Re: Ash'aar Competition JUNE 08-lafz:KHUSHBOO
tumhain maloom hai kay ham ne
ksi kay hijr main yeh zindagi guzari hai
her ik khushboo ki aahat per
gumaa'n ous ka guzarta tha
her ik saa'at main dil, aankh'oan main a ker beth jata tha
kaee pehloo badalti khwahish'ain haath'oan ko phela'ay
dua'ain mangti aur haampti
dil say guzarti thein
mgr ji hijr laa'heq hai
woh jism-o-jaan ki dewaar'ain girata hai
umme-o-beam ki aankh'oan say judaii kay saaray manzar'oan ko
khaak kerta aur mitaata hai
so ham bhi khaak hain
aur khaak ki taqdeer main likha hai
be'amaan rehna...!!!

Comment