Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
~*~*Khurram's Collection*~*~
Collapse
X
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Meri Mohabbat K Dono Aalam,
Tamam Roshan Tamam Mohkam,,
Main Yaad Karna Bhi Janta Hoon,
Main Yaad Aana Bhi Janta Hoon.!
Nazar Nazar Main Hai Kamrani,
Qadam Qadam Pe Hai Kamyabi,,
Magar Koi Muskura K Dekhey,
To Haar Jana Bhi Janta Hoon.!
Mujhe Samandar K Paniyon Mai,
Kisi Ki Khatir To Doobna Hai,,
Agarchay Lehron K Dar-Miyan Se,
Main Paar Jana Bhi Janta Hoon.
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Ashk girte hain to har saans PIGHAL jati hai,
De k ek DARD naya, Har SHAM DHAL jati Hai.
>USKO seenay se laga kar milay JANNAT ka sukoon,
US SE BICHRUN to MERI JAAN NIKAL jati hai.
>ISHQ KUch aise Mitata hai NISHAN-E-HASTI,
Jaise k raat Ujale ko NIGAL jati hai.
>WO Agar DIL pe MERE Haath, hi rakh De''
TO,
Tooti saans bhi Kuch dair SANBHAL jati hai.
>ZAKHAM BHARTA Hi NAHI USKI JUDAI ka magr...
Phir USKI YAAD Naiey DARD mein DHAL jati HAI.
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko
Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi Aa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Who Jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
Aik saith hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko
Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok Kay har aik say yehi kehtay hain
Ab Jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein,
Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,
Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,
Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,
Aur Kahin Aur Mubtala Ho Jayein,
Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka,
Khaak Ho Jayein Keemiya Ho Jayein,
Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse,
Aise Liptein Tera Qaba Ho Jayein,
Bandagi Humne Chhod Di Hai Sanam,
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein...
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein,
Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,
Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,
Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,
Aur Kahin Aur Mubtala Ho Jayein,
Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka,
Khaak Ho Jayein Keemiya Ho Jayein,
Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujhse,
Aise Liptein Tera Qaba Ho Jayein,
Bandagi Humne Chhod Di Hai Sanam,
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein...
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Jee na payegi Tu bhi hoke Juda Mujhse,
Aisa Pyar Tujhse kar jaoonga Ek Din,
Andhero mein dhoondti reh jayegi Mujhko,
Aisi Be-Rukhi dikhlaoonga Ek Din,
Kho kar Mujhko bahut pachtayegi Sanam Tu,
Wafa aisi Tujhse kar jaoonga Ek Din,
Aisi Deewangi se Chahoonga Tujhko,
Bhool jaogi Tum bhi saara Jahan Ek Din,
Jaan Teri bhi Labon par aajayegi,
Ban ke Khaak jab main Mitti mein mil jaoonga Ek Din..!!!
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Tamanna Ho Agar Milney Ki
Aankhon Main Nazar Aayenge
Lamha Lamha Waqt Guzer Jayega
Channd Lamhon Mein Daaman Choot Jayega
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse
Kal Kya Pata Kaun Aapke Zindagi Main Aa Jayega
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain
Hum Akele They Akele Hi Reh Jaate Hain
Dil Ka Dard Kissey Dikhaaye
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jate Hain
Waqt Tu Humey Bhula Chuka Hai
Muqqaddar Bhi Na Bhula Dey
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Kartey
Kyunki Darte Hain Koi Phir Se Na Rula Dey
Zindagi Main Hamesha Naye Log Milengey
Kahin Zyaada Toh Kahin Kamm Milengey
Aitbaar Zara Soch Kar Karna
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge
Khushboo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge
Sukoon Ban kar Dil Main Utar Jayenge
Mehsoos Karne Ki Koshish Toh Kijiye
Door Hotey Huye Bhi Pass Nazer Aayenge
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
wo samne aye to nazron ko jhukaa loon gaa
dekhoon gaa nahi phir bhi tasweer bana loon ga
aana ho to aa jao ruswayee nahi ho gee
dekhe ga nahi koi palkon main chupa loon ga
jo ham per guzarni hai ik bar guzar jaye her gham ki tarha
tujh ko seene se laga loon ga
weeran agar dil ho ankhon main andhera ho yaadon ke diye
apni palkon main saja loon ga
manzoor agar ho gee ruswayee teree mujh ko main
beth ke sahil se toofaan utha loon ga
naraaz agar wo hain mere nasheman se,
main apnay nasheman ke tinkon ko hata loon ga
kyon mujh se khafa ho ker wo door gaye
baanhon main wo aa jayain main un ko mana loon ga
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
khubsoorat hain woh lub
jo pyari batein kartey hain
khubsoorat hai woh muskurahat
jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de
khubsoorat hai woh dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tadpey
khubsoorat hain woh jazbat
jo kisi ka ehsaas karein
khubsoorat hai woh ehsaas
jo kisi ke dard ke me dawa baney
khubsoorat hain woh batein
jo kisi ka dil na dukhaein
khubsoorat hain woh ankhein
jin mein pakezgi ho
sharm o haya ho
khubsoorat hain woh ansoo
jo kisi ke dard ko
mehsoos kerke beh jae
khubsoorat hain woh Hath
jo kisi ko mushkil
waqat mein tham lein
khubsoorat hain woh kadam
jo kisi ki madad ke liye
aagey badhein !!!!!
khubsoorat hai woh soch
jo kisi ke liye acha sochey
khubsoorat hai woh insan
jis ko KHUDA ne ye
khubsoorati ada ki ho.
Comment
-
Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~
Chale jo do kadam saath,
To unke saath se Pyaar ho jaye,
Thaame jo Pyaar se mera haath,
To apne hi haath se Pyaar ho jaye,
Jis raat aaye khowabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar ho jaye,
Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar ho jaye,
Jab pukaare Pyaar se mera naam lekar,
Too apne hi naam se Pyaar ho jaaye,
Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
To aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar ho jaye..
Comment
Comment