Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Khurram's Collection*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

    Aaj gum sum hai jo barbaad jazeeron jaesi,

    Us ki ankhoon mein chamk thi kbi heeron jaesi

    Kitne maghroor paharoon k badan chaak huey,

    Taiz kirnoon ki jo baarish hui teeron jaesi

    Jis ki yadon se khyaloon k khzaaney daehkey,

    Uski sorat b lgi aaj faqeeron jaesi

    Chaahtain lub pe, machalti hui larki ki trah,

    Hasrtaen ankh mein, zindaan k aseeron jaesi

    Hm anna mast, tahi dast bahut hain MOHSIN,

    Ye alag baat k adat hai ameeron jaesi...

    Comment


    • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

      Nigahon k tasaadom se,
      ajab taqrar karti ha.

      Yaqin qamil nahi lekin, guman ha pyar karti ha.

      Laraz jata hoon main ye soch k kafir na ho jaon,

      Tabiyt us ki poja k liye bra israar karti ha.

      Usay malom hai shayad mera dil hai nishane pr,

      Labon se kuch nhi kehti nazar se war karti he.

      Mn us se pochta hon khuwab ma mujh se mohbat ha???

      Phir aankhain khol deta hon wo jab izhar karti hai.

      Comment


      • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

        Hai Yaad Mulaqat ki Woh Shaam Abhi Tak,

        Main Tujh ko Bhulane Mein Hoon Nakam Abhi Tak,

        Aa Tujh ko Dikhaon k Tere Baad Sitamgar,

        Weeran Paray huay Hain Dar-o-Baam Abhi Tak,

        Gar Tark-e-Taalluq ko Hua ek Zamana,

        Honto'n Pe Machalta Hai Tera Naam Abhi Tak,

        Mehsoos Ye Hota Hai k Wo Hum se Khafa Hain,

        Kya Tark-e-Mohabbat ka Hai Elzaam Abhi Tak,

        Maikhanay Mein Bhoolay se Chalay Aaye Thay MOHSIN,

        Ehbab ki Nazro'n Mein Hain Badnaam Abhi Tak...!!!

        Comment


        • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

          Meri khushi ki khatir khud ko sambhal rkhna

          Us ny kaha tha mujse apna khyal rkhna

          Is bat ka taqaza mujse jo kr raha tha

          Kia uska haq nhi tha mera khyal rkhna

          Comment


          • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

            Bahanay Bahanay Se Apki Baat Karte Hain

            Har Bar Aap Par Eitbaar Karte Hain

            Itni Bar To Ap Sans B Nahi Latay Ho gay

            Jitni Bar Ham Ap Ko Yaad Karte hen.

            Comment


            • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

              Dar badar ki saza se dartay hain,
              Khushk pattay hain, hawa se dartay hain.

              Aandhion se kabhi mohabbat thi hamen.

              Ab to Baad-e-Saba se dartay hain.

              Nafraton ne wo Lazzatein bakhshin.

              Chahaton ki bala se dartay hain.

              Logon k karam hain itnay.
              ~FARAAZ~.

              Zindigi ki dua se dartay hain.

              Comment


              • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                "Hum" raaz ko raaz hi rkhty to acha thaa FARAZ ,,,
                .
                . Yun "Chahat" ka bata k "usy" Maghrur kr diya...!!!

                Comment


                • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                  Comment


                  • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                    Jab sar-e-sham us ny zulfon ko sanwara ho ga,

                    Hath main kangan Ankh main kajal Awara ho ga,

                    Us k joray main saja wo sufaid gulaab,

                    Raat ko sotey main kisi ny to utara ho ga,

                    Aalm-e-tanhai main shab bhar karwten lay kar,

                    Koi to ho ga jisay us ny pukara ho ga,

                    Haay! Wo neend main dubi hoi makhmor Ankhain,

                    Jis ny dekha wo dil wahen py haara ho ga

                    us k betab larazty huway honton py

                    Hamen yaqeen hai machalta huwa wo naam humara ho ga.

                    Comment


                    • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                      Comment


                      • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                        Waah janab..
                        Ajeeb shakhs tha hawaon se dushmani lay kar
                        Wo rait par likhta tha mujhe paglon ki tarah
                        Bohat khoob :)
                        sigpic

                        Comment


                        • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                          Comment


                          • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                            Tha bohat khush jo bhula k mujhe

                            Aaj roya gally laga k mujhe

                            Us ne pehla sawal ye pucha

                            Tum ko kesa lga ganwa k mujhe

                            Mujh ko pathar bana k khta hai

                            Jan dekho na muskura k mjhe

                            Zindgi ne to aazmaya he

                            Tum b dekh lo aazma k mjhe

                            Us ne rasta badal lia apna

                            Piyar ki rah pe chala k mjhe

                            Comment


                            • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                              Torr day Tasbeeh ko iss khayyal se Sagar..!


                              Kya gin gin ke naam layna Jo Be-Hisaab deta hai.......

                              Comment


                              • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                                Teri mukhtasar si chahat ko hum bhulaen kaisay,
                                Tum ko bhool kar khud ko chain dilayen kaisay..

                                Na janay kaon si kashish tere paas le aati hai,
                                Tere paas aa kar tujh main samaein kaisay..

                                Hum ne dil se chaha hai tujhay,
                                Teri chahat k qabil khud ko banayen kaisay..

                                Kyun poochtay ho hum se aansoan ki shiddat,
                                Hum us main tera aks tujhe dekhayen kaisay..

                                Hum tumhain bohat mohabbat kartay hain,
                                Magar tumhain yeh ehsaas dilayen kaisay

                                Comment

                                Working...
                                X