Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sirf nazam

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: sirf nazam

    بے وفائي کي مشکليں


    جو تم نے ٹھان ہي لي ہے
    ہمارے دل سے نکلو گے
    تو اتنا جان لو پيارے
    سمندر سامنے ہوگا اگر ساحل سے نکلو گے
    ستارے جن کي آنکھوں نے ہميں اک ساتھ ديکھا تھا
    گواہي دينے آئيں گے
    پرانےکاغذو ں کي بالکوني سے بہت لفظ جھانکيں گے
    تمہيں واپس بلائيں گے
    کئي وعدے فسادي قرض خواہوں کي طرح رستے ميں روکيں گے
    تمھيں دامن سے پکڑیں گے
    تمہاري جان کھائيں گے
    چھپا کر کس طرح چہرہ
    بھري محفل سے نکلو گے
    ذرا پھر سوچ لو جاناں
    نکل تو جائو گے شايد
    مگر مشکل سے نکلو گے

    Comment


    • #32
      Re: sirf nazam

      tanha..

      ek dil walon ki basti thi,

      jahan chand or suraj rahte the,
      basti basti phirte the
      hr pal haste rahte the
      phir ek din dono rooth gae
      or sare sapne toot gae
      ab chand bhi us waqt aata hai
      sooraj jab so jata hai
      badal sab se kehte hai
      suraj uljha rahta hai
      ab chaand ke sath sitare hain
      pr suraaj tanha rehta hai!!!

      Comment


      • #33
        Re: sirf nazam

        mousam....

        Sardioon kay mousam main
        Baadiloon kay daaman say
        Jab zameen kay aangan main
        Baarshain utarti hain
        Aisay sard mousam main
        Parbatoon ki uryani, Barf oorh laiti hay
        Saans ki hararat say
        Khirkioon kay sheeshoon pay
        Dhund aanay lagti hay
        Phir bhee aisay mousam main
        Munjamidd zamanoon kay
        Kon say wo jazbay hain
        Jo pighalnay lagtay hain ......

        Comment


        • #34
          Re: sirf nazam

          Hum sey mohabaton ki Numaish Na ho saki
          Bas itna Jaante hain tujhe chahte hain hum !!!

          Comment


          • #35
            Re: sirf nazam

            بھول جاؤ مجھے
            وہ تو یوں تھا کہ
            اپنی اپنی ضرورت کی خاطر ملے
            اپنے اپنے تقاضوں کو پورا کیا
            اپنے اپنے ارادوں کی تکمیل میں
            تیرہ تار خواہش کی سنگلاخ راہوں پر چلتے رہے
            پھر بھی راہوں میں کتنے شگوفے کھلے
            وہ تو یوں تھا کہ بڑھتے گئے سلسلے
            ورنہ یوں ہے کہ ہم
            اجنبی کل بھی تھے
            اجنبی اب بھی ہیں
            اب بھی یوں ہے کہ تم
            ہر قسم توڑ دو
            سب ضدیں چھوڑ دو
            اگر یوں نہ تھا تو یوں ہی سوچ لو
            تم نے اقرار ہی کب کیا تھا کہ میں
            تم سے منسوب ہوں
            میں سے اقرار ہی کب کیا تھا کہ ۔ ۔ ۔!
            یاد آؤ مجھے
            بھول جاؤ مجھے

            Comment


            • #36
              Re: sirf nazam

              Jab Woh Mera Naam,
              Apne Haathon Ki Lakeeron Mein
              Talash Kar K Thak Geya,
              To Dheeray Se Sar Jhukaya
              Aur Muskura K Kaha,

              'Lakeerein Jhoot Bolti Hain'...!

              Comment


              • #37
                Re: sirf nazam

                ZINDAGI kiya hai do JAHAN
                Ik YE jahan
                Ik WO jahan
                kay In"DO JAHAN kay darmyan"
                Bas fasLa
                Ik
                SANS ka
                Jo chal raha ha to
                YE JAHAN.
                Jo ruk gaya to
                WO JAHAN...

                Comment


                • #38
                  Re: sirf nazam

                  Main Udas Baithi Hon

                  Neem Waa dareechon Se

                  Nam Hawayein Ati Hain

                  Mery Jism Ko Chhoo Kar

                  Aag Si Lagati Hain

                  Tera Naam Le Le Kar

                  Mujh Ko Gudgudati Hain

                  Kash Mery Par Hotay

                  Tery Paas Urr Ati

                  Kash Main Hawa Hoti

                  Tujh Ko Chhoo Ke Lout Ati

                  Main Nahi Magar Kuch Bhi

                  Sang Dil Riwajoon Ke

                  Aahinii Hisaaron Mein

                  Umer Qaid Ki Mulzim

                  Sirf Aik Larki Hon !!

