Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

collection of Ghazals (غزل)

Collapse
This is a sticky topic.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: collection of Ghazals (غزل)

    Us Ki Adat Wohi Her Baat Adhori Kerna
    Aur Phir Baat Ka Mafhom Badaltey Rehna

    Aag Se Seekh Lia Hai Karina Hum Ne
    Bujh Bhi Jana To Bari Deir Sulagtey Rehna

    Jane Kis Umer Mein Jaye Gi Adat Meri
    Rothna Khud Se To Auro Se Ulajhtey Rehna..!!
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #32
      Re: collection of Ghazals (غزل)

      Aik bas tu hi nahi mujh sy khafa ho baitha
      Main nay jo sang tarasha tha wo Khuda ho baitha

      Uth k manzil hi agar aaye to shayed kuch ho
      Shooq e manzil to mera Aabla Paa ho baitha

      Maslehat cheen gai quwat e guftar magar
      Kuch na kahna hi mera Meri sada ho baitha

      Shukreya aye mery qatil Aye maseeha mery
      Zeher jo tuny deya tha Wo dwa ho baitha
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #33
        Re: collection of Ghazals (غزل)

        Ab jo ruthey to kbhi manana nhi ja kr
        Seh laingey dukh usey sunana nhi ja kr

        Laut aayga zaroor agr vo mera hua
        Aj sey tey hua khud bulana nhi ja kr

        Usey chaha hai usey chahtey rhaingey
        Usk dil main kia hai aazmana nhi ja kr

        Miley to brsa daingey hum piyar us pe Saqi
        Nhi to haal e dil bhi batana nhi ja kr
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #34
          Re: collection of Ghazals (غزل)

          zindagi yun hui basar tanha
          kafla sa hai aur safar tanha

          apne saye se chaunk jaate hain
          umar guzri hai is qadar tanha

          raat bhar bolte hain sannaate
          raat kaate koi kidhar tanha

          din guzarta nai hai laugon main
          raat hoti nahin basar tanha

          hum ne darwaaze tak to dekha tha
          phir najaane gaye kidhar tanha

          zindagi yun hui basar tanha
          kafla sa hai aur safar tanha
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #35
            Re: collection of Ghazals (غزل)

            Wo jo roop Zair-e-Naqab tha
            Usay dekhna mera khawab tha,
            Jo mila tha hijr ki shakal mein
            Meri chahatoon ka azaab tha,
            Ye sawal tha k mila karo
            Na mila karo ye jawab tha,
            Jisay dekh kar main tarap utha
            Teri aankh mein wo hijab tha,
            Meray paas thi meri tishnagi
            Tere paas Jaam-e-Sharab tha,
            Tera piyar tha meri sha’iri
            Tera ishq meri kitab tha,
            Wo jo roop Zair-e-Naqab tha
            Wo shayad koi gulab tha
            Jisay dekhna mera khawab tha..
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #36
              Re: collection of Ghazals (غزل)

              Kisi Ke Shoq main khud ko Ganwa kar kuch Nahi Milta,
              Ke Pholon ko kitaboon main Saja kar Kuch Nahi Milta,

              Agar ho Zindagi bhar ki Rafaqat phir to Acha hai,
              Ghari Bhar ki Muhabbat ko Nibha kar Kuch Nahi Milta,

              Woh beparwah hai phir bhi us say Kuch Nahi Kehna,
              Woh khud hi Jaan Jaey ga Jata kar Kuch nahi Milta,

              Kabhi yah sochta hoon kay usay kiun yaad karta hoon,
              Kisi ki Yaad main Dil ko Jala ker kuch nahi Milta.
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #37
                Re: collection of Ghazals (غزل)

                Maana teri nazar mein tera pyaar ham nahi
                Kaise kahein ke tere talabagaar ham nahi

                Tan ko jalake raakh banaya, bichha diyaa
                Lo ab tumhaarii raah mein deewar ham nahi

                Seenchaa thaa jisako hamane tamanna ke khoon se
                Chaman mein us bahaar ke haqadaar ham nahi

                Dhokha diyaa hai khud ko mohabbat ke naam par
                Ye kis tarah kahein ke gunehagaar ham nahin
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #38
                  Re: collection of Ghazals (غزل)

                  Wo Muj Se Be-Sabab Uljha nhi tha..
                  Wo Pehle to kbhi Aisa nhi tha…

                  Boht Aala tha Uss ka Zarf Lekin…
                  Wo Meri Zaat ko Samjha nhi tha…

