Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>
Collapse
X
-
Aik phool ki maanind.
Mere liye itna kafi he k.
Min apni sarzameen par mout dekhon.
Aur yahin dafan hon.
Aur is mitti min pighal kar phel jaon.
Phir phool ki trah zameen se bahar niklon.
Mere des k bache is k sath khelen.
Mere liye itna hi kafi he.
K min apne watan ki goud min rahon.
Is trah jese muthi bhar gard.
Bahaar ki ghas ki trah.
Aik phool ki maanind.
Comment
-
Tujhe kia khabar mere hal ki.
Tujhe kia khabar mere hal ki.
Mere dard, mere malal ki.
Ye mere khayal ka silsila.
Kisi yad se he mila hoa.
Use dekhna, use sochna.
Meri zindagi ka he fesla.
Ye usi ki palkon k saye hen.
Meri rooh min jo utar gaye.
Ye janoon-e-manzil-e-ishq he.
Jo chale to jan se guzar gaye.
Mujhe is muqam pe chorna.
He ye bewafai ki intiha.
Ye qafs ho jese khuli faza.
Yahin sukh ka sans min lon sada.
Jinhen teri deed ki piyas thi.
Wo katore nainon se bhar gaye.
Ye janoon-e-manzil-e-ishq he.
Comment
Comment