Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hasham's Collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hasham's Collection

    Sun lia hum ne Faisla tera
    Aur sun ker udaas ho bethe
    Zahen chup chaap aankh khali hai
    Jaise hum kainaat kho bethe

    Dil ya kehta hai zabt lazim hai
    Hijr k din ki dhoop dhalne tak
    Aetraaf-e-shikast kya kerna
    Faisle ki ghari badalne tak

    Ab charagaan karein hum ashkoon se
    Ya manazir bhuje bhuje dekhein
    Ik taraf "Tu" hai ik taraf "Dil" hai
    Dil ki manein ya ab Tujhe dekhein

    Tujh ko paya to chaak si lein ge
    Ghum bhi amrat samajh k pi lein ge
    Warna yoon hai k daman-e-dil main
    Chand sansein hain gin k ji lein ge

  • #2
    Re: Hasham's Collection

    Aaj Ki Shub Tu Kisi Taur Guzar Ja'ey Gi
    Raat Ghehri Hai,Magar Chaand Chamukta Hai Abhi
    Meray Mathay Pay, Tera Pyar Damukta Hai Abhi
    Meri Sansoon Mein, Tera Lums Mayhakta Hai Abhi
    Meray Seeay Mein , Tera Naam Dharakta Hai Abhi
    Zeest Karnay Ko Meray Paas Bohut Kuch Hai Abhi

    Teri Aawaz Ka Jadoo Hai, Abhi Meray Li'ey
    Teray Malboos Ki Khushboo Hai, Abhi Meray Li'ey
    Teri Bahain Tera Pehloo Hai, Abhi Meray Li'ey
    Sab Say Barrh Kar Meri Jaan' Tu Hai Abhi Meray Li'ey
    Zeest Karnay Ko Meray Paas Bohut Kuch Hai Abhi

    Aaj Ki Shab Tu Kisi Taur Guzar Ja'ey Gi
    Aaj Kay Baad Magar, Rang-e-Wafa Kya Ho Ga?
    Ishq Hairaan Hai Sar-e-Seher-e-Saba Kya Ho Ga
    Meray Qaatil Tera Andaz-e-Jafa Kya Ho Ga

    Aaj Ki Shub Tu Bohut Kuch Hai Magar, Kal Kay Li'ey
    Ik Andesha-e-Be'Naam Hai Aur Kuch Bhi Nahi

    Daikhna Ye Hai Kay Kal Tujh Say Mulaqaat Kay Baad
    Rang-e-Umeed Khillay Ga, Kay Bikhar Ja'ey Ga
    Waqt Parwaaz Karay Ga, Kay Theher Ja'ey Ga
    Jeet Ho Ja'ey Gi, Ya Kheil Bigarr Ja'ey Ga
    Khawaab Ka Sheher Rahay Ga, Kay Ujarr Jae'y Ga


    Parveen Shakir

    Comment


    • #3
      Re: Hasham's Collection

      A Poem For My Nation

      Hum to aseer-e-khaab thay, ta'beer jo bhi thi
      Deevaar par likhi hoi tehreer jo bhi thi

      Har fard la'jawab tha, har naqsh be'misaal
      Mill jull k apni qoom ki tasveer jo bhi thi

      Jo saamnay hai sab hai ye apnay kiey ka phal
      Taqdeer ki to chhori'ey, Taqdeer jo bhi thi

      Aaya or ek nigaah mein barbaad kar giya
      Hum ehl-e-intezaar ki jageer jo bhi thi

      Qadrein jo apna maan thein, neelaam ho gaein
      Malbay k moll bikk gai, tameer jo bhi thi

      Taalib hein terey rehum k hum, adl k nahi
      Jaisa bhi apna jurm tha, takseer jo bhi thi

      Comment


      • #4
        Re: Hasham's Collection

        ahan Nice Choice
        Welcome To Pegham Bazm-e Shairi

        Comment


        • #5
          Re: Hasham's Collection

          ^^Thankx Gull sis God Bless you :)

          Comment


          • #6
            Re: Hasham's Collection

            nice................

