Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bewafa Poetry Collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Bewafa Poetry Collection

    Hamary paao’n mein tum ne zanjeer-e-wafa daali, ,
    Tumhary haath se kyun rishta-e-mehr-o-karam choota. . !
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: Bewafa Poetry Collection

      Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
      Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai
      Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
      Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai
      Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
      Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai
      Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
      Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai
      Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
      Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai
      Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
      Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai. . !
      sigpic

      Comment


      • #33
        Re: Bewafa Poetry Collection

        Hum hi mein na thi koi baat jo yaad na tum ko aa sakay
        Tum ne humain bhula diya, hum na tumhain bhula sakay. . !
        sigpic

        Comment


        • #34
          Re: Bewafa Poetry Collection

          Tujhy bhula k jiyu’n, aisi bad-dua bhi na de
          Khuda mujhy ye tahammul, ye hosla bhi na de
          Meray bayan-e-safaai k darmian mat bol
          Sunay baghair mujhy, apna faisla bhi na de
          Ye umer meine tery naam be-talab likh di
          Bhalay se daman-e-dil mein kahin jaga bhi na de
          Ye din bhi aaingy, aisa kabhi socha na tha
          Wo mujh ko dekh bhi lay aur muskura bhi na de
          Ye ranjish’ain to muhabbat k phool hain ‘Sajid’
          Ta’aluqaat ko is baat per ganwa bhi na de. . !
          sigpic

          Comment


          • #35
            Re: Bewafa Poetry Collection

            Hum tujhy bhool k khush baithay hain
            Hum sa be-dard koi kia ho ga. . . ?
            sigpic

            Comment


            • #36
              Re: Bewafa Poetry Collection

              Tum ne hi majboor kiya hai, Mujh ko raah badalny per
              Jeewan k be-ant safar mein, Ghair ka ho kar chalny per
              Meine tumhari aasha’on ka, Her her roop saraha tha
              Meine apna aap bhula kar, Tum ko toot k chaha tha
              Umer ki ujli deewaro’n per, Qismat ka andheyaara tha
              Aur boht they suraj lekin, Tum sa charaagh hi piyara tha
              Lekin tum hi mery maseeha, Nafrat k saanchay mein dhal kar
              Ik Din mery saamney aa gaye, Qaatil ka behroop badal kar
              Ab kia shikwa, Kesi Shikayat, Chahat k sab rishtay kachay
              Mein bhi aur tum bhi har-jaai, Mein bhi theek aur tum bhi sachay. . !
              sigpic

              Comment


              • #37
                Re: Bewafa Poetry Collection

                Bichra kuch is adaa say kay rut hi badal gayi,
                Ek shahkhs saaray shahar ko weraan kar geya..
                sigpic

                Comment


                • #38
                  Re: Bewafa Poetry Collection

                  Bas ek teray bicharnay ki dair thi jaisay,
                  Simat kar aagaye kadmoon main karb sadioon ka ..
                  sigpic

                  Comment


                  • #39
                    Re: Bewafa Poetry Collection

                    Bicharnay walay tujhey dekh dekh kar sochta hun,
                    Tu jab milay ga tu kitna badal chukka hoga..
                    sigpic

                    Comment


                    • #40
                      Re: Bewafa Poetry Collection

                      Yeh aur baat hai saqi key mujhai hosh nahi,
                      werna main kuch bhi hoon ehsaan faramosh nahi..
                      sigpic

                      Comment


                      • #41
                        Re: Bewafa Poetry Collection

                        Yeh kya kam hai key mar janay pe duniya yaad karti hai,
                        Kesi key ishq main duniya lut’ta kar hum bhi dekhain gaye..
                        sigpic

                        Comment


                        • #42
                          Re: Bewafa Poetry Collection

                          Ye ittefaq hain sab rah ki musafat key,
                          Chalay kesi key lye ja milay kesi k sath..
                          sigpic

                          Comment


                          • #43
                            Re: Bewafa Poetry Collection

                            Ye fakhar tu hasil hai, buray hain key bhalay hain,
                            do chaar qadam hum bhi teray sath chalain hain…
                            sigpic

                            Comment


                            • #44
                              Re: Bewafa Poetry Collection

                              Yehi hai naa tumhain hum sey bichar janay ki jaldi hai,
                              Kabhi milna tumharay maslay ka hal nikalain gaye..
                              sigpic

                              Comment


                              • #45
                                Re: Bewafa Poetry Collection

                                Yun phir raha hai kaanch ka peikar liye howey,
                                Ghafil ko gumaan hai key pathar naa aye ga..
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X