Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hasham's Collection

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Hasham's Collection

    TumHain Zid Hay K Iqraar-E-Wafa Tumnay Nahi Kerna
    Meri Taqdeeer Main Rang-e-Hina Tumnay Nahi Bherna
    Tumhain Manzoor Hay Shayed Mera Youn Ghut Ghut Key Merna
    Tumharay Her Faisley Par Ab Mera Sar Tasleem e Kham Hoga
    Main Apnay Hont See lOnga
    Youn Hi Bey-Kaif Jee lOnga
    Tumharay HijjAr Ki Tasveer Ko Dil Mein Saja LOnga
    Tumharay Jabar Ko Apnay Sabar Ko Aazma LOnga
    Haan Meri Jaan Main Tera Ab Her Sitam Seh LOnga

    Mager Aik Baat Mein PochOon?
    Tumhain Apni Qasam
    Tum Sar Per Apnay Hath Rakh K Yeh Kehna
    Tumharay Dil Mein Meray Naam Say Halchal Nahi Hoti?
    Mairay Khat Perh Ker JazbOun Mein KOii tOofan Nahi Uthta,?
    Jawan RatOun Mein Mairay Naam Ki Shamaien Nahi Jalti?
    Tumhari DhaRkanOuu Mein Kya Meri Soch Nahi Palti ?

    To Tum Nay kyun Aziyet Ki Rida Taan Rakkhi Hai
    Ye Dil Main Than Rakkhi Hai

    Bohut Baichain Khud Rehna Mujhay Bhe Barbad Sa Rakhna
    bhOlana Bhe To Us K Sath Kuch Kuch Yaad Bhe Rakhna
    Her Aik Andaaz Say Apnay, Mujh Per Sitam Sa Rakhna

    Ager Is Shouq Say Tumhain Taskeen Milti Hai To

    Maira Zakham Ka Tazkara Ab Kam Say Kam Hoga
    Tumharay Har Faislay Per Mera Sar Tasleem e Khum Hoga

    Comment


    • #17
      Re: Hasham's Collection

      kyOu tAnhA tAnhA PhiRtay Ho
      kyOu Uljhay Uljhay Rehtay Ho
      JaiSay dUnya Sey Ghabraye hOye
      Jaisay Bohet STaye hOye
      Kuch GumSum GumSum Lagtay Ho

      kyOu tAnhA tAnhA PhiRtay Ho
      kyOu Uljhay Uljhay Rehtay Ho

      Chehray Pey KhuShi Ki KiRan Nahi
      Na hOntOun Pey MuSkaan HaSeen
      kyOu Hairaan tUmhair Aankhien hAin
      kyOu Khud Sey Hii Baatien Kartay Ho

      kyOu tAnhA tAnhA PhiRtay Ho
      kyOu Uljhay Uljhay Rehtay Ho

      Lehjay Mein Teray Na Aas kOii
      Kar Gya tUmhien Udaas kOii
      kyOu Gehray Halkay AankhOun Mein
      kyOu Jagtay tAnhA RaatOun Mein
      kyOu SapnOun Sey tUm DaRtay Ho

      kyOu tAnhA tAnhA PhiRtay Ho
      kyOu Uljhay Uljhay Rehtay Ho

      Kya SApnay tUmharay tOot Gye
      Yaa Apnay Saaray rOoth Gye
      Kya Gum Ho Beetay SaalOun Mein
      KiSsi BeVaffa Key KhyalOun Mein
      tUm KhOye KhOye Lagtay Ho

      kyOu tAnhA tAnhA PhiRtay Ho
      kyOu Uljhay Uljhay Rehtay Ho

      Comment


      • #18
        Re: Hasham's Collection

        Is Sey Pehlay Key Teri ChaSham e Karam Maazrat Ki Nigah Ban jAye
        Pyar Dhal jAye Meray AshkOu Mein AarzOo Eik Aah Ban jAye
        mUgh Pey Aa Jaye IShq Ka Ilzaam Aur tOo Be-gUnah Ban jAye

        Mein Tera Shehar Chour jAoun Ga

        Is Sey Pehlay Key SaadGii Teri Lab e KhamOsh Ko Gila Keh Dey
        Teri majbOoriyaan Na Dekh Sakay Aur Dil tUgh Ko Be-Waffa Keh Dey
        jAnay Mein Be-khUdii Mein Kya pOoChoun
        jAnay tOo Be-rUkhi Sey Kya Keh Dey

        Mein Tera Shehar Chour jAoun Ga

        Is Sey Pehlay K Teray hOntOun Sey Ghair hOtOun Ka Jaam TakRaye
        Is Sey Pehlay Key zUlf Key Badal AjnAbii BaazuOn Pey LehRaiyen
        Aur Teri Be-BaSsi Key Nazaaray Meri AankhOun Pey Aag BarSaiyen