                  Comment


                  • #39
                    Re: sirf nazam

                    Kal halki halki barish thi
                    Kal sard hawa ka raqs bhi tha
                    Kal phool bhi nikhray nikhray thay
                    Kal un pe aap ka aks bhi tha
                    Kal badal kalay gehray thay
                    Kal chand pay lakhon pahray thay
                    Kuch tukray aap ki yaad kay
                    Bari dair say dil main thehray thay
                    Kal yaadain uljhi uljhi thin
                    Aur kal tak yeh na suljhi thin
                    Kal yaad bohut tum aye thay
                    Kal yaad bohut tum aye thay …

                    Comment


                    • #40
                      Re: sirf nazam

                      In Jheel Si Gehri Aankhoon Main
                      Ik Sham Kahin Aabad To Ho
                      Is Jheel Kinaray Pal Do Pal
                      Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay
                      Wo Phol Baha Dain Lehroon Main
                      Ik Rooz Kabhi Hum Sham Dhalay
                      Is Phol K Behtay Rangoon Main
                      Jis Waqt Larazta Chand Chalay
                      Us Waqt Kahin Un Aankhoon Main
                      Is Basray Pal Ki Yaad To Ho
                      In Jheel Si Gehri Aankhoon Main
                      Ik Sham Kahin Aabad To Ho
                      Phir Chahay Omer Samander Ki
                      Her Maoj Parayshan Ho Jaye
                      Phir Chahay Aankh Darechay Say
                      Her Khawab Gurayzaan Ho Jaye
                      Phir Chahay Phool K Chehray Ka
                      Her Dard Nomayan Ho Jaye
                      Is Jheel Kinaray Pal Do Pal
                      Wo Roop Nagar Eejad To Ho
                      Din Raat K Is Aaeynay Say
                      Wo Aks Kabhi Aazad To Ho
                      In Jheel Si Gehri Aankhoon Main
                      Ik Sham Kahin Aabad To Ho

                      Comment


                      • #41
                        Re: sirf nazam

                        Sabhi ashk aankhon mai aa gaye na chupa saky na bata saky,
                        Wo jo bheid tha wo khul gya
                        koi baat b na chupa saky,
                        Na wafa rahi na jafa rahi
                        na wo dil raha na hum rhy,
                        Uski yad ka jo charagh tha na jala saky na bujha saky,
                        Koi zor khud pe raha nhi koi bus b us pe chala nhi,
                        Usy dekhty rahy door tk mgar hath tk na hila saky,
                        Nahi is me uski khata koi na naseeb ka koi dosh tha,
                        Ye humara apna mizaaj tha k kisi tarha na nibha saky.

                        Comment


                        • #42
                          Re: sirf nazam

                          -KABHI JEET GAYE- -KABHI HAAR GAYE-
                          Kabhi apne kabhi ghair hum ko maar gaye
                          Kal jo khushiyon men shareek thay
                          Aaj chorr wo yaar gaye
                          Na mili MOHABBAT humen kisi se
                          Dhondty her gali bazar gaye
                          Qurban jaon un ki ulfat py
                          Jo MOHABBAT k gulshan nikhr gaye
                          Humen mili akhir berukhi bewafai
                          Sab qasmen sb waday bekaar gaye
                          Ay DOST manzil mubarik ho tumhen
                          -TUM JEET GAYE- -HUM HAAR GAYE-.

                          Comment


                          • #43
                            Re: sirf nazam

                            Muje Tum Se Mohabbat Hai
                            Chopana Raaz Is Dil K
                            Agar Tum Chor Do Jana
                            Muje Tum Se Mohabbat Hai
                            Agar Tum Bol Do Jana
                            To Jivan K Safar Mein
                            Rasta Asan Ho Jaye
                            Hamare Pas Bhi Jinay Ka
                            Kuch Saman Ho Jaye
                            Wagarna Hum Tumare Dil K Darwaze K Bahir
                            Aas Mein Bethay Rahain Gay K
                            Kabhi To Band Darwaza Kholo Gi
                            Mere Shane Pay Sir Rakh Ker
                            Kabhi Dheray Se Bolo Gi
                            Muje Tum Se Mohabbat Hai
                            __________________

                            Comment


                            • #44
                              Re: sirf nazam

                              یوں تو بہت کچھ سیکھا ہے زندگی سے میں نے
                              افسوس کے جینے کا ہنر مرنے کے بعد سیکھا

                              Comment


                              • #45
                                Re: sirf nazam

                                Bheegty Rahy Barishon mein aksar,
                                Kabhi Mangi kisi Se Panah Nahi,
                                Hasratain Pori Na Hon To Na Sahi,
                                khwab Dekhna To koi Gunah Nahi..

                                Comment

                                Working...
                                X