Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hasham's Collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Hasham's Collection

    apna ahsas mer na jaye kahin
    dard had se guzer na jaye kahin
    un ko dekhey hoye hoin sadyan
    un ka chehra bekher na jaye kahin
    ab ke awaz doon to aa jana
    dil dewana sudher na jaye kahin
    un ka wada to hai mager dil ko
    derr hai ke kafer muker na jaye kahin
    dard,jugnoo, hawa,gilley shikway
    yeh mukader sawer na jaye kahin
    meri dunya hai dard ki surat
    gull ki surat nikher na jaye kabhi
    khak se aab tak tu aa pohchey
    ab yeh derya uter na jaye kahin
    yeh muhabbat bhi ek balla tehri
    hum ko derr hai woh derr na jaye kahin
    is liye muskuraye phirta hoon
    un ki aakh bhi na bhar jaye kahin
    dil se guzra to hai mager wasif
    apni jaan se guzer na jaye kahin

    Comment


    • #32
      Re: Hasham's Collection

      kabhi waqt gar jo palat sakkey
      Teri qurbatoon kay woh sub lamhey
      Jo rizq-e-khaq-e-dehr hue
      Jo adum ko mehv-e-safar howai
      Main hisar-e jaan main samait loon
      Wo hai aik lamha lahoo karoon
      yoon lahoo karoon
      k meri zaat hi main nihaan ho tu
      Meri sab ragoon mai rawaan ho tu
      so ye dard kuch tu simat sakay
      kabhi waqt gar jo palat sakay

      Wo rahguzarein to ab bhi hain
      Raha jin pay tu mera hamsafar
      Magar ab zamee'n hai be-girift
      Nahi dastaras kissi raah per
      Jo tere' qadam nahi hamqadam
      To ye' rastay sabhi dhund hain
      Meri manzilain hain dhuwa'n dhuwa'n
      Mere' sab yaqeen howay gumaa'n
      Wo nishan-e' raah
      Tere' naqsh-e' pa
      kahi'n khak orrh k so gaye'
      Meri manzilain houi ajnabi
      Mere' rastay kahin kho gaye'
      Mere' hamsafar mere' baikhabar
      kabhi lout to kabhi lai khabar
      kabhi daikh to jo allao hain
      Meri rooh per yeh jo ghao hain
      yeh jo ghao hain tere' hijr ke'
      yeh kabhi jo jism pay aa gaye'
      To dehr main jalta shehr kahe'
      Issay kya khabar main hoon dar badar
      Mai hoon dar badar mujhai simt dai
      Mujhai simt day kay safar karoon
      ya wo dard day kay main mar sakoon

      ye jo dasht hai merey char soo
      Issay azn day kay sarab ho
      ye jo raig-e-hijr-o-faraq hai
      Issay huqm dai kai gulab ho
      koi lamha ho teray sath ka
      kay meri umar bhar ko samait lay
      main fna baqa kai sabhi safar
      Isi aik pal mai guzar doon
      Jo guzar doon mujhay raig ker
      Meray jism ko rooh ko raig ker
      kai main dasht dasht safar karoon
      yoon hi gard hoti musafatoon main
      Main dasht dasht safar karoon
      Teray naqshey paa ko talash loon
      koi ley key zarra-e benishan
      in hawaoon sey tera lams loon
      tujhay aqs doon
      per kis tarha
      key merey dast dil key jo laikh hain
      Sabhi hijratoon kay nisab hain
      Teri khwahishon kay azab hain
      Merey hath chirag hai rakh ka
      Merey' istakhwan main hai tergi
      Merey jism sai meri rooh tak
      ye jo dard ki hai khaleej si
      issay koi chah na bhar saki
      Teri chahaton ko pukarte
      Meri umer sari guzar gai
      mai azal sai hi raha narsa
      tu kay mudatton say thi bewafa
      so ye waqt palat bhi gya to kya

      Comment


      • #33
        Re: Hasham's Collection

        Originally posted by hashambutt View Post
        Meray HamSafar Teri Nazar Hain Meray Jazb e Dil ki ye Shidatien
        Meray Khawab Meri BaSaRatien Meri DhAkAnien Meri Chahtien

        jO teray Qadam Meray Ghar Challien Meray Sath Shams o Qamar Challien
        Teri QurbatOon Mein Smait lOun Raah e Zindgi ki MuSafatien

        Yeh Rida e jAan tUghe sOnp dOon k na dhOop tUgh ko Karii lAgey
        kOi Dukh na tUgh ko Aata Karien Sar e DaSht e ghAm ki TmaZatien

        Teray nAam Se Meri Subah hO , Teray nAam se Meri Sham ho
        Teray Ro-Baro Rhien SurKharO ..Meray ChaSham e Dil ki iBaRatien

        Tera Pyar Meri dUa Rhay .. yhi FiQer mUgh ko Sada Rhay
        Ho Harra Bhara Tera Nakhal e jAan ,, k NaSeeb hOn tUghe RaahAtien

        Meri Rooz o Shab k NiSaab mein Mera Apna HiSsa to kUch nhe
        Tera Qarz hAi Meri Zindgi ...Meri SanSien teri Amanatien!
        :rose niceful
        ~~~duaoon main dua yeah hay k bus mil jaein tujh ko he~~~~
        ~~~merey naseeb main likhi Khuda ney jo bhi khushiyan hon~~~

        Comment


        • #34
          Re: Hasham's Collection

          waah janab bahot khoobsurat collections
          sigpic

          Comment


          • #35
            Re: Hasham's Collection

            Wonderful Collection.
            aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
            kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

            Comment


            • #36
              Re: Hasham's Collection

              buhat hi khob..........

              Comment

              Working...
              X