        Mein Tera Shehar Chour jAoun Ga

        ChOur Kar Saahil e Hyaat Chala Ab Safeena Mera Khien Thehray
        Zehar Peena Mera mUQaddar hAi Aur Teray hOnth Dil-NaSheen TheRya
        Kis Trah Teray AaStaan Pey RukOun jAb Na PaOun Talay Zameen Thehray

        Mein Tera Shehar Chour jAoun Ga

        mUGhe Ko Itna ZarOor Kehna hAi Waqt e rUkhSat Slaam Sey Pehlay
        tOur lOun RiShta e Nazar Mein Bhe tOo Utar jAye Baam Sey Pehlay
        Yeh Meri jAan Mera Wada hAi Kal KiSsi Waqt Shaam Sey Pehlay

        Mein Tera Shehar Chour jAoun Ga

        Comment


        • #19
          Re: Hasham's Collection

          kuch batain aisi hoti hain
          jinhain dil sy lab tak lanay mai
          ik umer ganawana parti ha
          youn to daikha sab kuch paa kr b
          pr kuch khawab adhory rehty hain
          in jalty bhujty lamhon mai
          pr kuch khawab ammar ho jaty hain
          tu khushbo hai us mosam ke
          jis mosam k har lamhy mai
          100 phol khushi k khilty hain
          par shakh py khilty pholon ka
          har rang chua kab jata hai
          har rang ko lakin chunay ke
          yh khwahish b kab marti hai
          tu khawab hai meri ankhon ka
          yh khawab adhora rehna hai
          ik dard hai baykal kazbon ka
          jo chupay chupkay sehna hai

          kuch batain aisi hoti hain

          Comment


          • #20
            Re: Hasham's Collection

            :rosebohat lamba magar piara likhtey hain:rose



            --------------------------------
            woh maza diya tarap nay kay yeh aarzo hai yah rab
            meray dono pehlo'on mein dil_e_beqarar hota

            Comment


            • #21
              Re: Hasham's Collection

              Excellent Sharing.
              aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
              kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

              Comment


              • #22
                Re: Hasham's Collection

                very nice
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Hasham's Collection

                  Originally posted by sajid mahmood View Post
                  :rosebohat lamba magar piara likhtey hain:rose



                  --------------------------------
                  woh maza diya tarap nay kay yeh aarzo hai yah rab
                  meray dono pehlo'on mein dil_e_beqarar hota
                  Shukriya janab main nahi likhta meri collection hai :)

                  Comment


                  • #24
                    Re: Hasham's Collection

                    Originally posted by khan khan View Post
                    Excellent Sharing.
                    shukriya janab :)

                    Comment


                    • #25
                      Re: Hasham's Collection

                      Originally posted by iiiiboyz View Post
                      very nice
                      shukriya jee :)

                      Comment


                      • #26
                        Re: Hasham's Collection

                        Meray HamSafar Teri Nazar Hain Meray Jazb e Dil ki ye Shidatien
                        Meray Khawab Meri BaSaRatien Meri DhAkAnien Meri Chahtien

                        jO teray Qadam Meray Ghar Challien Meray Sath Shams o Qamar Challien
                        Teri QurbatOon Mein Smait lOun Raah e Zindgi ki MuSafatien

                        Yeh Rida e jAan tUghe sOnp dOon k na dhOop tUgh ko Karii lAgey
                        kOi Dukh na tUgh ko Aata Karien Sar e DaSht e ghAm ki TmaZatien

                        Teray nAam Se Meri Subah hO , Teray nAam se Meri Sham ho
                        Teray Ro-Baro Rhien SurKharO ..Meray ChaSham e Dil ki iBaRatien

                        Tera Pyar Meri dUa Rhay .. yhi FiQer mUgh ko Sada Rhay
                        Ho Harra Bhara Tera Nakhal e jAan ,, k NaSeeb hOn tUghe RaahAtien

                        Meri Rooz o Shab k NiSaab mein Mera Apna HiSsa to kUch nhe
                        Tera Qarz hAi Meri Zindgi ...Meri SanSien teri Amanatien!