            Comment


            • #7
              Re: Hasham's Collection

              Wah Je Wah Buhat Khub...Very Nice Sharing

              Comment


              • #8
                Re: Hasham's Collection

                Originally posted by life. View Post
                nice................
                shukriya :)

                Comment


                • #9
                  Re: Hasham's Collection

                  Originally posted by phonix_24 View Post
                  Wah Je Wah Buhat Khub...Very Nice Sharing
                  ^^thankx janab :)

                  Comment


                  • #10
                    Re: Hasham's Collection

                    Mushkil Hai K Ab Shahar Main Nikley Koi Ghar Sey
                    Dastaar Pe Baat Aa Gai Hai Hoti Hoi Sar Sey

                    Barsaa Bhi To Kis Dasht Ke Be'faiz Badan Par
                    Ik Umr Merey Khait Thay Jiss Abr Ko Tarsey

                    Is Baar Jo Eendhun Ke Liey Katt Ke Gira Hai
                    Chirriyon Ko Barra Pyar Tha Us Borrhey Shajar Sey

                    Mehnat Meri Aandhi Se To Mansoob Nahi Thi
                    Rahna Tha Koi Rabt Shajar Ka Bhi Samar Sey

                    Khud Apney Se Milney Ka To Yaraa Na Tha Mujh Mein
                    Main Bheerr Main Gum Ho Gai Tanhai Ke Dar Sey

                    Benaam Musafut Hee Muqaddar Hai To Kya Ghum
                    Manzil Ka Ta'yyun Kabhi Hota Hai Safar Sey

                    Pathra'ya Hai Dil Yon K Koi Ism Parrhaa Jaa'ey
                    Ye Shahar Nikalta Nahi Jadoo Ke Asar Sey

                    Nikley Hain To Rastey Main Kahin Shaam Bhi Hogi
                    Sooraj Bhi Magar Aa'ey Gaa Is Raah'guzar Sey



                    Parveen Shakir

                    Comment


                    • #11
                      Re: Hasham's Collection

                      ye mere liye
                      tu azaab hai
                      mujhe bakhsh de
                      aee mere khuda
                      bhala kab talak mein sahun bata
                      ye azaab jaan jo hai sookhta
                      mein ne mana mujh se khata hoi
                      mujhe zindagi jo ata hoi
                      ise mein ne apney hi haath se
                      yun ganwa dia k hoi fana
                      meri zaat zarra'e be nishan
                      aee mere khuda
                      mujhe aisa koi suraagh de
                      k tera nishan main paa sakun
                      mujhe koi aisi raah sujha
                      k mein khud ko raah pe laa sakun
                      meri tishna rooh ko qarar de
                      meri bigri dunia sanwaar de
                      mere Malik itni saza bohat
                      mujhe kuch khushi tu udhar de

                      Comment


                      • #12
                        Re: Hasham's Collection

                        Mujhe jo kuch bhi kehna tha abhi main keh nahi paya
                        Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

                        Abhi wo karb likhna hai jisse mehsoos kerta hoon
                        Abhi wo khwaab likhne hain jo in aankhon main palte hain
                        Mujhe un ko bhi likhna hai jinhein main dhond na paya
                        Abhi wo loog likhne hain jo kho ker haath malte hain
                        Abhi wo ashq likhne hain kabhi jo keh nahi paya
                        Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

                        Abhi to mausamoon ki shokhiyaan tehreer kerni hain
                        Uthane hain abhi darya se mujh ko pyaas k pehre
                        Abhi to khush paeroon per mujhe rim jhim bhi likhni hai
                        Kahin pe dhoop likhni hai kahin pe tergi chaya
                        Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

                        Abhi to mujh ko likhni hain kisi ki reshmi zulfein
                        Kisi ki surmageen palkein kisi ki aankh ka kajal
                        kisi ki unkahi baatein macha dein dil main jo halchal
                        Abhi wo sab bhi likhna hai jo mera ishq kehlaya
                        Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

                        Abhi to wo safar likhna hai jo darpesh hai mujh ko
                        Abhi to tum ko apni pyaas ka sehra dikhana hai
                        Abhi to hijr ki likhni hain saari matami raatein
                        Abhi to aise lamhe bhi tumhein aaker sunane hain
                        K jin se ashk aankhon main magar iss dil ko behlaya
                        Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

