Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~ Where there is love there is life ~~ collection from the painful heart of pErIsH_BoY .>>>>>>

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Mera ik jawab hamesha he....!!

    So Beautiful ....... Keep Sharing ... :)
    :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

    Comment


    • Re: Koi yad si kahin kho gayi.

      Bohat Khoob
      Keep Sharing...
      :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

      Comment


      • Re: Sham thi December ki.

        Bohat Khoob
        Keep Sharing...
        :sad Ak Jhoota Lafz Mohabbat Ka ..

        Comment


        • Agar Tum Mujh Ko Mil Jate.


          Bht mumkin tha.
          Mere paon , meri zeest k.
          Kaante nikal jaate.
          Bht mumkin tha.
          Meri raah k pathar pighal jate.
          Jo deewaren mere raste min haayel thin.
          Mere aage se hat jatin.
          Agar tum aankh utha kar dekh lete.
          Kohsaron ki taraf aik pal.
          Chatanen ik tumhari junbash-e-abroo se kat jatin.
          Bht munkin tha angaron bhari is zindgani min.
          Tumhare paon k ujle kanwal khilte.
          Rafaqat ki sunehri jheel min.
          Donon k aks-e-zofishan hilte.
          Bas ik khwab-e-musalsal ki faza rehti.
          Humari rooh kab hum se khafa rehti ?
          Ye sab kuch ain mumkin tha.
          Agar Tum Mujh Ko Mil Jate. !


          Comment


          • Ik judai ka mosam...!!!



            Min ne dekha he.
            Ik suraj misl-e-barfaab.
            Jis par chaya rehta he.
            Jamti kayi ka mosam.
            Ik judai ka mosam...!!!



            Comment


            • Love U so Much...!!



              Ana jab tak.
              Fana k hath par bait nhi karti.
              Nimaz e ishq se dil ki jabeen mehroom rehti he.
              Nigahen aik chehre k siwa kuch dekhna chahen.
              To sadiyon tak phir ankhon par ata ka dard nhi khulta.
              Kisi manzar k andar dusra.
              Manzar nhi khulta.
              K ye rasta wo he jis par.
              Wafa ki khak min jab hijar k ansu utarte hen.
              To harf e be-hunar ko dard ki soghat milti he.
              Dua e shoq ki wariftgi ko.
              Baryabi ki faqat ik rat milti he.
              Magr kis ko khabar tab tak.
              Talab hi wasl ki madoom ho jaye.
              Fana ka ism e aazam rooh ko malum ho jaye.



              Comment


              • Humen Tum Se Mohabbat He”!!!


                Mohabbat aag he to phir.
                Meri rag rag min bharki he.
                Meri aankhen hen aik shoula.
                Meri sansen hen aik agan.
                Alao teri yadon ka.
                Mere dil min kahin roshan.
                Mujhe ab fikr he koi.
                Na hi gharz he is se.
                K teri yad min shab bhar.
                Wafa ka nam le le kar.
                Kahin hum khud jalte hen ya k deep jalate hen.




                Mohabbat yad he to phir.
                Mere dil min he yon raqsan.
                K hum ko fikr he koi.
                Na hi hosh he baqi.
                Faqat aik yad he baqi.
                Jo dil ki baanjh dharti par.
                Ashkon k sang baras jaye.
                To phir barsat ki lay min.
                Kahin aik phool khilta he.
                Hum us phool ki khushbu tumhare nam karte hen.
                Tumhari yad min aksar subah se sham karte hen.




                Mohabbat gar he samandar.
                To phir meri wafaon k.
                Sabhi gohar-o-sadaf us ki.
                Gehrai min baste hen.
                K mere dil min pala he.
                Ajab chahat ka ye sagar.
                Han jis ki aakhri had se.
                Sabhi thehre se jazbon ko.
                Yon hum-kinar karna he.
                Mila kar aankh ka dariya.
                Is behr-e-kinar ko.
                Be-kinar karna he.




                Mohabbat dasht he koi.
                To phir pairon min ab mere.
                Nhi he larzishen baqi.
                Mere pairon se uljhe hen jo ye raste sab hi.
                Mujhe tere junoon-o-shoq min.
                Aik safar la-haq he.
                K jis k mour par akhir mujhe bhatak hi jaana he.
                Aur yon hum aik tasalsul se.
                Teri janib rawan is aik musalsal hi safar ki.
                Bas ghubaar-o-gard hi thehre.
                K hum se khaksar to sehra-naward hi thehre.