                  Wo Jitni Be-Rukhi Se Chal dia th…
                  Mein Itna bhi Gaya-Guzra nhi tha…

                  Usay Mein kyun Bura Thehraon Faraz…
                  Wo Achha tha Faqat Mera nhi tha…
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #39
                    Re: collection of Ghazals (غزل)

                    Qurb k na wafa k hote hain
                    Saray jhagray anaa k hote hain

                    Baat niyat ki sirf hai warna
                    Waqt saray dua k hote hain

                    Bhool jate hain, mat bura kehna
                    Log putlay khata k hote hain

                    Wo bazahir jo kuch nahi lagte
                    Unse rishtay bala k hote hain

                    WO HAMARA HAY IS TARAH SAY..
                    JAISAY BANDE KHUDA K HOTHE HEIN
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment


                    • #40
                      Re: collection of Ghazals (غزل)

                      Ye doreyon main Lamha-e-wsal kaisay agya
                      Tumhain hmary shar ka khyal kaisy agya

                      Abi to tay howay na thay asool ashnai k
                      Abi sy dil k Aainay main bal kaisay aa gya

                      Gulab rut guzar chuki mgr yeh shehr-e-hijr main
                      hwa k hath khushbo'on ka thal kaisay agya

                      Mohabaton main shrt ki to koi bat hi na thi
                      ye darmeyan anaon ka swal kaisay agya
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #41
                        Re: collection of Ghazals (غزل)

                        Chala tha Zikar zmanay ki bywfai ka
                        To agya hy tumhara khyal waisay hi

                        Main rokna hi nahen chahta tha var us ka
                        Giri nahen merya hathon say Dhal waisay hi

                        Ham agaye hain tah-e-dam to naseeb apna
                        Wagarna us ny to phainka tha jal waisay hi

                        Hamain b shoq na tha dastan sunanay ka
                        Fraz us ny b pocha tha hal waisay hi
                        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                        Comment


                        • #42
                          Re: collection of Ghazals (غزل)

                          Boht Din Ho Gy Shayd Shara Kr Lia Us Ne
                          Hmary Bad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

                          Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nhin Sakta
                          Hmen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

                          Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Kocha Ghair Ka Kocha
                          Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

                          Suna Hy Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghr Smajhta Hy
                          Lgta Hy Mera Ye Dukh Gwara Kr Lia Us Ne

                          Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Wady Tor Kr
                          Kisi Ko Zindgi Se Pyara Kr Lia Us Ne
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #43
                            Re: collection of Ghazals (غزل)

                            Meri rooh jaise kuchal gya

                            Koi shakhs aise badal gya

                            Ye kis ka harf-e-dua raha

                            K mai girtay,girty sanbhal gya

                            Teri yaad jab Aaney lagi

                            Mera dard jaise behal gya

                            Meri qismatoon ka qafla

                            Kisi or janib nikal gya

                            Tumhain dekhtay he besabab

                            Koi khuwab mera machal gya

                            Wo mery dil ka rawaan dawaan

                            Koi kaarwan tha masal gya

                            Mera pathroon sa ghuroor tha

                            Megar tery aagey pighal gya
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #44
                              Re: collection of Ghazals (غزل)

                              Moam ki tarah pighalte hue dekha usko,
                              Rut jo badli,badaltey hue dekha usko,

                              Wo jo kaanton ko kabi narmi se chhuaa krta tha,
                              Hum ne phulon ko masaltey hue dekha usko,

                              Jaane kis ghum ko chupane ki tamanna ha usey,
                              Aaj her baat pr hanstey hue dekha usko,

                              Jaane wo duaon mein mangane jata ha kisey,
                              Haath uthatey hi sisaktey hue dekha usko . . . !
                              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                              Comment


                              • #45
                                Re: collection of Ghazals (غزل)

                                tu apni baaton se nah kar yun sogawar mujhe
                                tere liye mai bani hoon tu hi kar pyar muje

                                tadap de thori aur de thora intezar muje
                                isi tarah se kiya kar tu beqaraar muje

                                suna de phir voh sadaa waise hi pukar muje
                                tu aake jaan e jahan ab zara nikhar muje

                                bas aik shay se hai matlab sun mere yaar muje
                                kisi tarah se de de tu ab deedar muje

                                tu de de gham 0 alam saare ab udhar muje
                                tere bina tau lage jeevan ik azaar muje

                                udaas lab hain, bikhray gesoo tu sanwaar muje
                                surkhru karke tu le chal apne dayaar muje
                                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                                Comment

                                Working...
                                X