Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf nazam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: sirf nazam

    یہ عجیب میری محبتیں

    کوئی پوچھ لے تو میں کیا کہوں
    اسے کیا بتاؤں
    یہ روز و شب تو جنم جنم پے محیط ہیں
    میرے زخم زخم دل و نظر
    مجھے اس جنم میں نہیں ملے
    میرے رت جگے میرے ہمسفر
    میرے ساتھ آج نہیں چلے
    یہ مہیب وحشت فکر جو
    میرے نقش نقش کی روح ہے
    کوئی بے ثبات بیان نہیں

    یہ تو آتماؤں کا عکس ہے
    یہ تو دیوتاؤں کا دیان ہے
    یہ تو جانے کیسی صدی صدی کی اذیتوں کا گیان ہے
    یہ عجیب میری محبتیں یہ عجیب میرے غم و الم

    یہ نصیب سنگ سیاہ پر
    یہ ورق ورق پہ گرے قلم

    یہ کڑا حصار نیا نہیں
    میرا انتظار قدیم ہے
    میرا اس سے پیار قدیم ہے
    یہ عجیب میری محبتیں

    Comment


    • #92
      Re: sirf nazam

      suno! tum yaad mat karna
      agar hum mar bhi jain tu
      dill-e nashaad ko phir sey
      na tum bar baad ab karna
      humain tum yaad mat karna
      k ye yaadain tu jism-o roh ka
      nasoor hoti hain
      humarey wastey jevan ko yoon
      be-noor mat karna
      humain tum yaad mat karna
      agar hum chor k tum ko
      manoo mati main so jain
      humaari aankh bojhal ho
      aur hum nendoo main kho jain
      humarey khwaab ko ankhoon main
      phir aabad mat karna
      suno! tum yaad mat karna
      humarey wastey jevan ko yoon
      barbaad mat karna

      Comment


      • #93
        Re: sirf nazam

        Suno logo


        Meri aankhain khareedo ge
        Bohot majboor haalat mein
        mujhe neelaam karni hain
        Koi mujh se naqd le le
        Main thoray daam kar doon ga
        Jo pehli boli de de ga
        Usi ke naam kar doon ga
        Mujhay bazaar vaalay keh
        rahay hain kam aql taajir
        Aray sunsaan logo nahin hoon main hirs ka khwahaan
        Nafa nuqsaan ki shatranj
        nahin main khelnay aaya
        Koi mujh ko kahay na
        manchala sa behunar taajir
        Bata paaoon tumhain kesay kis tashveesh mein rakkhoon
        Suno logo
        Bari mehboob tar hain mujh
        ko meri neem tar aankhain
        Magar ab bechta hoon keh
        Mujhay ik khaab ka taavaan bharna hai
        Suno logo
        Meri aankhain khareedo ge
        Bohot majboor haalat mein
        mujhay neelaam karni hain

        Comment


        • #94
          Re: sirf nazam


          Tum se mere baat hoee thi
          tum ne mujh ko samjhaya tha
          apni zaat se bahir niklo
          ghar ko loto
          ghar ko dekho
          or bhi log tumhare dum se zinda hain
          tum main apni sare khusihyan dekh rahe hain
          soch lia hai
          dekha lia hai
          loat aya hoon
          lakin mere andar koi toot gia hai !!

          Comment

          Working...
          X