                Mohabbat he gar koi khushbu.
                To phir hum sarkashi k aik numayan dayire min hen.
                K jis k ird-gird pheli ye tere lams ki mehkaar.
                Meri sanson min shamil he.
                Mere dil se nigahon tak kayi aarasta raste.
                Teri hi simt aate hen.
                Suhane geet gaate hen.
                Mujhe teri chahat min yon in ka saath hasil he.
                K mujh par ab nhi zaahir.
                Manzil he meri khushbu.
                K khusbu manzil he..




                Mohabbat khawab he koi.
                To phir khwabeeda ye aankhen.
                Kayi neendon k aik ghehre hisaar-e-sehar min hen qaid.
                Meri palkon pe hen bethe kayi hi an-ginat sapne.
                K jin ki manzilon k ab ameen tumhi to ho thehre.
                Humari khwab-nagri k makeen tumhi to ho thehre.
                So is ahd-e-mohabbat min.
                Nhi ab dar koi la-haq.
                Muqabil aandhiyon k in.
                Roshan sab chiraghon ki ab tabeer ho jese.




                Mohabbat gar fasana he.
                To phir inkaar he hum ko.
                K meri aankh min roshan tumhare nam k jugnu.
                Mere dil min darakhshan sab tumhari yad k pehlu.
                Meri sochon pe hawi wo tumhari qurb ki khushbu.
                Mere jazbon ki sachayi, wafaon k rang-o-lahu.
                Koi farzi kahani hen na hi afsana koi.




                Mohabbat aaina soorat.
                K jis min sabt hu-bahu aik aks-e-haqeeqat he.
                Mohabbat to mohabbat he.
                Kabhi dasht-o-samandar he kabhi aag ki soorat.
                Kabhi yadon ki khusbu kabhi khwab ki soorat.




                Magar ab raas hen hum ko.
                Mohabbat k sabhi mousam, mohabbat ki har aik soorat.
                K sab mansoob hen tujh se.
                Mohabbat k haseen raste.
                Mohabbat k sabhi dariya.
                Teri janib rawaan hen yon.
                K chahat k sabhi mousam.
                Kisi aik khaas nukte par.
                Khud min gum ho jayen.
                Sarapa tum ho jayen.




                Mohabbat tum hi thehre,
                Mohabbat gar tumhi thehre.
                To phir rahon min haail in.
                Bichre sab hi barson ki.
                Qasm he mere jazbon ko.
                K wo tajdeed kar daalen faqt itna hi keh daalen.
                "K kal bhi dast-e-ulfat ko aik matloob tum hi the.
                Ab bhi mere lafzon se bas maqsood tum hi ho.
                Kal bhi tum se thi poori meri be-had adhoori zaat.
                Ab bhi mere jeewan ki bas aik hi zaroorat he.
                Humen iqraar tha kal bhi.
                Humen iqraar he ab bhi.

                Humen Tum Se Mohabbat Thi.
                Humen Tum Se Mohabbat He”.


                Comment


                • Kya ra'anai? ya Tanhai ????


                  Mohabbat bakhsh deti he.
                  Kabhi ra'anaiyan aisi.
                  K jese dhoop k hote.
                  Kabhi badal baras jaye.
                  K jese bin kahe koi.
                  Kahin dil min utar jaye.
                  Kahin pariyon ki wadi min.
                  Bare se takht par bethe.
                  Koi phoolon k daman se.
                  Koi rangon k anchal se.
                  Saron par saaebaan kar de.


                  Mohabbat bakhsh deti he.
                  Kabhi tanhaiyan aisi.
                  K jese aag si barse.
                  Jo sara tan jala rakhe.
                  K jese dhoop k honton ko.
                  Shole phir jala bethen.
                  K jese raste min hi.
                  Koi raahi bhatak jaye.
                  K jese man k andar kuch.
                  Chhanak se toot sa jaye.
                  K jese dil pighal jaye.
                  Mohabbat kya hai phir socho!
                  Kya ra'anai? ya Tanhai ?





                  Comment


                  • Re: Sahil ki geeli rait par...!!

                    Nice sharing

                    Comment


                    • Re: Ab ay chanda.....!!

                      very nice

                      Comment


                      • Re: Kis Liye Ab Udas Bethi Ho???

                        nice sharing

                        Comment


                        • Re: Mout k saye....!!

                          very nice

                          Comment


                          • Re: Ik judai ka mosam...!!!

                            اوہ تواڈا بھلا ہو جائے

                            Comment


                            • Re: Love U so Much...!!

                              یہ خون ہے یا کیچ اپ

                              Comment


                              • Re: Kya ra'anai? ya Tanhai ????

                                بہت عمدہ

                                Comment

                                Working...
                                X