Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~*~*Khurram's Collection*~*~
Collapse
X
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
"Ghazal"
Adhori si hai zindagi adhore hain hum.
Bujh rahi hain saanse jal rahe hai hum.
Badalte mosamo ne sikhaya hai buhat kuch lakin.
Pane ki hasrat mai sab kuch kho rahe hain hum.
Na maloom manzilon par qadam ruk se gaien hain.
Beerh men raston ki taraf barh rahe hain hum.
Toot kar bikhre hain khuwab kuch is tarah .K.
Ik aarsa huwa hai un ko chun rahe hain hum.
Wafa hum ne ki un se ya ki bewafai.
Bus us ki saza bugat rahe hain hum.....!
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
(TALASH)
Main udas rasta hon sham ka,
mujhy ahaton ki talash hai.
Ye sitary hain sab bujhy bujhy,
mujhy jugnuon ki talash hai.
Har khusi hai mujh se khafa khafa,
mujhy zindagi ki talash hai.
Meri pyas mai wo talab nai,
mujhy tashnigi ki talash hai.
Ek hajom sa hai rawan dawan,
mujhy doston ki talash ha.
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Ab Darindon Se Na Hewanon Se Darr Lagta He,
Kya Zamana He K Insaanon Se Darr Lagta He
Izzat-e-Nafs Kisi Shakhs Ki Mehfooz Nahi,
Ab To Apne Hi Nigeh bano Se Darr Lagta He
Dankay Ki Chaut Pe Zaalim Ko Bura Kehta Hoon,
Mujhe Sooli Se Na Zandaano Se Darr Lagta He
Khoon Rezi Ka Ye Aalam He Khuda Khair Karay,
Musalmano Ko Musalmano Se Darr Lagta He
Bum Dhamakon Se Khauf Zada Aisa Hoon,
Ghar Me Rakhe Hue Guldaano Se Darr Lagta He
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Us simt ko chalay ho to itna usey kehna...
Ab koi nahi harf-e-tamnna usey kehna...
Tum ne hi kaha tha to yaqeen mujh ko howa tha...
Chahat nahi hoti kbhi ruswa usey kehna...
Duniya to kisi haal mein jeenay nahi deyti...
Umeed pey qaaim hai yeh duniya usey kehna...
Zarkheiz zameen kabhi banjar nahi hoti,
Darya he badal letay han rasta usy kehna...
Kuch log safar k liye mozon nahi hoty,
Kuch rasty kat'ty nahe tanha usy kehna..........
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
" INTIHA
"Main khuwab ban kar usy neend main dikhai doon ,
wo myra Qurb jo chahy to main judai doon,
Kuch is tarhan mujhy chahy k har ghari ,
us ko main darkanon ki tarha Qalb main sunai doon,
kitab khol k bethy to myra chehra ho,
main warQ warQ main usy dikhai doon,
tarap tarap k mujhy maangti rahy lykin,
siwaey apny, mai usy sari KHUDAI doon....!!
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
!!MERI KITAAB!!
Woh jo roop zere naqab tha,
Usay dekhna mera khuwab tha,
Jo mila tha hijr ki shakal mein,
Meri chahaton ka azaab tha,
Ye sawaal tha k mila karo
,Na mila karo ye jawaab tha!
Jise dekh ker main tarrap uttha,
Teri aankh mein wo hijaab tha,
Mere pas thi meri tishnagi,
Tere pass jaame sharaab tha,
Tera payar tha meri shaiyeri,
Tera ishq meri kitaab tha.
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
jab wo neand se jage to usse bata dena
k pori raat tere pas jaga hai koi
jab tere anchal tere tan se sarakne lagta
to pori raat palkon ko jagata tha koi
tum ne jab naend mei hathon ko uss k pakra tha
uss shabbe wasal sakte mei par geya tha koi
jab b ai koi muskan tere chehre pe
han pher dheree se bhut muskura dia tha koi
jab b takiya tere ser se hat jata tha
pher apni ghud mei ser rakh k sulata tha koi
jab teri zulf k sehya badal tujh pe baraste the
apne honton se teri zulfon ko hatata tha koi
jab b to sard howa se simmat see jati thi
haan apni aaghosh mei tujh ko chhupata tha koi
to pori raat yunhi be khaber soti rahi
pori raat tujhe chahat se sulata tha koi..?
Comment
Comment