                        Abhi se saath chore ja rahe ho kis liye jana
                        Abhi to khul k dil ka haal bhi tum ko na batlaya
                        Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aaya

                        Comment


                        • #13
                          Re: Hasham's Collection

                          Waaaaaaaah janab bahot khoob share karte rahiye
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Hasham's Collection

                            shukriya wasi bhai :)

                            Comment


                            • #15
                              Re: Hasham's Collection

                              Gar Aisa Ho Key Sham Dhalay
                              Kuch dOst Puranay Aa Jaien
                              Keh Dein Wo mUjh Sey Sath Chalo
                              Kahien ghOomnay Phirnay Chaltay hAin
                              M<ain KhOya Sa Teri YaadOun Mein
                              Key dOn Ga Abhe Mera mOod Nahi
                              Key dOn Ga Ke tUm Khud jAo
                              Keh dOn Ga TAbyet Theak Nahe
                              Woh Keh Daien hO Na Pagel tUm
                              Ab Us Bin kOii Rog Nahe
                              Wo Baat Karay Gi Na tUm Sey
                              kyOu ChOur Daitay tUm SOug Nahe
                              Main Keh dOn Aisa To Na Kho
                              Aisii To kOii Baat Nahe
                              Aanay Hii Wala hOga Bas
                              Eik fOne Us Ka Meray Hi Leye
                              wO Sharmaii Aur Ghabraii
                              POchay Gii mUjh Sey Kaisay hAin?
                              Main Keh dOn Ga K Theak Nahe
                              Main Har Gya Koii Jeet Nahe
                              Wo POchay kyOun Kar Aisay Ho
                              Main Keh dOn Ga Bus Aisay Hii
                              kOii Baat Nahe
                              kOii Baat Nahe


                              Phir Main Bhe Us Sey pOChOun Ga
                              Kya mUjh Bin Tera HAal Yahi
                              wO Byaan Kar Degii Haal Apna
                              Wo Keh Dey Gi Sab Kuch Sach Sach
                              kyOu Kat-tay Yeh Din Raat Nahe
                              Phir Keh dOn Ga Main Bhe Usay
                              Bas SOchta Rehta hOn Main tUjhay
                              Aur khOya KhOya Rehta hOn
                              Main Keh dOn Bin Teray Jeena Kya
                              Gar tOo Na Milli To Mar jAon
                              wOh bOlay Phir , Aisa Na Khien
                              Aisa To Ho Sakta Nahe
                              Main Phir Aagay Kuch Bhe Na khOun
                              Bas khOya Sa Baitha Hi Rhoun
                              Aur Keh dOn K dUa Karna
                              Main Bhe To dUaien Karta hOn
                              wOh Keh Dey Phir
                              kOii Aaya hAi]
                              Jana hAi mUjhay kOi Dekh Na Ley
                              Main Keh dOn Kya tUm Darti hO?
                              Kya Pyar mUjhey tUm Karti Ho ?
                              wOh Keh Dey Aisii Baat Nahe
                              Kar Leien Aap thOra Sa Sabar
                              Bas Kuch Din Hi To Baqi hAin
                              Jatay jAtay mUjh Sey Wo
                              ChOta Sa Phir Eik Ley Vaada
                              wOh Keh Dey Rakhien Khyaal Apna
                              Main Keh dOn Ga Gar tOo Bhe Kar
                              Eik Ehad ChOta Sa Meray Sang
                              POchay Gi wOh Jo Ehad Mera
                              Main Keh dOn Ga kOi Aur Na Ho
                              Meray Siwa Teray Sath Kabhe
                              Bas Main Hi Teray Saath Rhoun
                              Bas Main Hi Tera Saathi hOn
                              wOh Bolay Keya Vaada Main Ney
                              Phir Main Us Sey Kar lOun Vaada
                              Yeh Keh Key wOh Phir Rakh Dey fOne
                              Aur Main Bhe Phir Sey Kho jAon
                              Par Aisa Na hUa
                              Kuch Bhe Na hUa
                              Vaada Na hUa
                              Na dOst Aaye
                              Na Us Ney kOii fOne Keya ..

                              Comment

                              Working...
                              X