                        Comment


                        • #27
                          Re: Hasham's Collection

                          Shehar e Dil ki GaliyOn mein
                          Shaam se Bhataktay hain
                          Chaand k tAmAnAii
                          Be-Qarar SoDaii
                          Dil Gudaz tAReeki
                          jAan gUdaz tAnhAii
                          Rooh o jAan ko DaSti hAi
                          Rooh o jAan mein BaSti hAi
                          Shehar e Dil ki GaliyOn mein


                          Taak e Shab ki BailOn per
                          ShabNamien Sar ShkOon ki
                          Be-Qarar lOgon ney
                          Be-Shumar lOgon ney
                          yAadGar chOri hAi
                          itni bAat thOri hAi


                          Sad Hazar Batien thien
                          Hiblaa'e Shkeebaii
                          SooRaton ki Ze-Baii
                          QaMaton ki Ra'naii
                          In Syaah RatOn mein
                          Eik bhe na yAad Aai
                          Ja Baja BhatAktay hAin
                          Kis ki Raah tAktay hAin
                          Chand k tAmAnAii


                          Ye Nagar Kabhe Pehlay
                          iS Qadar na Tha VeRaan
                          Kehnay Walay Kehtay hAin
                          Qarya e NiGaraan tha
                          Khair Apnay jEenay ka
                          Ye Bhe eik Shara tha


                          Aaj Dil mein VeRaani
                          Abar Ban k Ghir Aaii
                          Aaj Dil ko kia Kahye
                          Ba-Waffa na HarjAii
                          Phir bhe lOg Dewanay
                          Aa Gaye hAin Samghanay
                          Apni WehShat e Dil k
                          Bun leye hAin AfSanay
                          KhuSh khyal dUnya ney


                          Garmiyan to jAti hAin
                          Wo rUtien bhe Aati hAin
                          jAb MalOol Raton mein
                          DoSton ki Baton mein
                          Jee na Chain Paye ga
                          Or dOob jAye ga
                          AahatOn Se gOnjay gii
                          Shehar e Dil ki tAnhAii
                          Or Chaand RatOn mein
                          Chandni k Shaidaii
                          Har Bhanay Niklien gey
                          Aazmanay Niklien gey
                          AarZoo ki Geeraii
                          dhOndnay ko RuSwaii
                          Sard Sard Raaton Mein
                          Zard Chand BakhShay ga
                          Be-HiSsab tAnhAii
                          Be-HijAab tAnhAii
                          Shehar e Dil ki GaliyOn mein

                          Comment


                          • #28
                            Re: Hasham's Collection

                            Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhay
                            Pathar Pe Hoon Lakeer,Mita Dijiye Mujhay

                            Har Roz Mujh Se Taza Shikayet Hay Aapko
                            Main Kya Hoon Ik Baar Bata Dijiye Mujhay

                            Mere Siwa b Hay Koi Mozoo-e-Guftagu
                            Apna b Koi Rung Dikha Dijiye Mujhay

                            Ki Main Ne Apnay Zakhm Ki Tash,heer Ja Baja
                            Main Manta Hoon Jurm,Saza Dijiye Mujhay

                            Qayam To Ho Sakay Koi Rishta Gohar k Sath
                            Gehray Samandroon Mein Baha Dijiye Mujhay

                            Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Se Fayeda?
                            Hay Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

                            Jaltay Dinoon Mein Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
                            Saaye Ki Justaju Mein Laga Dijiye Mujhay

                            Yun To Shula-e-Jaan Sard Ho Hi Chuka Hay
                            Lekin Sulag Uthoon To Hawa Dijiye Mujhay...!!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: Hasham's Collection

                              Dil jalo ke saath dilke qafile bhi jal gai
                              naam na lo ab uska hum bhi ab badal gai

                              shazisho ke saath thy hasrato ke raaste
                              dil ko bhlane ke liye uspe hum chl gai

                              thaam lete thy hame wo apni qamzori samjhke
                              mil gaya jab maqsad unhe tu wo bhi badal gai

                              saath janmo ka ye saath, saath dino main toot gaya
                              ranjisho ke raasto pe hum akele rah gai

                              dard ki ye aah ne dil ko ayese tor diya
                              apne armano ko khood hi hum pairo tale kuchal gai

                              teri es bewafayi ne gir ke uthna sikha diya
                              dhoka dene walo se hum tu ab sambhal gai

                              kis pe koi bhrosa dil ab ye kerta nahi
                              teri waja se aaj hum sab se badal gai

                              roti hoyi ankho se bhi muskorate hai kawal
                              zindagi ke gum thy bhut tu sanche main uske dhal gai

                              Comment


                              • #30
                                Re: Hasham's Collection

                                Ankhoon se mere is liye lali nahi jati
                                yaadoon se koi raat jo khali nahi jati
                                Ab umer na mousam na woh raste k woh paltay
                                Is dil ki magar khaam khayali nahi jati
                                Maange to agar jaan bhi hans k tujhe de doon
                                teri to koi baat bhi tali nahi jati
                                Aye koi aa kar yah tere dard sanbhalay
                                Hum se to yah jageer sanbhali nahi jati
                                Maloom humain bhi ha bohat se tere kisse
                                Par baat teri hum se uchali nahi jati
                                Hamrah tere phool khilati thi jo dil main
                                Ab sham wohi dard se khali nahi jati
                                hum jaan se jain gay tabhi baat bane gi
                                Tum se to koi rah nikali nahi jati

                                Comment

                                Working...
                                X