Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~*~*Khurram's Collection*~*~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #91
    Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

    Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
    yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo

    Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
    Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo

    Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
    Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo

    Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
    Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

    Comment


    • #92
      Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

      Kisi ki to aarzoo ho
      Kisi ka to intezaar ho
      Kisi se kisi se to pyaar ho
      Kisi pe to yeh jaan bhi nisaar ho
      Jaisa bhi sahi kaisa bhi sahi koi yaar ho

      Kisi se nazrein hum bhi milaye
      Kisi ke sang khwaab hum bhi sajayein
      Bina baat hum bhi kahin kho jayein
      Kyun na hum bhi Khatto pe siahee bahayein
      Koi to ho jise hum apna bulayein

      Koi humein bhi chaahe
      Kis ko hum bhi chaahein
      Koi humse hi sab bateyein
      Kisi ko hum bhi sab batyein
      Koi humein dekh muskuraye
      Ksi ko dekh hum bhi khush ho jayein

      Kahin se dhoond layo
      Koi bhi dhoond layo
      Kaisa bhi dhoond layo
      Koi mere liye mera apna dhoond layo
      Ab tanha akele jeena hua dushwaar
      Humein bhi ho jaye ik baar yeh pyaar

      Comment


      • #93
        Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


        Tujhey Main Bhool tou Jata
        Magar Terey Ta'alluq se
        Jo Chehrey Saamney Aaye
        Jo rastey Saamney Aaye
        Jo Lamhey Saamney Aaye
        Jo Rishtey Saamney Aaye
        Unhein Kaise Bhulata Main
        Tujhey Kaise Bhualata Main ?

        Comment


        • #94
          Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

          ~~Nadaan~~

          kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
          naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

          jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
          ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!

          kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
          aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!

          musaafir be-khabar hain teri aankhon se
          tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

          tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
          hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!

          unki aankhon ko youn dekho na
          naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!

          Comment


          • #95
            Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

            *~* Na koi khuwaab na koi dost tha...

            Na koi khuwaab na koi dost tha...
            is muhabbat mein, mein akela tha...


            ishq mein tum khaan ke sache the...
            jo azziyat thi hum ne jheli thi...


            yaad ab kuchh nahin raha lekin...
            aik darya tha ya haweli thi...


            jis ne uljha ke rakh diya dil ko...
            woh muhabbat thi ya paheli thi...


            mein zara si bhi kam wafa kerta...
            tum ne to meri jaan leli thi...


            waqt ke saanp kha gaye us ko...
            mere aangan mein aik chanbeli thi...


            is shab-e-gham mein kis ko batlaoon...
            kitni roshan meri hatheli thi...

            Comment


            • #96
              Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

              Bohat Mumkin Tha
              Merey Paaon , Meri Zeest K
              Kaantey Nikal Jaatey
              Bohat Mumkin Tha
              Meri Raah K Pathar Pighal Jaatey
              Jo Deewaarein Merey Raste Mein Haayel Thein
              Merey Aagey Se Hatt Jaatein
              Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
              Kohsaaron Ki Taraf Aik Pal
              Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo Se Katt Jatein
              Bohat Munkin Tha Angaaron Bhari Iss Zindegaani Mein
              Tumhaarey Paaon K Ujley Kanwal Khiltey
              Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
              Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
              Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
              Hamari Rooh Kab Ham Se Khafa Rehti ?
              Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
              Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !

              Comment


              • #97
                Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                Ho ijazat agar aapki to ik baat pochoo
                Jo suno, to aaj dil ki ik baat kahoo
                Jabse aapse mile, tabse phool mehakane lage
                Jabse aapko dekha, yeh raste gulshan hone lage
                Jaane kyun har pal hum aapke khayalo mein rehne lage

                Mujhe kehna nahi aata kaise kahoo
                Mujeh jatana nahi aata kaise batayu
                Bas jaan lo tum itna
                Hui hai dil mein ik dastak
                ke Kahin wo tum hi to nahi

                Ho gar ijazat to ik baat pochoo
                Jo suno, to aaj dil ki ik baat kahoo
                Mujeh nahi aata Batana
                Tum khud hi jaan lo
                Gar tumhe nahi aitraaz to humein manzoor karlo

                Comment


                • #98
                  Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~


                  Tumhari yadoon ke zakhm

                  Jab bharne lagte hein

                  Kisi bahane se tumhein

                  Yaad karne lagte hein



                  Bhoolne ki kooshish jaari hai lekin

                  Yaad karne ke bahane milne lagte hein



                  Dosti, mohabbat bematlab hi sahi

                  Zindagi mei n iski kami mehsoos karne lagte hein



                  Zindagi udaasi ka doosra naam sahi

                  Khushiyon ki raah hum aaj bhi takte hein



                  Tum ne waada to nahin kiya

                  Mujhse milne ka

                  Hum phir bhi ek aas kyon dil mein rakhte hein



                  Kisi bahane se tumhein

                  Yaad karne lagte hein

                  Comment


                  • #99
                    Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                    Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
                    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

