Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Khurram's Collection*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

    hum se chahat na ziyada jataya karo
    door rahte ho kion paas aaya karo

    tera jalwa kabhi hum ne dekha nahin
    kabhi chehra humen to dikhaya karo

    roz gheron ki majlis main jate ho tum
    kabhi to apno ki mahfil sajaya karo

    hum ranjeeda bhi hain neem deeda bhi
    aa ke dil tum hamara behlaya karo

    teri majboorion ki khabar hai mujhe
    baat baat per kasmein na khaya karo

    tere waade pe hum ne bharoosa kia
    kuch to ulfat ka tum bhi haq nibhaya karo

    chahne wale ki chahat pe kar lo yakeen
    roshni main diye na jalaya karo

    hum bhi hum raaz hain tum bhi hum raaz ho
    dil ki baat hum se na chupaya karo

    Comment


    • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

      Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski
      Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

      Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
      Mujhko deewaana bana deti hain yaadein usski

      Main bukalatta hoon agar raat ke andhere mein
      Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

      Jab uthaata hoon nigahein kisi aur chehre ki taraf
      Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

      jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaqat ka
      Faasle aur barha deti hain yaadein usski

      Comment


      • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

        Wo Jo apna tha wahi aur kisi ka kyon hai?
        Ye hi dunia hai to aakhir eisi ye dunia kyon hai?
        Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyon hai?

        Dil - E - Barbad se nikla nahi AB tak koi,
        Ek lute ghar pe diya karta hai dastak koi,
        Aas Jo toot gai phir se bandhata kyon hai?
        Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?

        Tum assaratt ka kaho ya ise gam ka rishta,
        Kahte hai pyaar ka rishta hai janam ka rishta,
        Hai janam ka Jo ye rishta to badalta kyon hai?
        Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?

        Ek jara hath bada de to pakad Le daman,
        Uske sine mein sama jaaye hamari dhadkan,
        Itni kurbat hai to phasala itna kyon hai?
        Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?

        Koi ye kaise bataye ke wo tanha kyon hai?
        Wo Jo apna tha wahi aur kisi ka kyon hai?
        Ye hi dunia hai to aakhir eisi ye dunia kyon hai?
        Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyon hai

        Comment


        • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


          Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
          maiN rang deta janan tujhe apnay peyar main

          main itna peyar deta tujhe jan-e-arzoo
          tu khud ko bhool jati meray aitbaar main

          tu jo kabhi bulati mulaqaat ke liye
          be-chain ho k phirti meray intizar main

          main dair say jo aata naaraaz ho ke tum
          har baat ka jawab deeti inkaar main

          tu jo kisi baat par mujh se rooth jati
          main tujhay manata bare israar main

          maan kar tu mujh se sirf yehi kehti
          hai yaqeen nahin kami koi tere peyar main

          kash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
          main rang deta janan tujhe apnay peyar main

          Comment

          Working...
          X