Re: بچوں* کی نظمیں
****BACHPAN ****
Phoolon ko gudgudaoon
koyal ke sath gaoon..
Main ban ke ek Titli..
har shakh ko hilaoon..
Ji chahta hai phir se
Bachpan mein laut jaoon...
Uchloon pahadiyon par
Koodon main jhadiyon par
Main ban k ek jhonka
Teri Gali mein aaoon..
Ji chahta hai phir se..
Bachpan mein laut jaoon...
Phir se wahi puraney..
Bartan nikal laoon
Gudiya ki kar ke shaadi
Ro dho ke khil khiloon..
main ban ke ek bachhi
Mummy ko phir sataoon..
Ji chahta hai phir se
bachpan mein laut jaoon..
Pariyon ke des me jab..
Shahzada ek gaya tha..
Baouno ki bastiyon me..
Shahzadi kho gayi thi..
Jab gul pari ka beta jadoo se ud gaya tha..
Aor kakhashan ke jhooley me munnuu so gaya tha..
sari kahaniyaon ko..
aa kar tyumein sunaoon ..
Ji chahta hai phir se
bachpan mein laut jaoon
bachpan mein laut jaoon..
Phoolon ko gudgudaoon
koyal ke sath gaoon..
Main ban ke ek Titli..
har shakh ko hilaoon..
Ji chahta hai phir se
Bachpan mein laut jaoon...
Uchloon pahadiyon par
Koodon main jhadiyon par
Main ban k ek jhonka
Teri Gali mein aaoon..
Ji chahta hai phir se..
Bachpan mein laut jaoon...
Phir se wahi puraney..
Bartan nikal laoon
Gudiya ki kar ke shaadi
Ro dho ke khil khiloon..
main ban ke ek bachhi
Mummy ko phir sataoon..
Ji chahta hai phir se
bachpan mein laut jaoon..
Pariyon ke des me jab..
Shahzada ek gaya tha..
Baouno ki bastiyon me..
Shahzadi kho gayi thi..
Jab gul pari ka beta jadoo se ud gaya tha..
Aor kakhashan ke jhooley me munnuu so gaya tha..
sari kahaniyaon ko..
aa kar tyumein sunaoon ..
Ji chahta hai phir se
bachpan mein laut jaoon
bachpan mein laut jaoon..
Comment