                    Kya Apni Tammanna Thi Kia Samne Aya Hai
                    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

                    Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
                    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai

                    Lot Aii Sadda Meri Takkra K Sitaroon Se
                    Ujri Hui Dunya K Sunsaan Kinaroon Se

                    Tootey Huwe Khuwabon Ne Hum Ko Yeh Sikhaya Hai
                    Dil Ne Jise Paya Tha Aankhon Ne Ganwaya Hai.......

                    Comment


                    • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                      tune shayad kuch kaha mujh se,
                      jo batane ayi hai ye hawa,
                      teri saaso ki khusbu liye hue
                      vahi ahsaas layi hai ye hawa

                      ye hawa kyoin hai kuch bheegi bheegi se
                      shayad teri aankh ke kuch aasu layi hai ye hawa
                      teri bheegi palko ka ehsaas dilati mujhe
                      tere dard ka hisaab layi hai ye hawa

                      ye hawa kuch garm se kyoin lagti hai
                      shayad mere patthar dil ko pighlane ayi hai ye hawa
                      ki kitna jali hai tu mere intzaar main
                      wahi intezar ki aag layi hai ye hawa

                      tere aanchal se choot kar,
                      meri liye tera aanchal banne ayi hai ye hawa
                      teri makhmali chuan se chukar mujhe
                      kuch sahjhane kuch jatane ayi hai ye hawa

                      tune shayad kuch kaha mujh se,
                      jo batane ayi hai ye hawa,
                      teri saaso ki khusbu liye hue
                      vahi ahsaas layi hai ye hawa

                      Comment


                      • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                        Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
                        Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,


                        Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
                        Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,


                        Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
                        Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,


                        Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
                        Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,


                        Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
                        Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,


                        Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
                        Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,


                        Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
                        Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,


                        Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
                        Kabhi to use bhi neend na aati hogi,


                        Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
                        Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,


                        Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
                        Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!

                        Comment


                        • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                          Muhabbat mein aazmaeish nahein ki jaati
                          isse nibhaney ki famaeish nahein ki jaati

                          Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam
                          dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati

                          Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff
                          tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati

                          Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza
                          esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati

                          Khush naseebi se jo mill bethein do dil
                          tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati

                          Jin ko ho millna aur woh mill nah paein
                          dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati

                          Piyaar tu hey muqaddron ka khel
                          jo nah mill sake piyar tu gujaresh nahein ki jaati

                          Comment


                          • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                            Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
                            Sapno me aake mujh se milna kabhi
                            Maine duniya sazai hai tere liye,
                            Meri nazro ki ummed ban'na kabhi
                            Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
                            Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
                            Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
                            Tum kabhi merey CHANDA!!!!!!!
                            mohabbat banke dha'rkna kabhi...!!!!!!!!

                            Comment


                            • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                              Ache insaan ho mareezon ka khyaal acha hai
                              Hum mar jaate hain tum kehte ho haal achaa hai

                              Tujhse maangun main tujhi ko ki sab kuch mil jaaye
                              Sau sawaalon se yehi ek sawaal acha hai

                              Dekh le bulbulo-parwana ki betaabi ko
                              Hijr acha na haseenon ka visaal acha hai

                              Aa gaya uska tassavur to pukaara ye shauk
                              Dil mein jam jaye ilaahi, ye khyaal acha hai

                              Comment


                              • Re: ~*~*Khurram's Collection*~*~

                                IRShaad hai......

                                Qudrat ka khel hai shayad, meri qismat ka hai

                                Jo bhi hai meray saath hi kyoun hota hai

                                Karkay iqrar din guzray bhi nahi kay saal beet gaye

                                Raastay par saath chodh gaye, aisa kyoun hota hai

                                Humnay aisa kiya vaada kay hum todh na sakay

                                Tum itni aasani say todh gaye, aisa kyoun hota hai

                                Apni taraf say wafoun ka diya humnay har ek imtihan

                                Tum har ek imtihan chodh gaye, aisa kyoun hota hai

                                Yeh tho hona hi tha ek din jo hum pehchaan na sakay

                                Woh aisa bewafa nikla na soncha par aisa kyoun hota hai.

                                Bas ab karli koshish har baar zaab nay

                                Ab na agay pachtaounga kay

                                aisa kyoun hota hai, aisa kyoun hota hai.....

                                Comment

                                Working...
                                X