Re: Poetry for Females "Males Not Allowed" ..........
Main nay daikha tha un dinoon main ussy
Jab woh khilty gulaab jaisa tha
Uss ki palkoon say neend chinti thi
Uss ka lehja sharaab jaisa tha
Uss ki zulfoon say bheegti thi ghataa......
Uss ka rukh maahtaab jaisa tha!
Loog perhty thy khad-o-khaal ussky
Woh adab ki kitaab jaisa tha.....
Boolta tha zubaan khushboo ki.........
Loog sunty thy dharkanoon main ussy!
Main nay daikha tha un dinoon main ussy!
Saari aankhain thi aainay uss kay
Saary chahroon main intakhaab tha woh!
Sab say ghul milker ajnabi rahna
Ek daryaa numaa saraab tha woh
Khawab yah hy ky woh hakeekat tha!
Yah hakeekat hy koi khawaab tha woh!!!!
Dil ki dharti pay aasmaan ki terha...
Soorat-e-saaya -o-sahaab tha woh!
Apni neendain uss ki nazer hoen
Main nay paaya tha rat jagoon main ussy..........
Main ny daikha tha un dinoon main
Jab woh hans hans ker baat kerta tha
Dil kay khaimay main raat kerta tha........
Rang perty thy aanchloon main ussy
Mainnay daikha tha un dinon main ussy
Yeh mager dair ki kahaani hy
Yeh mager dooor ka fasaana hy......
Uss kay mairy malaap main haail
Ab to sadion bhara zamaana hy.........
Ab to yoonh hy ky haal apna bhi
Dasht-e-hijraan ki shaam jaisa hy....
Kiy akhaber in dinoon woh kaisa hy?
Mainnay daikha tha un dinoon main ussy..
Main nay daikha tha un dinoon main ussy
Jab woh khilty gulaab jaisa tha
Uss ki palkoon say neend chinti thi
Uss ka lehja sharaab jaisa tha
Uss ki zulfoon say bheegti thi ghataa......
Uss ka rukh maahtaab jaisa tha!
Loog perhty thy khad-o-khaal ussky
Woh adab ki kitaab jaisa tha.....
Boolta tha zubaan khushboo ki.........
Loog sunty thy dharkanoon main ussy!
Main nay daikha tha un dinoon main ussy!
Saari aankhain thi aainay uss kay
Saary chahroon main intakhaab tha woh!
Sab say ghul milker ajnabi rahna
Ek daryaa numaa saraab tha woh
Khawab yah hy ky woh hakeekat tha!
Yah hakeekat hy koi khawaab tha woh!!!!
Dil ki dharti pay aasmaan ki terha...
Soorat-e-saaya -o-sahaab tha woh!
Apni neendain uss ki nazer hoen
Main nay paaya tha rat jagoon main ussy..........
Main ny daikha tha un dinoon main
Jab woh hans hans ker baat kerta tha
Dil kay khaimay main raat kerta tha........
Rang perty thy aanchloon main ussy
Mainnay daikha tha un dinon main ussy
Yeh mager dair ki kahaani hy
Yeh mager dooor ka fasaana hy......
Uss kay mairy malaap main haail
Ab to sadion bhara zamaana hy.........
Ab to yoonh hy ky haal apna bhi
Dasht-e-hijraan ki shaam jaisa hy....
Kiy akhaber in dinoon woh kaisa hy?
Mainnay daikha tha un dinoon main ussy..
Comment