Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Khurram's Collection*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


    % PagaL Larki %
    Paagal laRki rut'h na jaana

    bilkul such such baat bataana

    teri aankhein, sundar sapnay

    tera badan, malbus ki shiknein

    teray honto'n ki ye laali

    teray kaano'n ki ye baali

    jub sab mil kay hanstey hein

    to tera dil bindiya ban kay

    teray maathay pe sajta hay

    or koi gehri ankho'n waala

    us mein jagmag karta hay

    to muj'h ko kuch yaad aata hay

    apna maazi, apna maatha

    or koi gehri aankho'n waala!

    paagal laRki rut'h na jaana

    mein phir aik dua karti hoo'n

    shaid ab poori ho jaaye

    teray maathay ki ye bindiya

    such much hi teri ho jaaye

    paagal laRki rut'h na jaana

    Comment


    • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

      Originally posted by mkhurram2k7 View Post
      Tha bohat khush jo bhula k mujhe

      Aaj roya gally laga k mujhe

      Us ne pehla sawal ye pucha

      Tum ko kesa lga ganwa k mujhe

      Mujh ko pathar bana k khta hai

      Jan dekho na muskura k mjhe

      Zindgi ne to aazmaya he

      Tum b dekh lo aazma k mjhe

      Us ne rasta badal lia apna

      Piyar ki rah pe chala k mjhe
      Wah janab , buhat umda

      Comment


      • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

        thanks Mr. Khan je

        Comment


        • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


          Musalsal Haadson say Bus Mujhay itni Shikayet hai

          K ye Aansu Baha leny ki bhi Mohlat nahi dety..!!!

          Comment


          • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

            Mein haathon ko dekhty hwe soch raha hun;

            k

            Ye zndgi kis
            k naam karun?

            "Us k naam jo
            Dil ki dhrkno mein hy"

            Ya
            phr

            "Us k naam jo Hathon ki lakiron me hai.

            Comment


            • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

              Lafzoon ki tamheed mujhay baandhni nahi aati.

              Hum tum ko yaad kertay hein seedhi si baat hai.

              Comment


              • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                Dhuaan uthha tha deewane k jalte ghar se saari raat.

                Lekin wo khamosh raha dunya k dar se saari raat.

                Raat yun jalte dil par teri yaadon ki barsat hui.

                Jaise ek pyase ki chita par barkha barse saari raat.

                Saari raat to sapne dekhe subha ko yeh mehsus hoa.

                Humne apna sar takraya ek phatar se sari rat.

                Comment


                • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                  Comment


                  • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                    "Barson se tere shehar se guzra nahi hon mein,.
                    Lekin tere khayal se bichra nahi hon mein,.

                    Mujh ko kadam kadam pe mili haar ki soghaat,.
                    Ye mera hosla he ke toota nahi hon mein,.

                    Deta hon mein jahaan ko muhabbat ki roshni,.
                    Nafrat ki aandhiyon main bujhta nahi hon mein,.

                    Mera he aasmaan ki wussat se wasta,.
                    Dharti ki pastiyon main girta nahi hon mein,.

                    Shabnam ko dekhna he to dil ki nazar se dekh,.
                    Mein aik.. talkh sach hon dhoka nahi hon mein.

                    Comment


                    • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                      Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
                      Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,
                      bay niazi say, magar kanptey awaz k sath,
                      Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,
                      younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi,
                      Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,
                      Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka,
                      Warna kajol teri ankhon ka na phela hota
                      Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
                      Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota _;

                      Comment


                      • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                        Shayed khushi ka daur bhi aa jaye ek din,

                        Gham bhi to mil gaye thy tamana kiyay baghair..

                        Comment


                        • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                          buht khoob...
                          u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                          :pr:

                          Comment


                          • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                            Mera Sochna Tari Zaat Tk...

                            Mari Guftago Tari Bat Tk...

                            Na Tum Milo Jo Kbi Mujy...

                            Mera Dhondna Tujy Paar Tk...

                            Me Ny Apna Sb Kuch Gnwa dea...

                            Tari Nfraton Sy Pyar Tk...

                            Kbi Fursatin Jo Milain To Aa...

                            Mari Zindagi K Hesaar Tk...

                            Me Ny Jana K Me Kuch Nahi...

                            Tary Phly Sy Tary Baad Tk _;

                            Comment


                            • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                              Karo gy yaad tum ik din mhbt k zamanay ko,,
                              Chalay jaen gay jis din hum kabhe wapas na aanay ko,,
                              Kise mehfil mein cheray ga hamara zikr jub koe,,
                              Chalay jao gay tum tanhae mein aansoo bahanay ko,,
                              Ghataen parbaton pe ghuk k jb ulfat nibhaen ge,,
                              Taras jao gay sawan mein hamaray paas aanay ko,,
                              Nazar k samnay jis ghare guzray ga kasid to,,
                              Hamaray khat puranay dhoondo gay dil se laganay ko,,
                              KARO GAY yaad tum ik din mhbt k zamanay ko.

                              Comment


                              • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                                "Tum 'ABR-E-GUREZAN' ho,

                                Main 'SEHRA' ki Tarhan hon"

                                "Do 'BOOND' jo barso ge,

                                'BE KAAR' main barso ge"

                                "Hai 'KHUSHK' buhat 'MATTI',

                                Har simt bagolay hain"

                                "SEHRA k bgolon se uthte hi to 'SHOLAY' hain"

                                "Tum 'KHUL k agar BARSO',

                                'Sehra main Gulistan' ho"

                                "Par Tum se kahain kese Tum 'ABR-E-GUREZAN' ho"

                                "JAL THAL' jo agar kar do,

                                'TAN MAN' main 'NAMI' bhar do"

                                "Hai 'KHUSK' buht MATTI,

                                Poori jo 'KAMI' kar do"

                                "Phir Tum ko batain ge k 'ROOH' main 'Pinah' ho"

                                "Par Tum se kahain kese tum 'ABR-E-GUREZAN' ho"

                                "Mil jao agar humko,

                                Hum 'JASHAN' manain ge"

                                "Dharti ne na daikhe hon,

                                Woh 'PHOOL' khilain ge"

                                "Aankhon main 'UJALAY' hon,

                                Aur 'DIL main CHRAGAN' ho"

                                "Par Tum se kahain kese,

                                Tum 'ABR-E-GUREZAN' ho"

                                "Mana 'NAHIEN is QABIL' Tum chaho MOHABAT do"

                                "Hum Tum ko sada 'CHAHAIN',

                                Bus itni 'IJAZAT' do"

                                "Tum ISHQ Tum hi POOJA,

                                Aey JAAN meri JAAN ho"

                                "Par Tum se kahain kese,

                                Tum 'ABR-E-GUREZAN ho"


                                Comment

                                Working...
                                X