader sab ka nahi hota

                                mofaad k pesh-e-nazar banaty hain jo dost
                                in dostiyon k anjaam kabhi acha nahi hota

                                dob ker samnder ki teh se nikaly jo moti
                                janbaaz aesa khush naseeb her koi nahi hota

                                bharty raho manzil ki tarf pury azaam se Raja
                                rasty main jo sath choor de wo rehbar nahi hota...
                                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                                :pr:

                                Comment

                                Working...
                                X