Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Bazm-e-Ummid

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: muhhabbat

    :rose shukriya!:rose
    aap logon ko ashar pasand aatey hai,yahi soch kar khush ho jati hon!:)

    Comment


    • #32
      jo kho gaya

      safar ko jab bhi dastaan mein rakhna,
      manzil ko har dum guman mein rakhna.
      jo saath hai wohi ghar ka nasib hai lakin,
      jo kho gaya hai use bhi shumar mein rakhna.:rose

      Comment


      • #33
        ammanat

        ye zaruurii nahii keh har shakhs masiihaa hii ho
        pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo.:na:

        Comment


        • #34
          tumhari muskorahat

          Tumharii Muskorahat Khwaab Ho Jaey To Sochaingay
          Kah Jeenay Kay Liyay Is Kay Siwa Kiya Kiya Zaroori Hay:)

          Comment


          • #35
            khasara

            Hisab-e-Umar ka itna sa goshawara hay
            Tumhein nikal ker dekha tu bus khasara hay..

            Comment


            • #36
              mujhay bus itna kehna hai.

              today is sunday eve and i am back on pegham.net. with my post. Hope u people like this one also..........:)

              Mujhay bus itna kehna hai,
              Kabhi mein yaad aaon to,
              Kabhi tanhai ki ratein,
              Tumhain satain to,
              Kabhi titli na bolay to,
              Aur jugnu loat jaen to,
              Kabhi jab dil bhi bhar jaye,
              Kabhi koi sun na paye to,
              Kabhi sub dost sathi bhi jo tum se rooth jaen to,
              Kabhi jab khud se lar kar thakan se choor ho jao to, Kabhi chahtay hue bhi khud akailay ro na pao to,
              Apni ankhon ko band karna mujhay awaaz de dena, Mere kandhe pe sir rakh kar tum jitna chahay ro lena,
              Jab mein khud loat jaon to apni dunya chalay jana,
              Magar bus itna kehna hai,
              Keh jab bhi dukh ya khushyun mein,
              Hamein dil se pukaro ge,
              Hamein tum saath pao ge..:rose

              Comment


              • #37
                Re: mujhay bus itna kehna hai.

                wow its nice

                Comment


                • #38
                  Re: mujhay bus itna kehna hai.


                  HMMMMMMMMMMM.... NICE........

                  CHIPKOOOOOOOOOOOO

                  Comment


                  • #39
                    apna tamasha

                    :rose apna aap tamasha karke dekhoonga,
                    khud se khud ko tanha karke dekhoonga,


                    wo shoala hai yaa chashm, kuchh bhed khule,
                    patthar dil mein rasta karke dekhoonga,


                    kab bichhda tha kaun ghadi, thi yaad nahi,
                    lamha lamha yakja karke dekhoonga,


                    waada karke log bhula kyon dete hain,
                    abke aisa main bhi karke dekhoonga,


                    Comment


                    • #40
                      Re: apna tamasha


                      WAHHHHHHhh.... BOHT KHOOOOOOOOOOOOB

                      CHIPKOOOOOOOOOOOO

                      Comment


                      • #41
                        Re: apna tamasha

                        Originally posted by ummid
                        :rose apna aap tamasha karke dekhoonga,
                        khud se khud ko tanha karke dekhoonga,


                        wo shoala hai yaa chashm, kuchh bhed khule,
                        patthar dil mein rasta karke dekhoonga,


                        kab bichhda tha kaun ghadi, thi yaad nahi,
                        lamha lamha yakja karke dekhoonga,


                        waada karke log bhula kyon dete hain,
                        abke aisa main bhi karke dekhoonga,


                        his all poetry is awesome ... thnx for such a great sharing ... khush rahye ...
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment


                        • #42
                          Re: apna tamasha

                          Very nice .....thanx for sharing :)
                          Allah

                          Comment


                          • #43
                            Re: apna tamasha

                            shukriya!
                            aap log ka istarah se incourage karna hi mujhe harbar is site per khinch kar le aata hai!:thmbup:
                            thanxxxxxxxxxxxxxxx a lot!:rose

                            Comment


                            • #44
                              Re: apna tamasha

                              Assalaam o alaikum
                              ummid g bohat achay zabardast bohat khoob.
                              hamm elfy maiN bujhay alfaaz istemaal kartay haiN na iss liay aap khichay chalay aatay haiN. ohhh yai baataiN to nahi batanay wali hoti haiN.. khair kabhi kabhar sach nikal hi aataa hay.
                              aap aur kaawishaiN karaiN hamm issi tarah elfy walay nahi nahi himmat afzaaee walay alfaz istemal kar k aap ko bulatay rahaiN gae.
                              ALLAH hafiz
                              Raza Baykamal

                              kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                              Comment


                              • #45
                                Re: apna tamasha

                                humm really nice

                                Comment

                                Working...
                                X